ADVERTISEMENT

दीवानो ख़ुशियाँ मनाओ आक़ा हमारे आए हैं / Deewano Khushiyan Manao Aaqa Hamare Aaye Hain

Deewano Khushiyan Manao Aaqa Hamare Aaye Hain Lyrics in Hindi & English

सारे जहाँ में धूम मची है, नूर के बादल छाए हैं
दीवानो ! ख़ुशियाँ मनाओ, आक़ा हमारे आए हैं

फ़र्श-ए-ज़मीं से 'अर्श-ए-बरीं तक जमाल है
ये आमद-ए-रसूल-ए-ख़ुदा का कमाल है
महशर में गुनहगारों को जो बख़्शवाएगा
ऐ बीबी आमिना ! वो तुम्हारा ही लाल है

दीवानो ! ख़ुशियाँ मनाओ, आक़ा हमारे आए हैं

अब जा, अँधेरे ! जा तेरे जाने का वक़्त है
अब आफ़ताब-ए-नूर के आने का वक़्त है
ऐ आसमाँ के चाँद-सितारो ! उतर पड़ो
जश्न-ए-रसूल-ए-पाक मनाने का वक़्त है

दीवानो ! ख़ुशियाँ मनाओ, आक़ा हमारे आए हैं

सेहन-ए-हरम की 'इज़्ज़त-ओ-'अज़मत सँभालने
गर्दन पकड़ के सारे बुतों को निकालने
उम्मत की मदद करने मददगार आ गए
हम 'आसियों के बन के ख़रीदार आ गए

दीवानो ! ख़ुशियाँ मनाओ, आक़ा हमारे आए हैं

अहमद रज़ा ने इतना दिया है जहान को
दुनिया जो पा रही है बरेली शरीफ़ से
मीलाद-ए-मुस्तफ़ा का ही सदक़ा है दो जहाँ
आवाज़ आ रही है बरेली शरीफ़ से

दीवानो ! ख़ुशियाँ मनाओ, आक़ा हमारे आए हैं

इस शान का तो कोई भी पैदा नहीं हुआ
या'नी मेरे हुज़ूर के जैसा नहीं हुआ
मुझ को बताओ लाख-करोड़ों में एक नाम
मेरे नबी के दर का जो मँगता नहीं हुआ

दीवानो ! ख़ुशियाँ मनाओ, आक़ा हमारे आए हैं

सोया हुआ नसीब जगाते हैं मुस्तफ़ा
देता हमें ख़ुदा है, दिलाते हैं मुस्तफ़ा
उन का मक़ाम कोई भला क्या समझ सके
चादर में अपनी जिन को छुपाते हैं मुस्तफ़ा

दीवानो ! ख़ुशियाँ मनाओ, आक़ा हमारे आए हैं


ना'त-ख़्वाँ:
सैफ़ रज़ा कानपुरी





saare jahaa.n me.n dhoom machi hai
noor ke baadal chhaae hai.n
deewano ! KHushiya.n manaao, aaqa hamaare aae hai.n

farsh-e-zamee.n se 'arsh-e-bari.n tak jamaal hai
ye aamad-e-rasool-e-KHuda ka kamaal hai
mehshar me.n gunahgaaro.n ko jo baKHshwaaega
ai bibi aamina ! wo tumhaara hi laal hai

deewano ! KHushiya.n manaao, aaqa hamaare aae hai.n

ab ja, andhere ! ja tere jaane ka waqt hai
ab aaftaab-e-noor ke aane ka waqt hai
ai aasmaa.n ke chaand-sitaaro ! utar pa.Do
jashn-e-rasool-e-paak manaane ka waqt hai

deewano ! KHushiya.n manaao, aaqa hamaare aae hai.n

sehn-e-haram ki 'izzat-o-'azmat sambhaalne
gardan paka.D ke saare buto.n ko nikaalne
ummat ki madad karne madadgaar aa gae
ham 'aasiyo.n ke ban ke KHareedaar aa gae

deewano ! KHushiya.n manaao, aaqa hamaare aae hai.n

ahmad raza ne itna diya hai jahaan ko
duniya jo pa rahi hai bareilly shareef se
meelad-e-mustafa ka hi sadqa hai do jahaa.n
aawaaz aa rahi hai bareilly shareef se

deewano ! KHushiya.n manaao, aaqa hamaare aae hai.n

is shaan ka to koi bhi paida nahi.n huaa
yaa'ni mere huzoor ke jaisa nahi.n huaa
mujh ko bataao laakh-karo.Do.n me.n ek naam
mere nabi ke dar ka jo mangta nahi.n huaa

deewano ! KHushiya.n manaao, aaqa hamaare aae hai.n

soya huaa naseeb jagaate hai.n mustafa
deta hame.n KHuda hai, dilaate hai.n mustafa
un ka maqaam koi bhala kya samajh sake
chaadar me.n apni jin ko chhupaate hai.n mustafa

deewano ! KHushiya.n manaao, aaqa hamaare aae hai.n


Naat-Khwaan:
Saif Raza Kanpuri

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह | बीबी आमिना के फूल अल्लाह ही अल्लाह / Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah Hi Allah | Bibi Amina Ke Phool Allah Hi Allah

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai