सोया हुआ नसीब था बेदार हो गया / Soya Hua Naseeb Tha Bedar Ho Gaya

सोया हुआ नसीब था बेदार हो गया
जब ख़्वाब में हुज़ूर का दीदार हो गया

वो आदमी बहिश्त का हक़दार हो गया
जो भी मेरे नबी का वफ़ादार हो गया

देखा है जिस ने आँख से रौज़ा रसूल का
वो आदमी बहिश्त का हक़दार हो गया

उस की ज़रूर होगी मदीने में हाज़री
जो मुस्तफ़ा के 'इश्क़ में बीमार हो गया

इस्लाम को लहू की ज़रुरत पड़ी तो फिर
असग़र भी तीर खाने को तय्यार हो गया

बोले 'उमर कि मेरा इरादा कुछ और था
नज़रें मिली हुज़ूर से तो प्यार हो गया

बोले बिलाल पहले मैं अदना ग़ुलाम था
जब मिल गए हुज़ूर तो सरदार हो गया

दोज़ख़ की आग उस को जलाएगी किस तरह
मेरा रसूल जिस का तरफ़-दार हो गया

जब से क़दम मुजाहिद-ए-मिल्लत के पड़ गए
उस रोज़ से ओड़ीशा भी गुलज़ार हो गया

पढ़ने लगा है जब से रज़ा ख़ान का कलाम
ऊँचा नदीम फ़ैज़ी का मे'यार हो गया


शायर:
नदीम रज़ा फ़ैज़ी

ना'त-ख़्वाँ:
नदीम रज़ा फ़ैज़ी





soya huaa naseeb tha bedaar ho gaya
jab KHwaab me.n huzoor ka deedaar ho gaya

wo aadmi bahisht ka haqdaar ho gaya
jo bhi mere nabi ka wafaadaar ho gaya

dekha hai jis ne aankh se rauza rasool ka
wo aadmi bahisht ka haqdaar ho gaya

us ki zaroor hogi madine me.n haazri
jo mustafa ke 'ishq me.n beemaar ho gaya

islaam ko lahu ki zaroorat pa.Di to phir
asGar bhi teer khaane ko tayyaar ho gaya

bole 'umar ki mera iraada kuchh aur tha
nazre.n mili huzoor se to pyaar ho gaya

bole bilaal pehle mai.n adna Gulaam tha
jab mil gae huzoor to sardaar ho gaya

dozaKH ki aag us ko jalaaegi kis tarah
mera rasool jis ka taraf-daar ho gaya

jab se qadam mujaahid-e-millat ke pa.D gae
us roz se odisha bhi gulzaar ho gaya

pa.Dhne laga hai jab se raza KHaan ka kalaam
uncha Nadeem Faizi ka me'yaar ho gaya


Poet:
Nadeem Raza Faizi

Naat-Khwaan:
Nadeem Raza Faizi
Soya Hua Naseeb Tha Bedar Ho Gaya Lyrics in Hindi | Jab Khwab Mein Huzoor Ka Deedar Ho Gaya Lyrics | Jo Bhi Mere Nabi Ka Wafadar Ho Gaya Lyrics | Nadeem Raza Faizi Naat Lyrics | huwa huaa huwaa nasib khuwab me huzur didar didaar | Soya Huwa Naseeb Tha Bedar Ho gaya Lyrics lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई, नात शरीफ की किताब हिंदी में, आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman

Comments

Most Popular

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

हो करम सरकार अब तो हो गए ग़म बे-शुमार / Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumar

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)