मुझ को ये कह के सताते हैं ज़माने वाले / Mujh Ko Ye Keh Ke Satate Hain Zamane Wale

मुझ को ये कह के सताते हैं ज़माने वाले
कब बुलाएँगे तुझे सब को बुलाने वाले

रास्ता रोक न पाएँगे ज़माने वाले
जब मदीने में बुलाएँगे बुलाने वाले

जब चलूँ शहर-ए-मदीना से तो सरकार कहें
लौट आ जा, ओ मेरे शहर से जाने वाले

मुझ को इस बात का हर रात यक़ीं रहता है
आप हैं आज मेरे ख़्वाब में आने वाले

आप को देख के महशर में कहेंगे 'आसी
आ गए हम को जहन्नम से बचाने वाले

काश ! महशर में ये कह कह के बुलाएँ आक़ा
आ इधर आ मेरे ना'लैन उठाने वाले

दीन की राह में घर-बार लुटा देते हैं
ऐसे होते हैं मुहम्मद के घराने वाले

अब कोई ख़ौफ़ नहीं मुझ को, ज़माने वालो !
मेरे ख़्वाजा हैं मेरी लाज बचाने वाले

हश्र तक फूले-फले मस्लक-ए-आ'ला-हज़रत
मिट गए ख़ुद ही ज़माने से मिटाने वाले

उन से कह दो कि वो आईने में चेहरा देखें
अपने जैसा मेरे आक़ा को बताने वाले


ना'त-ख़्वाँ:
अंबर मुशाहिदी
सैफ़ रज़ा कानपुरी





mujh ko ye keh ke sataate hai.n zamaane waale
kab bulaaenge tujhe sab ko bulaane waale

raasta rok na paaenge zamaane waale
jab madine me.n bulaaenge bulaane waale

jab chalu.n shehr-e-madina se to sarkaar kahe.n
lauT aa ja, o mere shehr se jaane waale

mujh ko is baat ka har raat yaqee.n rehta hai
aap hai.n aaj mere KHwaab me.n aane waale

aap ko dekh ke mehshar me.n kahenge 'aasi
aa gae ham ko jahannam se bachaane waale

kaash ! mehshar me.n ye keh keh ke bulaae.n aaqa
aa idhar aa, mere naa'lain uThaane waale

deen ki raah me.n ghar-baar luTa dete hai.n
aise hote hai.n muhammad ke gharaane waale

ab koi KHauf nahi.n mujh ko, zamaane waalo !
mere KHwaja hai.n meri laaj bachaane waale

hashr tak phoole-phale maslak-e-aa'la-hazrat
miT gae KHud hi zamaane se miTaane waale

un se keh do ki wo aa.eene me.n chehra dekhe.n
apne jaisa mere aaqa ko bataane waale


Naat-Khwaan:
Ambar Mushahidi
Saif Raza Kanpuri
Mujhko Ye Keh Ke Satate Hain Zamane Wale Lyrics in Hindi | Mujh Ko Ye Keh Ke Satate Hain Zamane Wale Lyrics | Kab Bulayenge Tujhe Sab Ko Bulane Wale Lyrics in Hindi | keh kahe kar hai hei hein bulaenge | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2026 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ki Mahshar Mein Sirf Un Ki Rasaai Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

दुरूद-ए-अहल-ए-बैत | प्यारे नबी की ज़ात पर रब का दुरूद है / Durood-e-Ahl-e-Bait | Pyare Nabi Ki Zaat Par Rab Ka Durood Hai