मिल्लत के रहनुमा हैं हज़रत इमाम जाफ़र | सरदार-ए-औलिया हैं हज़रत इमाम जाफ़र / Millat Ke Rehnuma Hain Hazrat Imam Jafar | Sardar-e-Auliya Hain Hazrat Imam Jafar

मिल्लत के रहनुमा हैं हज़रत इमाम जा'फ़र
सरदार-ए-औलिया हैं हज़रत इमाम जा'फ़र

किरदार में झलक है अनवार-ए-मुस्तफ़ा की
नूरानी आईना हैं हज़रत इमाम जा'फ़र

इन को वसीला कर लो, सब कुछ तुम्हें मिलेगा
अल्लाह की रिज़ा हैं हज़रत इमाम जा'फ़र

सीना-ब-सीना पहुँची हसनैन की विरासत
फ़रज़ंद-ए-मुर्तज़ा हैं हज़रत इमाम जा'फ़र

इन से हुई दो-बाला सादात की तजल्ली
इक नय्यर-ए-सफ़ा हैं हज़रत इमाम जा'फ़र

कौनैन की बुलंदी है इन के नक़्श-ए-पा में
महबूब-ए-मुस्तफ़ा हैं हज़रत इमाम जा'फ़र

सिद्दीक़ के करम से इन का लक़ब है सादिक़
फ़ारूक़ की 'अता हैं हज़रत इमाम जा'फ़र

कूँडे का ये तबर्रुक दिल-ताब-ओ-जाँ-फ़िज़ा है
ईमान की ज़िया हैं हज़रत इमाम जा'फ़र

जो कुछ भी इन से माँगा, हम को मिला, फ़रीदी !
'उस्मान की सख़ा हैं हज़रत इमाम जा'फ़र


शायर:
सलमान रज़ा फ़रीदी

ना'त-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी





millat ke rahnuma hai.n hazrat imaam jaa'far
sardaar-e-auliya hai.n hazrat imaam jaa'far

kirdaar me.n jhalak hai anwaar-e-mustafa ki
nooraani aaina hai.n hazrat imaam jaa'far

in ko waseela kar lo, sab kuchh tumhe.n milega
allah ki riza hai.n hazrat imaam jaa'far

seena-ba-seena pahunchi hasnain ki wiraasat
farzand-e-murtaza hai.n hazrat imaam jaa'far

in se hui do-baala saadaat ki tajalli
ik nayyar-e-safa hai.n hazrat imaam jaa'far

kaunain ki bulandi hai in ke naqsh-e-paa me.n
mahboob-e-mustafa hai.n hazrat imaam jaa'far

siddiq ke karam se in ka laqab hai saadiq
faarooq ki 'ata hai.n hazrat imaam jaa'far

kunDe ka ye tabarruk dil-taab-o-jaa.n-fiza hai
imaan ki ziya hai.n hazrat imaam jaa'far

jo kuchh bhi in se maanga, ham ko mila, Fareedi !
'usmaan ki saKHa hai.n hazrat imaam jaa'far


Poet:
Salman Raza Fareedi

Naat-Khwaan:
Hafiz Tahir Qadri
Millat Ke Rehnuma Hain Hazrat Imam Jafar Lyrics in Hindi | Sardar e Auliya Hain Hazrat Imam Jafar Lyrics in Hindi | Manqabat e Imam Jafar Sadiq Lyrics | rahenuma rehanuma hein hai hei sardare awliya | New Manqabat Imam Jafar Sadiq 2024 | Hazrat Imam Jafar | Hafiz Tahir Qadri lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Most Popular

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai