या इलाही रहम फ़रमा मुस्तफ़ा के वासिते | शजरा-ए-क़ादिरिय्या / Ya Ilahi Rahm Farma Mustafa Ke Waste | Shajra e Qadria

या इलाही ! रहम फ़रमा मुस्तफ़ा के वासिते
या रसूलुल्लाह ! करम कीजे ख़ुदा के वासिते

मुश्किलें हल कर शह-ए-मुश्किल कुशा के वासिते
कर बलाएँ रद शहीद-ए-कर्बला के वासिते

सय्यिद-ए-सज्जाद के सदक़े में साजिद रख मुझे
'इल्म-ए-हक़ दे बाक़िर-ए-'इल्म-ए-हुदा के वासिते

सिदक़-ए-सादिक़ का तसद्दुक़ सादिक़-उल-इस्लाम कर
बे-ग़ज़ब राज़ी हो काज़िम और रज़ा के वासिते

बहर-ए-मा'रूफ़-ओ-सरी मा'रूफ़ दे बे-ख़ुद-सरी
जुन्द-ए-हक़ में गिन जुनैद-ए-बा-सफ़ा के वासिते

बहर-ए-शिब्ली शेर-ए-हक़ दुनिया के कुत्तों से बचा
एक का रख 'अब्द-ए-वाहिद बे-रिया के वासिते

बुल-फ़रह का सदक़ा कर ग़म को फ़रह दे हुस्न-ओ-सा'द
बुल-हसन और बू-स'ईद-ए-सा'द-ए-जाँ के वासिते

क़ादिरी कर, क़ादिरी रख, क़ादिरिय्यों में उठा
क़दर-ए-'अब्दुल-क़ादिर-ए-क़ुदरत-नुमा के वासिते

अहसनल्लाहु लहुम रिज़्क़न से दे रिज़्क़-ए-हसन
बंदा-ए-रज़्ज़ाक़ ताज-उल-अस्फ़िया के वासिते

नस्र अबी-सालेह का सदक़ा सालेह-ओ-मंसूर रख
दे हयात-ए-दीं मुहिय्य-ए-जाँ-फ़िज़ा के वासिते

तूर-ए-'इरफ़ान-ओ-'उलुव्व-ओ-हम्द-ओ-हुस्ना-ओ-बहा
दे 'अली, मूसा, हसन, अहमद, बहा के वासिते

बहर-ए-इब्राहीम मुझ पर नार-ए-ग़म गुलज़ार कर
भीक दे दाता भिकारी बादशा के वासिते

ख़ाना-ए-दिल को ज़िया दे, रू-ए-ईमाँ को जमाल
शह ज़िया मौला जमालुल-औलिया के वासिते

दे मुहम्मद के लिए रोज़ी कर अहमद के लिए
ख़्वान-ए-फ़ज़्लुल्लाह से हिस्सा गदा के वासिते

दीन-ओ-दुनिया के मुझे बरकात दे बरकात से
'इश्क़-ए-हक़ दे 'इश्क़ी 'इश्क़-ए-इंतिमा के वासिते

हुब्ब-ए-अहल-ए-बैत दे आल-ए-मुहम्मद के लिए
कर शहीद-ए-'इश्क़ हम्ज़ा पेशवा के वासिते

दिल को अच्छा, तन को सुथरा, जान को पुर-नूर कर
अच्छे प्यारे शम्स-ए-दीं बदरुल-'उला के वासिते

दो जहाँ में ख़ादिम-ए-आल-ए-रसूलुल्लाह कर
हज़रत-ए-आल-ए-रसूल-ए-मुक़्तदा के वासिते

सदक़ा इन आ'याँ का दे छे 'ऐन 'इज़्ज़ 'इल्म-ओ-'अमल
'अफ़्व-ओ-'इरफ़ाँ 'आफ़ियत अहमद रज़ा के वासिते


