ख़ुदा का दिल में बस जाना ये इक फ़ज़्ल-ए-ख़ुदावंदी / Khuda Ka Dil Mein Bas Jana Ye Ik Fazl-e-Khudawandi

ख़ुदा का दिल में बस जाना ये इक फ़ज़्ल-ए-ख़ुदावंदी
ख़ुदा का फ़ज़्ल पाना भी ख़ुदा की मेहरबानी है

मुझे है 'इश्क़ अल्लाह से, मेरा महबूब अल्लाह है
मुझे ये 'इश्क़ होना भी ख़ुदा की मेहरबानी है

मेरे ईमान की लज़्ज़त ख़ुदा के नाम ही से है
ख़ुदा का नाम लेना भी ख़ुदा की मेहरबानी है

कलामुल्लाह को पढ़ता हूँ, ख़ुदा से बात करता हूँ
ख़ुदा से जी लगाना भी ख़ुदा की मेहरबानी है

ख़ुदा के ज़िक्र से दिल में लगे ज़ंग को मिटाता हूँ
कि दिल से ज़ंग मिटाना भी ख़ुदा की मेहरबानी है

ख़ुदा की याद में शाम-ओ-सहर मेरे गुज़रते हैं
कि इन यादों में बसना भी ख़ुदा की मेहरबानी है

मैं इक गुमनाम सा रुदरुद फ़क़त अश'आर लिखता हूँ
मेरा अश'आर लिखना भी ख़ुदा की मेहरबानी है


शायर:
रुदरुद मुरादाबादी

नशीद-ख़्वाँ:
कलीम वारिस





KHuda ka dil me.n bas jaana ye ik fazl-e-KHudawandi
KHuda ka fazl paana bhi KHuda ki mehrbaani hai

mujhe hai 'ishq allah se, mera mahboob allah hai
mujhe ye 'ishq hona bhi KHuda ki mehrbaani hai

mere imaan ki lazzat KHuda ke naam hi se hai
KHuda ka naam lena bhi KHuda ki mehrbaani hai

kalaamullah ko pa.Dhta hu.n, KHuda se baat karta hu.n
KHuda se jee lagaana bhi KHuda ki mehrbaani hai

KHuda ke zikr se dil me.n lage zang ko miTaata hu.n
ki dil se zang miTaana bhi KHuda ki mehrbaani hai

KHuda ki yaad me.n shaam-o-sahar mere guzarte hai.n
ki in yaado.n me.n basna bhi KHuda ki mehrbaani hai

mai.n ik gumnaam sa RudRud faqat ash'aar likhta hu.n
mera ash'aar likhna bhi KHuda ki mehrbaani hai


Poet:
Rudrud Moradabadi

Nasheed-Khwaan:
Kaleem Waris
Khuda Ka Dil Mein Bas Jana Ye Ek Fazl e Khudawandi Lyrics | Khuda Ka Dil Mein Bas Jana Khuda Ki Mehrbani Hai Lyrics in Hindi | Khuda Ka Fazl Pana Bhi Khuda Ki Mehrabni Hai Lyrics in Hindi | me mei mai main basana maherbani meharbani hei hein hai hain | Khudavandi | fazle 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2026 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

अलविदा अलविदा माह-ए-रमज़ाँ / Alwida Alwida Mahe Ramzan | Alvida Alvida Mahe Ramzan

क़ल्ब-ए-आशिक़ है अब पारा पारा | अलविदा अलविदा माह-ए-रमज़ाँ / Qalb-e-Aashiq Hai Ab Para Para | Alvida Alvida Mahe Ramzan

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)

ऐ शहंशाह-ए-मदीना अस्सलातु वस्सलाम / Aye Shahenshah-e-Madina Assalatu Wassalam

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

ताजदार-ए-हरम ऐ शहंशाह-ए-दीं | तुम पे हर दम करोड़ों दुरूद-ओ-सलाम / Tajdar-e-Haram Aye Shahanshah-e-Deen | Tum Pe Har Dam Karodon Durood-o-Salam

आक़ा ले लो सलाम अब हमारा / Aaqa Le Lo Salam Ab Hamara