ADVERTISEMENT

हिदायत राहनुमाई हैं मेरे सरकार की बातें / Hidayat Rahnumai Hain Mere Sarkar Ki Baatein

हिदायत राहनुमाई हैं मेरे सरकार की बातें
भलाई ही भलाई हैं मेरे सरकार की बातें

गिरेंगे ताज क़दमों में नबी का बन के तो देखो
सहाबा ने सिखाई हैं मेरे सरकार की बातें

बने सिद्दीक़-ओ-फ़ारूक़ और ग़नी-ओ-हैदर-ए-कर्रार
वो जिन के मन को भाई हैं मेरे सरकार की बातें

ख़ज़ाना मिल गया गोया जहाँ में दर्दमंदों को
ग़रीबों की कमाई हैं मेरे सरकार की बातें

भटकने ही नहीं देता है उन का उस्वा-ए-हसना
भँवर में ना-ख़ुदाई हैं मेरे सरकार की बातें

अँधेरे जब भी आए हैं मेरी मंज़िल के रस्ते में
हमेशा जगमगाई हैं मेरे सरकार की बातें

हुई तदफ़ीन नफ़रत की, वफ़ाओं के चमन महके
मोहब्बत की दुहाई हैं मेरे सरकार की बातें

वुजूद-ए-ज़न को बख़्शी आबरू सर पर रिदा दे कर
हया हैं पारसाई हैं मेरे सरकार की बातें

बग़ैर उन की इता'अत के 'इबादत है रिया-कारी
ख़ुदा से आशनाई हैं मेरे सरकार की बातें

मुझे, अफ़ज़ाल ! भाते ही नहीं मंज़र ज़माने के
मेरे दिल में समाई हैं मेरे सरकार की बातें


शायर:
अफ़ज़ाल सिद्दीक़ी

ना'त-ख़्वाँ:
हसन अफ़ज़ाल सिद्दीक़ी





hidaayat rahnumaai hai.n mere sarkaar ki baate.n
bhalaai hi bhalaai hai.n mere sarkaar ki baate.n

girenge taaj qadmo.n me.n nabi ka ban ke to dekho
sahaaba ne sikhaai hai.n mere sarkaar ki baate.n

bane siddiq-o-faarooq aur Gani-o-haidar-e-karraar
wo jin ke man ko bhaai hai.n mere sarkaar ki baate.n

KHazaana mil gaya goya jahaa.n me.n dardmando.n ko
Gareebo.n ki kamaai hai.n mere sarkaar ki baate.n

bhaTakne hi nahi.n deta hai un ka uswa-e-hasna
bhanwar me.n naa-KHudaai hai.n mere sarkaar ki baate.n

andhere jab bhi aae hai.n meri manzil ke raste me.n
hamesha jagmagaai hai.n mere sarkaar ki baate.n

hui tadfeen nafrat ki, wafaao.n ke chaman mehke
mohabbat ki duhaai hai.n mere sarkaar ki baate.n

wujood-e-zan ko baKHshi aabroo sar par rida de kar
haya hai.n paarsaai hai.n mere sarkaar ki baate.n

baGair un ki itaa'at ke 'ibaadat hai riya-kaari
KHuda se aashnaai hai.n mere sarkaar ki baate.n

mujhe, Afzaal ! bhaate hi nahi.n manzar zamaane ke
mere dil me.n samaai hai.n mere sarkaar ki baate.n


Poet:

Afzaal Siddiqui

Naat-Khwaan:
Hassan Afzaal Siddiqui

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह | बीबी आमिना के फूल अल्लाह ही अल्लाह / Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah Hi Allah | Bibi Amina Ke Phool Allah Hi Allah

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai