आँखों को वो पुर-कैफ़ नज़ारे नहीं भूले / Aankhon Ko Wo Pur Kaif Nazare Nahin Bhoole

आँखों को वो पुर-कैफ़ नज़ारे नहीं भूले
वो दिन जो मदीने में गुज़ारे नहीं भूले

फिर कीजे करम, या नबी ! हसनैन का सदक़ा
शहर आप का ये दर्द के मारे नहीं भूले

बेचैन है, इक बार उठे फिर वही उँगली
महताब को आक़ा के इशारे नहीं भूले

गिर जाऊँ मैं जी चाहे मेरा फिर से भँवर में
आक़ा ने दिए थे जो सहारे नहीं भूले

इस्लाम के गुलशन को बचाया था जिन्हों ने
कर्बल को वो ज़हरा के दुलारे नहीं भूले

तयबा की हसीं रात में, फ़ारूक़ी ! हमारी
तक़दीर के चमके जो सितारे नहीं भूले


शायर:
सुहैल कलीम फ़ारूक़ी

ना'त-ख़्वाँ:
असद रज़ा अत्तारी
क़ारी शाहिद महमूद





aankho.n ko wo pur-kaif nazaare nahi.n bhoole
wo din jo madine me.n guzaare nahi.n bhoole

phir keeje karam, ya nabi ! hasnain ka sadqa
shehr aap ka ye dard ke maare nahi.n bhoole

bechain hai, ik baar uThe phir wahi ungli
mahtaab ko aaqa ke ishaare nahi.n bhoole

gir jaau.n mai.n jee chaahe mera phir se bhanwar me.n
aaqa ne diye the jo sahaare nahi.n bhoole

islaam ke gulshan ko bachaaya tha jinho.n ne
karbal ko wo zahra ke dulaare nahi.n bhoole

tayba ki hasee.n raat me.n, Faarooqi ! hamaari
taqdeer ke chamke jo sitaare nahi.n bhoole


Poet:
Sohail Kaleem Farooqi

Naat-Khwaan:
Asad Raza Attari
Qari Shahid Mehmood
Aankhon Ko Wo Pur Kaif Nazare Nahi Bhule Lyrics in Hindi | Wo Din Jo Madine Mein Guzare Nahi Bhule Lyrics | Aankhon Ko Wo Pur Kaif Naat Lyrics in Hindi | ankhon woh purkaif bhole | me mei mai main | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2026 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ki Mahshar Mein Sirf Un Ki Rasaai Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

दुरूद-ए-अहल-ए-बैत | प्यारे नबी की ज़ात पर रब का दुरूद है / Durood-e-Ahl-e-Bait | Pyare Nabi Ki Zaat Par Rab Ka Durood Hai