अज़ल से हाथ में दामन है आया ग़ौस-ए-आज़म का | ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का तज़मीन के साथ / Azal Se Hath Mein Daman Hai Aaya Ghaus-e-Azam Ka | Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghaus-e-Azam Ka With Tazmeen

इमदाद कुन, इमदाद कुन, अज़ रंज-ओ-ग़म आज़ाद कुन
दर दीन-ओ-दुनिया शाद कुन, या ग़ौस-ए-आ'ज़म दस्त-गीर !

शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !
साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !

अज़ल से हाथ में दामन है आया ग़ौस-ए-आ'ज़म का
करम से सिलसिला हम ने है पाया ग़ौस-ए-आ'ज़म का
'अदम से रब ने शैदाई बनाया ग़ौस-ए-आ'ज़म का
ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आ'ज़म का
हमें दोनों जहाँ में है सहारा ग़ौस-ए-आ'ज़म का

शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !
साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !

बनी किस के सबब हर बात है ! बग़दाद वाले के
हवाले किस के अपनी ज़ात है ! बग़दाद वाले के
हमारा साथ किस के साथ है ! बग़दाद वाले के
हमारी लाज किस के हाथ है ! बग़दाद वाले के
मुसीबत टाल देना काम किस का ! ग़ौस-ए-आ'ज़म का

शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !
साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !

शह-ए-जीलान ! दे कर ये ख़ुशख़बरी ग़ुलामों को
ब-रोज़-ए-हश्र भी राहत 'अता कर दी ग़ुलामों को
रहेगी क्यूँ भला अब कोई बेचैनी ग़ुलामों को
'मुरीदी ला-तख़फ़' कह कर तसल्ली दी ग़ुलामों को
क़यामत तक रहे बे-ख़ौफ बंदा ग़ौस-ए-आ'ज़म का

शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !
साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !

मोहब्बत से नवाज़ा जाएगा उन के ग़ुलामों को
ये कह दो, क़ादरी था क़ादरी हूँ क़ादरियों को
बुलाया जाएगा इक सिम्त सारे ख़ुश-नसीबों को
निदा देगा मुनादी हश्र में यूँ क़ादरियों को
कहाँ हैं क़ादरी ? कर लें नज़ारा ग़ौस-ए-आ'ज़म का

शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !
साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !

सुलूक अच्छा रखो मुझ ग़ौस-ए-आ'ज़म के दीवाने से
किनारा-कश रहा हूँ मुद्दतों सारे ज़माने से
मुझे अब हश्र में तुम क़ादरी इन'आम पाने से
फ़रिश्तो ! रोकते क्यूँ हो मुझे जन्नत में जाने से
ये देखो हाथ में दामन है किस का ! ग़ौस-ए-आ'ज़म का

शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !
साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !


तमामी देख लो इक बार जब मेरे जनाज़े को
ऐ प्यारो ! कर चुको सब प्यार जब मेरे जनाज़े को
बना लो ख़ूब ख़ुश्बूदार जब मेरे जनाज़े को
'अज़ीज़ो ! कर चुको तय्यार जब मेरे जनाज़े को
तो लिख देना कफ़न पर नाम-ए-वाला ग़ौस-ए-आ'ज़म का

शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !
साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !

अनोखा है, निराला है मेरे ग़ौस-उल-वरा का दर
चला इस दर रईस अशरफ़ की निस्बत जामी भी ले कर
फ़िदाई है जहाँ जिस का, ग़ुलामी जिस की है बेहतर
जमील-ए-क़ादरी ! सौ जाँ से हो क़ुर्बान मुर्शिद पर
बनाया जिस ने हम जैसों को बंदा ग़ौस-ए-आ'ज़म का

शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !
साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !


कलाम:
मौलाना जमील-उर-रहमान क़ादरी

तज़मीन:
सय्यिद जामी अशरफ़

ना'त-ख़्वाँ:
राओ ब्रदर्स
सय्यिद जामी अशरफ़





imdaad kun, imdaad kun
az ranj-o-Gam aazaad kun
dar deen-o-duniya shaad kun
ya Gaus-e-aa'zam dast-geer !

shaial-lillah, ya 'abd-al-qaadir !
saakin al-baGdaad ya shaiKH al-jeelaani !