शायर:
इमाम अहमद रज़ा ख़ान

ना'त-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
हाजी हस्सान अत्तारी मदनी
असद रज़ा अत्तारी
मुहम्मद सादिक़ रज़वी





ya ilaahi ! rahm farma mustafa ke waasite
ya rasoolullah ! karam keeje KHuda ke waasite

mushkile.n hal kar shah-e-mushkil-kusha ke waasite
kar balaae.n rad shaheed-e-karbala ke waasite

sayyid-e-sajjad ke sadqe me.n saajid rakh mujhe
'ilm-e-haq de baaqir-e-'ilm-e-huda ke waasite

sidq-e-saadiq ka tasadduq saadiq-ul-islaam kar
be-Gazab raazi ho kaazim aur raza ke waasite

behr-e-maa'roof-o-sari maa'roof de be-KHud-sari
jund-e-haq me.n gin junaid-e-baa-safa ke waasite

behr-e-shibli sher-e-haq duniya ke kutto.n se bacha
ek ka rakh 'abd-e-waahid be-riya ke waasite

bul-farah ka sadqa kar Gam ko farah de husn-o-saa'd
bul-hasan aur boo-sa'eed-e-saa'd-e-jaa.n ke waasite

qaadiri kar, qaadiri rakh, qaadiriyyo.n me.n uTha
qadr-e-'abdul-qaadir-e-qudrat-numa ke waasite

ahsanallahu lahum rizqan se de rizq-e-hasan
banda-e-razzaaq taaj-ul-asfiya ke waasite

nasr abi-saaleh ka sadqa saaleh-o-mansoor rakh
de hayaat-e-dee.n muhiyy-e-jaa.n-fiza ke waasite

toor-e-'irfaan-o-'uluww-o-hamd-o-husna-o-baha
de 'ali, moosa, hasan, ahmad, baha ke waasite

behr-e-ibraahim mujh par naar-e-Gam gulzaar kar
bheek de daata bhikaari baadsha ke waasite

KHaana-e-dil ko ziya de, roo-e-imaan ko jamaal
shah ziya maula jamaalul-auliya ke waasite

de muhammad ke liye rozi kar ahmad ke liye
KHwaan-e-fazlullah se hissa gada ke waasite

deen-o-duniya ke mujhe barkaat de barkaat se
'ishq-e-haq de 'ishqi 'ishq-e-intima ke waasite

hubb-e-ahl-e-bait de aal-e-muhmmad ke liye
kar shaheed-e-'ishq hamza peshwa ke waasite

dil ko achchha, tan ko suthra, jaan ko pur-noor kar
achchhe pyaare shams-e-dee.n badrul-'ula ke waasite

do jahaa.n me.n KHaadim-e-aal-e-rasoolullah kar
hazrat-e-aal-e-rasool-e-muqtada ke waasite

sadqa in aa'yaa.n ka de chhe 'ain 'izz 'ilm-o-'amal
'afw-o-'irfaa.n 'aafiyat Ahmad Raza ke waasite


Poet:
Imam Ahmad Raza Khan

Naat-Khwaan:
Hafiz Tahir Qadri
Haji Hassan Attari Madani
Asad Raza Attari
Muhammad Sadiq Razvi
Ya Ilahi Reham Farma Mustafa Ke Waste Lyrics | Ya Ilahi Reham Farma Mustafa Ke Waste Lyrics in Hindi | Shajra e Qadria Lyrics in Hindi | Shajra Sharif | Shajra E Qadriya Razviya Sharif | Shajra e Qadriya Razaviyya | Ya Elahi Rahm Farma Mustafa Ke Waste | Hafiz Tahir Qadri | rahem raham rehm wasite vasite waaste | qadriyya razaviyya razviyya | lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Most Popular

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

बे-ख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Be-Khud Kiye Dete Hain Andaaz-e-Hijabana

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

कोई दुनिया-ए-अता में नहीं हमता तेरा | तज़मीन - वाह ! क्या जूद-ओ-करम है, शह-ए-बतहा ! तेरा / Koi Duniya-e-Ata Mein Nahin Hamta Tera | Tazmeen of Waah ! Kya Jood-o-Karam Hai, Shah-e-Bat.ha ! Tera

कोई गुल बाक़ी रहेगा न चमन रह जाएगा / Koi Gul Baqi Rahega Na Chaman Reh Jayega

ताजदार-ए-हरम ऐ शहंशाह-ए-दीं | तुम पे हर दम करोड़ों दुरूद-ओ-सलाम / Tajdar-e-Haram Aye Shahanshah-e-Deen | Tum Pe Har Dam Karodon Durood-o-Salam