ADVERTISEMENT

अफ़ज़ल है कुल जहाँ में घराना हुसैन का | नबियों का ताजदार है नाना हुसैन का / Afzal Hai Kul Jahan Mein Gharana Hussain Ka | Nabiyon Ka Tajdar Hai Nana Hussain Ka

अफ़ज़ल है कुल जहाँ में घराना हुसैन का
नबियों का ताजदार है नाना हुसैन का

शेर-ए-ख़ुदा के शेर हैं शब्बीर देखिए
कैसी चला रहे हैं वो शमशीर देखिए
हैदर का है निशाना, निशाना हुसैन का
नबियों का ताजदार है नाना हुसैन का

होश उड़ गए हैं देख के सारे जहान के
आँसू निकल पड़े हैं कभी आसमान के
अकबर को घोड़े पर वो चढ़ाना हुसैन का
नबियों का ताजदार है नाना हुसैन का

दौलत पे मरने वाले यज़ीदी को क्या ख़बर
शब्बीर कर्बला में अगर मार दें ठोकर
हो सारे कर्बला में ख़ज़ाना हुसैन का
नबियों का ताजदार है नाना हुसैन का

ज़ैनब भी साथ में है, सकीना भी साथ में
चर्चे हैं जिन की ज़ात के कुल काइनात में
कर्ब-ओ-बला में सब है घराना हुसैन का
नबियों का ताजदार है नाना हुसैन का

फ़ौज-ए-यज़ीदियत का नशा ही उतर गया
मंज़र ये देख देख के लश्कर बिखर गया
'अब्बास का 'अलम वो उठाना हुसैन का
नबियों का ताजदार है नाना हुसैन का


ना'त-ख़्वाँ:
मुहम्मद अली फ़ैज़ी





afzal hai kul jahaan me.n gharana husain ka
nabiyo.n ka taajdaar hai naana husain ka

sher-e-KHuda ke sher hai.n shabbir dekhiye
kaisi chala rahe hai.n wo shamsheer dekhiye
haidar ka hai nishaana, nishaana husain ka
nabiyo.n ka taajdaar hai naana husain ka

hosh u.D gae hai.n dekh ke saare jahaan ke
aansu nikal pa.De hai.n kabhi aasmaan ke
akbar ko gho.De par wo cha.Dhaana husain ka
nabiyo.n ka taajdaar hai naana husain ka

daulat pe marne waale yazeedi ko kya KHabar
shabbir karbala me.n agar maar de.n Thokar
ho saare karbala me.n KHazaana husain ka
nabiyo.n ka taajdaar hai naana husain ka

zainab bhi saath me.n hai, sakeena bhi saath me.n
charche hai.n jin ki zaat ke kul kaainaat me.n
karb-o-bala me.n sab hai gharaana husain ka
nabiyo.n ka taajdaar hai naana husain ka

fauj-e-yazeediyat ka nasha hi utar gaya
manzar ye dekh dekh ke lashkar bikhar gaya
'abbaas ka 'alam wo uThaana husain ka
nabiyo.n ka taajdaar hai naana husain ka


Naat-Khwaan:
Muhammad Ali Faizi

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह | बीबी आमिना के फूल अल्लाह ही अल्लाह / Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah Hi Allah | Bibi Amina Ke Phool Allah Hi Allah

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai