जा कर कोई तयबा में ये आक़ा को बताए / Ja Kar Koi Taiba Mein Ye Aaqa Ko Bataye

जा कर कोई तयबा में ये आक़ा को बताए
गुज़रे हुए लम्हों की बहुत याद सताए

मत छेड़, सबा ! मुझ को अभी ज़ख़्म हरे हैं
ऐसा न हो फिर आँख से आँसू निकल आए

दुनिया में फ़क़त आप की हस्ती है वो हस्ती
जिस से कि उजाला ही उजाला नज़र आए

फिर माँ सी मुझे गोद की ठंडक हुई हासिल
है याद मुझे,गुंबद-ए-ख़ज़रा ! तेरे साए

मुजरिम हूँ, चला आया हूँ मैं आप के दर पर
बिन आप के मुजरिम को भला कौन बचाए

जब से सू-ए-बतहा का ये शैदाई हुआ है
तब से दिल-ए-बेताब कहीं चैन न पाए

मुझ से कोई ये माल, ये दौलत सभी ले कर
लौटा दे वो पल जो थे मदीने में बिताए

फिर आए बुलावा मुझे दरबार-ए-नबी से
अल्लाह कभी ख़ैर से ये दिन भी दिखाए

ईमान किसी शख़्स का कामिल नहीं होता
जब तक कि वो सरकार पे ईमान न लाए

अहमद रहे ता-'उम्र इसी दर का ही नौकर
ऐ काश ! इसी दर पे इसे मौत भी आए


शायर:
मलिक अदनान अहमद और अन्य

ना'त-ख़्वाँ:
ख़ालिद हसनैन ख़ालिद
सय्यिद हस्सानुल्लाह हुसैनी
मुहम्मद उसामा ख़ालिद
मुहम्मद हम्ज़ा ख़ालिद





jaa kar koi tayba me.n ye aaqa ko bataae
guzre hue lamho.n ki bahut yaad sataae

mat chhe.D, saba ! mujh ko abhi zaKHm hare hai.n
aisa na ho phir aankh se aansu nikal aae

duniya me.n faqat aap ki hasti hai wo hasti
jis se ki ujaala hi ujaala nazar aae

phir maa.n si mujhe god ki ThanDak hui haasil
hai yaad mujhe, gumbad-e-KHazra ! tere saae

mujrim hu.n, chala aaya hu.n mai.n aap ke dar par
bin aap ke mujrim ko bhala kaun bachaae

jab se soo-e-bat.ha ka ye shaidaai huaa hai
tab se dil-e-betaab kahi.n chain na paae

mujh se koi ye maal, ye daulat sabhi le kar
lauTa de wo pal jo the madine me.n bitaae

phir aae bulaawa mujhe darbaar-e-nabi se
allah kabhi KHair se ye din bhi dikhaae

imaan kisi shaKHs ka kaamil nahi.n hota
jab tak ki wo sarkaar pe imaan na laae

Ahmad rahe taa-'umr isi dar ka hi naukar
ai kaash ! isi dar pe ise maut bhi aae


Poet:
Malik Adnan Ahmad and Other

Naat-Khwaan:
Khalid Hasnain Khalid
Syed Hassan Ullah Hussaini
Muhammad Usama Khalid
Muhammad Hamza Khalid
Ja Kar Koi Taiba Mein Ye Aaqa Ko Bataye Lyrics | Ja Kar Koi Taiba Main Ye Aaqa Ko Bataye Lyrics in Hindi | Ja Kar Koi Taiba Lyrics | Khalid Hasnain Khalid Naat Lyrics | me mein mei mai aqa batae |jakar lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Most Popular

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

हो करम सरकार अब तो हो गए ग़म बे-शुमार / Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumar

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer