नवासा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं / Nawasa Yaad Aata Hai To Aankhen Bheeg Jati Hai

नवासा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं
वो नाना याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

वो गलियाँ और वो मस्जिद जहाँ शब्बीर रहते थे
मदीना याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

मज़ार-ए-सरवर-ए-'आलम से वो किस दिल से बिछड़े थे
बिछड़ना याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

हज़ारों ख़त जहाँ से आल-ए-सरवर के लिए आए
वो कूफ़ा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

जिसे सुनते ही हुर्र शब्बीर के क़दमों में आए थे
वो ख़ुत्बा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

गले पर तीर जिस के हुरमला ज़ालिम ने मारा था
वो बच्चा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

उठाते ही जिसे शब्बीर के सब बाल पक जाएँ
वो लाशा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

उधर 'अब्बास के बाज़ू, इधर नन्ही सकीना का
तड़पना याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

बहत्तर ज़ख़्म, तीर-ओ-ख़ंजर-ओ-तलवार हर जानिब
वो सज्दा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

बदन पर जिस जगह शब्बीर के घोड़े थे दौड़ाए
वो सहरा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

बहत्तर ज़ख़्म, लाखों ग़म, बहत्तर घंटो का रोज़ा
वो रोज़ा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

उठा कर जिस पे लाशे आप लाए अपने ख़ैमे तक
वो काँधा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

तमाचे मारना, ख़ैमे जलाना, करना बे-पर्दा
ये सारा याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं

सिनाँ की नोक पर, जावेद ! पढ़ना आयत-ए-क़ुरआँ
वो पढ़ना याद आता है तो आँखें भीग जाती हैं


ना'त-ख़्वाँ:
मुहम्मद अली फ़ैज़ी





nawaasa yaad aata hai to aankhe.n bheeg jaati hai.n
wo naana yaad aata hai to aankhe.n bheeg jaati hai.n

wo galiya.n aur wo masjid jahaa.n shabbir rehte the
madina yaad aata hai to aankhe.n bheeg jaati hai.n

mazaar-e-sarwar-e-'aalam se wo kis dil se bichh.De the
bichha.Dna yaad aata hai to aankhe.n bheeg jaati hai.n

hazaaro.n KHat jahaa.n se aal-e-sarwar ke liye aae
wo koofa yaad aata hai to aankhe.n bheeg jaati hai.n

jise sunte hi hurr shabbir ke qadmo.n me.n aae the
wo KHutba yaad aata hai to aankhe.n bheeg jaati hai.n

gale par teer jis ke hurmala zaalim ne maara tha
wo bachcha yaad aata hai to aankhe.n bheeg jaati hai.n

uThaate hi jise shabbir ke sab baal pak jaae.n
wo laasha yaad aata hai to aankhe.n bheeg jaati hai.n

udhar 'abbaas ke baazoo, idhar nanhi sakeena ka
ta.Dapna yaad aata hai to aankhe.n bheeg jaati hai.n

bahattar zaKHm, teer-o-KHanjar-o-talwaar har jaanib
wo sajda yaad aata hai to aankhe.n bheeg jaati hai.n

badan par jis jagah shabbir ke gho.De the dau.Daae
wo sehra yaad aata hai to aankhe.n bheeg jaati hai.n

bahattar zaKHm, laakho.n Gam, bahattar ghanTo ka roza
wo roza yaad aata hai to aankhe.n bheeg jaati hai.n

uTha kar jis pe laashe aap laae apne KHaime tak
wo kaandha yaad aata hai to aankhe.n bheeg jaati hai.n

tamaache maarna, KHaime jalaana, karna be-parda
ye saara yaad aata hai to aankhe.n bheeg jaati hai.n

sinaa.n ki nok par, Javed ! pa.Dhna aayat-e-qur.aa.n
wo pa.Dhna yaad aata hai to aankhe.n bheeg jaati hai.n


Naat-Khwaan:
Muhammad Ali Faizi
Nawasa Yaad Aata Hai To Aankhen Bheeg Jati Hai Lyrics in Hindi | Nawasa Yaad Aata Hai Lyrics | Madina Yaad Aata Hai Lyrics in Hindi | navasa yad ata hei hain hein aankhe ankhe ankhen aankhein ankhein | lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2024

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

फ़ज़्ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना | मदनी सेहरा / Fazl-e-Rabb-e-Pak Se Beta Mera Dulha Bana | Madani Wedding Sehra