ADVERTISEMENT

नात पढ़ने की आदत है जो नात पढ़ने की आदत रहेगी / Naat Padhne Ki Aadat Hai Jo Naat Padhne Ki Aadat Rahegi

ना'त पढ़ने की 'आदत है जो, ना'त पढ़ने की 'आदत रहेगी
छूटता है तो छूटे कोई, मुस्तफ़ा से मोहब्बत रहेगी

उन से हट कर किधर जाएँगे, उन को छोड़ा तो मर जाएँगे
मुस्तफ़ा के करम की हमें हर जगह पे ज़रुरत रहेगी

हुस्न दुनिया का बर्बाद है, जिस का दिल इस से आबाद है
सिर्फ़ आक़ा को दिल में बसा, ज़िंदगी ख़ूबसूरत रहेगी

बद्र के और उहुद के शहीद, सब मनाएँगे महशर में 'ईद
हर शहादत पे भारी मगर कर्बला की शहादत रहेगी

'इश्क़ का आप इक फूल हैं, जान-ए-रहमत के मक़बूल हैं
धूम तो अब क़यामत-तलक आप की, आ'ला हज़रत ! रहेगी

न मुसीबत कोई आएगी और ग़ुर्बत कभी आएगी
घर के आँगन में जब तक मेरी माँ के क़दमों की बरकत रहेगी

पारसा हो या ज़ालिम बने, कोई शो'ऐब ! हाकिम बने
हिन्द में ख़्वाजा-ए-हिन्द की देख लेना हुकूमत रहेगी


ना'त-ख़्वाँ:
शोऐब रज़ा क़ादरी झाँसी





naa't pa.Dhne ki 'aadat hai jo, naa't pa.Dhne ki 'aadat rahegi
chhooT.ta hai to chhooTe koi, mustafa se mohabbat rahegi

un se haT kar kidhar jaaenge, un ko chho.Da to mar jaaenge
mustafa ke karam ki hame.n har jagah pe zaroorat rahegi

husn duniya ka barbaad hai, jis ka dil is se aabaad hai
sirf aaqa ko dil me.n basa, zindagi KHoobsoorat rahegi

badr ke aur uhud ke shaheed, sab manaaenge mehshar me.n 'eid
har shahaadat pe bhaari magar karbala ki shahaadat rahegi

'ishq ka aap ik phool hai.n, jaan-e-rahmat ke maqbool hai.n
dhoom to ab qayaamat-talak aap ki, aa'la hazrat ! rahegi

na museebat koi aaegi aur Gurbat kabhi aaegi
ghar ke aangan me.n jab tak meri maa.n ke qadmo.n ki barkat rahegi

paarsa ho ya zaalim bane, koi Sho'aib ! haakim bane
hind me.n KHwaja-e-hind ki dekh lena hukoomat rahegi


Naat-Khwaan:
Shoaib Raza Qadri Jhansi

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka