ADVERTISEMENT

बिना माँ के बच्चों की है ये सदा | मुझे मेरी माँ चाहिए / Bina Maa Ke Bachchon Ki Hai Ye Sada | Mujhe Meri Maa Chahiye

बिना माँ के बच्चों की है ये सदा
मुझे मेरी माँ चाहिए
हर इक साँस पर है यही बरमला
मुझे मेरी माँ चाहिए

बिना माँ के बच्चों की है ये सदा
मुझे मेरी माँ चाहिए

छुपा कर रखा हाल बच्चोंं से अपने
गुज़ारे हैं दिन कितने फ़ाक़ों से अपने
निवाले खिलाती थी हाथों से अपने
चबा कर के रोटी को दाँतों से अपने
ये अंदाज़ अम्मी का शफ़क़त भरा
मुझे मेरी माँ चाहिए

बिना माँ के बच्चों की है ये सदा
मुझे मेरी माँ चाहिए

कहाँ और किधर आह अब जाऊँगा मैं
बिना माँ के किस तरह रह पाऊँगा मैं
क़दम-ब-क़दम रोज़ पछताऊँगा मैं
यूँ लगता है जैसे कि मर जाऊँगा मैं
तड़पते हुए दिल ने रो कर कहा
मुझे मेरी माँ चाहिए

बिना माँ के बच्चों की है ये सदा
मुझे मेरी माँ चाहिए

ज़माने की नज़रों से मुझ को बचा कर
वो दूध की शक्ल में ख़ून पिला कर 
मुझे जिस ने पाला गले से लगा कर
चला हूँ मैं उस का जनाज़ा उठा कर
उठा सर से ममता का वो आसरा
मुझे मेरी माँ चाहिए

बिना माँ के बच्चों की है ये सदा
मुझे मेरी माँ चाहिए

कोई माँ के जैसी भी औरत नहीं है
किसी और में मेरी जन्नत नहीं है
कहूँ मैं क्या पहले सी हालत नहीं है
बिना माँ के जीने की 'आदत नहीं है
मेरी माँ से साँसों का है वास्ता
मुझे मेरी माँ चाहिए

बिना माँ के बच्चों की है ये सदा
मुझे मेरी माँ चाहिए

ये मुरझाया दिल ग़म में, इस को खिला दे
चमन मेरा उजड़ा है, मौला ! जिला दे
ख़ुदाया ! इन अश्को का ऐसा सिला दे
तू माँ फिर से दे दे या माँ से मिला दे
लगाता है रट ये ही बेख़ुद रज़ा
मुझे मेरी माँ चाहिए

बिना माँ के बच्चों की है ये सदा
मुझे मेरी माँ चाहिए
हर इक साँस पर है यही बरमला
मुझे मेरी माँ चाहिए


शायर:
वसीम बेख़ुद मांडलवी

ना'त-ख़्वाँ:
वसीम बेख़ुद मांडलवी





bina maa.n ke bachcho.n ki hai ye sada
mujhe meri maa.n chaahiye
har ik saans par hai yahi barmala
mujhe meri maa.n chaahiye

bina maa.n ke bachcho.n ki hai ye sada
mujhe meri maa.n chaahiye

chhupa kar rakha haal bachcho.n se apne
guzaare hai.n din kitne faaqo.n se apne
niwaale khilaati thi haatho.n se apne
chaba kar ke roTi ko daanto.n se apne
ye andaaz ammi ka shafqat bhara
mujhe meri maa.n chaahiye

bina maa.n ke bachcho.n ki hai ye sada
mujhe meri maa.n chaahiye

kahaa.n aur kidhar aah ab jaaunga mai.n
bina maa.n ke kis tarha reh paaunga mai.n
qadam-ba-qadam roz pachhtaaunga mai.n
yu.n lagta hai jaise ki mar jaaunga mai.n
ta.Dapte hue dil ne ro kar kaha
mujhe meri maa.n chaahiye

bina maa.n ke bachcho.n ki hai ye sada
mujhe meri maa.n chaahiye

zamaane ki nazro.n se mujh ko bacha kar
wo dooDh ki shakl me.n KHoon pila kar
mujhe jis ne paala gale se laga kar
chala hu.n mai.n us ka janaaza uTha kar
uTha sar se mamta ka wo aasra
mujhe meri maa.n chaahiye

bina maa.n ke bachcho.n ki hai ye sada
mujhe meri maa.n chaahiye

koi maa.n ke jaisi bhi aurat nahi.n hai
kisi aur me.n meri jannat nahi.n hai
kahu.n mai.n kya pehle si haalat nahi.n hai
bina maa.n ke jeene ki 'aadat nahi.n hai
meri maa.n se saanso ka hai waasta
mujhe meri maa.n chaahiye

bina maa.n ke bachcho.n ki hai ye sada
mujhe meri maa.n chaahiye

ye murjhaaya dil Gam me.n, is ko khila de
chaman mera uj.Da hai, maula ! jila de
KHudaya ! in ashko.n ka aisa sila de
tu maa.n phir se de de ya maa.n se mila de
lagaata hai raT ye hi BeKHud Raza
mujhe meri maa.n chaahiye

bina maa.n ke bachcho.n ki hai ye sada
mujhe meri maa.n chaahiye
har ik saans par hai yahi barmala
mujhe meri maa.n chaahiye


Poet:
Waseem Bekhud Mandalwi

Naat-Khwaan:
Waseem Bekhud Mandalwi

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe