ADVERTISEMENT

जो मदीने के तसव्वुर में जिया करते हैं / Jo Madine Ke Tasawwur Mein Jiya Karte Hain

जो मदीने के तसव्वुर में जिया करते हैं
हर जगह लुत्फ़ मदीने का लिया करते हैं

'इश्क़-ए-सरवर में जो हस्ती को फ़ना करते हैं
भेद उल्फ़त के फ़क़त उन पे खुला करते हैं

माल-ओ-दौलत की दु'आ हम न, ख़ुदा ! करते हैं
हम तो मरने की मदीने में दु'आ करते हैं

आग दोज़ख़ की जला ही नहीं सकती उन को
'इश्क़ की आग में दिल जिन के जला करते हैं

दर्द-ओ-आलाम में तस्कीन उन्हें मिलती है
नाम उन का जो मुसीबत में लिया करते हैं

तू सलाम उन से दर-ए-पाक पे जा कर कहना
इल्तिजा तुझ से हम, ऐ बाद-ए-सबा ! करते हैं

क्यूँ फिरें शौक़ में हम माल के मारे मारे
हम तो सरकार के टुकड़ों पे पला करते हैं

चाँद-सूरज का मुक़द्दर भी तो देखो अक्सर
गुंबद-ए-ख़ज़रा के नज़्ज़ारे किया करते हैं

रश्क 'अत्तार को उन ज़र्रों पर आता है जो
उन के ना'लैन के तल्वों से लगा करते हैं

क़ाबिल-ए-रश्क हैं, 'अत्तार ! वो क़िस्मत वाले
दफ़्न जो मीठे मदीने में हुवा करते हैं


शायर:
मुहम्मद इल्यास अत्तार क़ादरी

ना'त-ख़्वाँ:
शकील सिंधु क़ादरी
हसनैन रज़ा अत्तारी





jo madine ke tasawwur me.n jiya karte hai.n
har jagah lutf madine ka liya karte hai.n

'ishq-e-sarwar me.n jo hasti ko fana karte hai.n
bhed ulfat ke faqat un pe khula karte hai.n

maal-o-daulat ki du'aa ham na, KHuda ! karte hai.n
ham to marne ki madine me.n du'aa karte hai.n

aag dozaKH ki jala hi nahi.n sakti un ko
'ishq ki aag me.n dil jin ke jala karte hai.n

dard-o-aalaam me.n taskeen unhe.n milti hai
naam un ka jo museebat me.n liya karte hai.n

tu salaam un se dar-e-paak pe jaa kar kehna
iltija tujh se ham, ai baad-e-saba ! karte hai.n

kyu.n phire.n shauq me.n maal ke maare maare
ham to sarkaar ke Tuk.Do.n pe pala karte hai.n

chaand-sooraj ka muqaddar bhi to dekho aksar
gumbad-e-KHazra ke nazzaare kiya karte hai.n

rashk 'Attar ko un zarro.n par aata hai jo
un ke naa'lain ke talwo.n se laga karte hai.n

qaabil-e-rashk hai.n, 'Attar ! wo qismat waale
dafn jo meeThe madine me.n huwa karte hai.n


Poet:
Muhammad Ilyas Attar Qadri

Naat-Khwaan:
Shakeel Sindhu Qadri
Hasnain Raza Attari
Jo Madine Ke Tasawwur Mein Jiya Karte Hain Lyrics in Hindi | Hum To Marne Ki Madine Mein Dua Karte Hain Lyrics | Jo Madine Ke Tasawwur Me Lyrics | madeene madina tasavvur mai main me hy hein hei hai du'a lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई, नात शरीफ की किताब हिंदी में, आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye