ADVERTISEMENT

वफ़ा के पैकर अदा में बरतर लक़ब में हैदर अली अली हैं | हमारे रहबर अली अली हैं / Wafa Ke Paikar Ada Mein Bartar Laqab Mein Haidar Ali Ali Hain | Hamare Rahbar Ali Ali Hain

वफ़ा के पैकर, अदा में बर-तर, लक़ब में हैदर 'अली 'अली हैं
नबी की लख़्त-ए-जिगर के शौहर, हमारे रहबर 'अली 'अली हैं

तेरा लड़कपन नबी की ख़ातिर, तेरी जवानी निसार उन पर
लड़े हैं शेरों के जैसे है सब बहादुरी का मदार उन पर
तक़ाज़ा है मेहरबानियों का, ये जान कर दो निसार उन पर
ख़िज़ाँ के अक़्वाल दूर रख कर, लुटाऊँ सारी बहार उन पर
अकेला लड़ते वो दुश्मनों से कि जैसे लश्कर 'अली 'अली हैं

वफ़ा के पैकर, अदा में बर-तर, लक़ब में हैदर 'अली 'अली हैं
नबी की लख़्त-ए-जिगर के शौहर, हमारे रहबर 'अली 'अली हैं

वो रात हिजरत की सो गए हैं, बे-ख़ौफ़ बिस्तर पे या नबी के
चले क़ुबा में अकेले प्यादा, थे पाँव ज़ख़्मी हुए 'अली के
ख़ुदा ने उन को बनाया चौथा ख़लीफ़ा ख़ुलफ़ा-ए-राशिदीं में
वो हैं ख़लीफ़ा अबू-बकर के, फ़ारूक़-ए-आ'ज़म के और ग़नी के
हसन के वालिद, हुसैन के बाबा, बड़ा मुक़द्दर 'अली 'अली हैं

वफ़ा के पैकर, अदा में बर-तर, लक़ब में हैदर 'अली 'अली हैं
नबी की लख़्त-ए-जिगर के शौहर, हमारे रहबर 'अली 'अली हैं

घराना 'आली, मक़ाम आ'ला, है शान ऊँची जुदा 'अली की
'अज़ीम बचपन है क्या जवानी, 'अज़ीम है इंतिहा 'अली की
रहूँगा ज़िंदा मैं जब तलक भी, करूँगा मदह सदा 'अली की
क़लम लिखेगा, वरक़ सजेंगे, चलेगी हर दम सना 'अली की
क़लम की ज़ीनत, वरक़ के जौहर, ज़ुबाँ का ज़ेवर 'अली 'अली हैं

वफ़ा के पैकर, अदा में बर-तर, लक़ब में हैदर 'अली 'अली हैं
नबी की लख़्त-ए-जिगर के शौहर, हमारे रहबर 'अली 'अली हैं

कोई न पाया क़ज़ा में बढ़ कर 'अली के जैसा सहाबियों में
जरी बहादुर, 'अज़म में पुख़्ता, रहा नबी के सिपाहियों में
लिखूँ तो इक दास्ताँ है कातिब, उन्हीं की रौशन शनासियों में
बड़ा ही रौशन, 'अज़ीम रुत्बा, मिला मुहम्मद के साथियों में
सख़ा में बर-तर, वफ़ा में आ'ला 'इलम के मसदर 'अली 'अली हैं

वफ़ा के पैकर, अदा में बर-तर, लक़ब में हैदर 'अली 'अली हैं
नबी की लख़्त-ए-जिगर के शौहर, हमारे रहबर 'अली 'अली हैं


शायर:
ज़हीर उस्मानी

नशीद-ख़्वाँ:
ज़हीर उस्मानी





wafa ke paikar, ada me.n bar-tar, laqab me.n haidar ali ali hai.n
nabi ki laKHt-e-jigar ke shauhar, hamaare rahbar ali ali hai.n

tera la.Dakpan nabi ki KHaatir, teri jawaani nisaar un par
la.De hai.n shero.n ke jaise hai sab bahaaduri ka madaar un par
taqaaza hai mehrbaaniyo.n ka, ye jaan kar do nisaar un par
KHizaa.n ke aqwaal door rakh kar, luTaau.n saari bahaar un par
akela la.Dte wo dushmano.n se ki jaise lashkar ali ali hai.n

wafa ke paikar, ada me.n bar-tar, laqab me.n haidar ali ali hai.n
nabi ki laKHt-e-jigar ke shauhar, hamaare rahbar ali ali hai.n

wo raat hijrat ki so gae hai.n, be-KHauf bistar pe ya nabi ke
chale quba me.n akele pyaada, the paanw zaKHmi hue 'ali ke
KHuda ne in ko banaaya chautha KHalifa KHulfa-e-rashidee.n me.n
wo hai.n KHalifa abu-bakar ke, farooq-e-aa'zam ke aur Gani ke
hasan ke waalid, husain ke baaba, ba.Da muqaddar ali ali hai.n

wafa ke paikar, ada me.n bar-tar, laqab me.n haidar ali ali hai.n
nabi ki laKHt-e-jigar ke shauhar, hamaare rahbar ali ali hai.n

gharaana 'aali, maqaam aa'la, hai shaan unchi juda 'ali ki
'azeem bachpan hai kya jawaani, 'azeem hai intiha 'ali ki
rahunga zinda mai.n jab talak bhi, karunga mad.h sada 'ali ki
qalam likhega, waraq sajenge, chalegi har dam sana 'ali ki
qalam ki zeenat, waraq ke jauhar, zubaa.n ka zewar ali ali hai.n

wafa ke paikar, ada me.n bar-tar, laqab me.n haidar ali ali hai.n
nabi ki laKHt-e-jigar ke shauhar, hamaare rahbar ali ali hai.n

koi na paaya qaza me.n ba.Dh kar 'ali ke jaisa sahaabiyo.n me.n
jari bahaadur, 'azam me.n puKHta, raha nabi ke sipaahiyo.n me.n
likhu.n to ik daastaa.n hai kaatib, unhi.n ki raushan shanaasiyo.n me.n
ba.Da hi raushan, 'azeem rutba, mila muhammad ke saathiyo.n me.n
saKHa me.n bar-tar, wafa me.n aa'la 'ilam ke masdar ali ali hai.n

wafa ke paikar, ada me.n bar-tar, laqab me.n haidar ali ali hai.n
nabi ki laKHt-e-jigar ke shauhar, hamaare rahbar ali ali hai.n


Poet:
Zaheer Usmani

Nasheed-Khwaan:
Zaheer Usmani

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka

आस्ताँ है ये किस शाह-ए-ज़ीशान का मरहबा मरहबा / Aastan Hai Ye Kis Shah-e-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

शैअन-लिल्लाह या अब्दुल क़ादिर | इधर भी निगाह-ए-करम ग़ौस-ए-आज़म / Shayian Lillah Ya Abdul Qadir | Idhar Bhi Nigah-e-Karam Ghous-e-Azam