ADVERTISEMENT

सय्यिद ने कर्बला में वादे निभा दिए हैं / Syed Ne Karbala Mein Wade Nibha Diye Hain

सय्यिद ने कर्बला में वा'दे निभा दिए हैं
दीन-ए-मुहम्मदी के गुलशन खिला दिए हैं

बोले हुसैन, मौला ! तेरी रिज़ा की ख़ातिर
इक एक कर के मैं ने हीरे लुटा दिए हैं

दीन-ए-नबी पे वारी अकबर ने भी जवानी
'अब्बास ने भी अपने बाज़ू कटा दिए हैं

ज़ैनब के बाग़ में भी दो फूल थे महकते
ज़ैनब ने वो भी दोनों राह-ए-ख़ुदा दिए हैं

ज़हरा के नाज़-पाले, फूलों पे सोने वाले
कर्बल की ख़ाक पर वो हीरे लुटा दिए हैं

सरकार होंगे राज़ी उस से भी सुन लो, हाफ़िज़ !
दो-चार आँसू रो कर जिस ने बहा दिए हैं


ना'त-ख़्वाँ:
प्रोफ़ेसर अब्दुर्रउफ़ रूफ़ी
असद रज़ा अत्तारी
हाफ़िज़ अहसन क़ादरी





sayyid ne karbala me.n waa'de nibha diye hai.n
deen-e-muhammadi ke gulshan khila diye hai.n

bole husain, maula ! teri riza ki KHaatir
ik ek kar ke mai.n ne heere luTa diye hai.n

deen-e-nabi pe waari akbar ne bhi jawaani
'abbaas ne bhi apne baazu kaTa diye hai.n

zainab ke baaG me.n bhi do phool the mahakte
zainab ne wo bhi dono.n raah-e-KHuda diye hai.n

zahra ke naaz-paale, phoolo.n pe sone waale
karbal ki KHaak par wo heere luTa diye hai.n

sarkaar honge raazi us se bhi sun lo, Haafiz !
do-chaar aansu ro kar jis ne baha diye hai.n


Naat-Khwaan:
Prof. Abdul Rauf Rufi
Asad Raza Attari
Hafiz Ahsan Qadri

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

आस्ताँ है ये किस शाह-ए-ज़ीशान का मरहबा मरहबा / Aastan Hai Ye Kis Shah-e-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba

शैअन-लिल्लाह या अब्दुल क़ादिर | इधर भी निगाह-ए-करम ग़ौस-ए-आज़म / Shayian Lillah Ya Abdul Qadir | Idhar Bhi Nigah-e-Karam Ghous-e-Azam