azal se haath me.n daaman hai aaya Gaus-e-aa'zam ka
karam se silsila ham ne hai paaya Gaus-e-aa'zam ka
'adam se rab ne shaidaai banaaya Gaus-e-aa'zam ka
KHuda ke fazl se ham par hai saaya Gaus-e-aa'zam ka
hame.n dono.n jahaa.n me.n hai sahaara Gaus-e-aa'zam ka

shaial-lillah, ya 'abd-al-qaadir !
saakin al-baGdaad ya shaiKH al-jeelaani !

bani kis ke sabab har baat hai ! baGdaad waale ke
hawaale kis ke apni zaat hai ! baGdaad waale ke
hamaara saath kis ke saath hai ! baGdaad waale ke
hamaari laaj kis ke haath hai ! baGdaad waale ke
museebat Taal dena kaam kis ka ! Gaus-e-aa'zam ka

shaial-lillah, ya 'abd-al-qaadir !
saakin al-baGdaad ya shaiKH al-jeelaani !

shah-e-jeelaan ! de kar ye KHushKHabari Gulaamo.n ko
ba-roz-e-hashr bhi raahat 'ata kar di Gulaamo.n ko
rahegi kyu.n bhala ab koi bechaini Gulaamo.n ko
'mureedi laa-taKHaf' keh kar tasalli di Gulaamo.n ko
qayaamat tak rahe be-KHauf banda Gaus-e-aa'zam ka

shaial-lillah, ya 'abd-al-qaadir !
saakin al-baGdaad ya shaiKH al-jeelaani !

mohabbat se nawaaza jaaega un ke Gulaamo.n ko
ye keh do qaadri tha qaadri hu.n qaadriyo.n ko
bulaaya jaaega ik simt saare KHush-naseebo.n ko
nida dega munaadi hashr me.n yu.n qaadriyo.n ko
kahaa.n hai.n qaadri ? kar le.n nazaara Gaus-e-aa'zam ka

shaial-lillah, ya 'abd-al-qaadir !
saakin al-baGdaad ya shaiKH al-jeelaani !

sulook achchha rakho mujh Gaus-e-aa'zam ke deewaane se
kinaaraa-kash raha hu.n muddato.n saare zamaane se
mujhe ab hashr me.n tum qaadri in'aam paane se
farishto ! rokte kyu.n ho mujhe jannat me.n jaane se
ye dekho haath me.n daaman hai kis ka ! Gaus-e-aa'zam ka

shaial-lillah, ya 'abd-al-qaadir !
saakin al-baGdaad ya shaiKH al-jeelaani !

tamaami dekh lo ik baar jab mere janaaze ko
ai pyaaro ! kar chuko sab pyaar jab mere janaaze ko
bana lo KHoob KHushboodaar jab mere janaaze ko
'azeezo ! kar chuko tayyaar jab mere janaaze ko
to likh dena kafan par naam-e-waala Gaus-e-aa'zam ka

shaial-lillah, ya 'abd-al-qaadir !
saakin al-baGdaad ya shaiKH al-jeelaani !

anokha hai, niraala hai mere Gaus-ul-wara ka dar
chala is dar raees ashraf ki nisbat Jaami bhi le kar
fidaai hai jahaa.n jis ka, Gulaami jis ki hai behtar
Jameel-e-Qaadri ! sau jaa.n se ho qurbaan murshid par
banaaya jis ne ham jaiso.n ko banda Gaus-e-aa'zam ka

shaial-lillah, ya 'abd-al-qaadir !
saakin al-baGdaad ya shaiKH al-jeelaani !


Kalam:
Maulana Jameel-ur-Rahman Qadri

Tazmeen:
Saiyed Jami Ashraf

Naat-Khwaan:
Rao Brothers
Saiyed Jami Ashraf
Azal Se Hath Mein Daman Hai Aaya Ghaus e Azam Ka Lyrics in Hindi | Khuda Ke Fazl Se Hum Par Lyrics With Tazmeen | Ghous e Azam Manqabat Lyrics in Hindi | Azam Se Hath Me Daman Hai Aya Ghause gause gaus ghouse azam a'zam Ka | lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2024

Comments

Most Popular

क़ल्ब-ए-आशिक़ है अब पारा पारा | अलविदा अलविदा माह-ए-रमज़ाँ / Alvida Alvida Mahe Ramzan | Qalb-e-Aashiq Hai Ab Para Para | Alwada Alwada Mah-e-Ramzan

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

आक़ा ले लो सलाम अब हमारा / Aaqa Le Lo Salam Ab Hamara

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

हो करम सरकार अब तो हो गए ग़म बे-शुमार / Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumar