ADVERTISEMENT

नबी के इश्क़ में ढल कर नबी की नात पढ़ते हैं / Nabi Ke Ishq Mein Dhal Kar Nabi Ki Naat Padhte Hain

नबी के 'इश्क़ में ढल कर नबी की ना'त पढ़ते हैं
जो 'आशिक़ हैं वही अक्सर नबी की ना'त पढ़ते हैं

नज़र अपनी जमा कर गुंबद-ए-ख़ज़रा की रंगत पर
मदीन-ए-पाक के मंज़र नबी की ना'त पढ़ते हैं

ज़रा अंदाज़ तो देखे कोई ज़हरा के बेटे का
कटा के रन में अपना सर नबी की ना'त पढ़ते हैं

है आग़ोश-ए-पिदर, मुस्कान लब पर, तीर ज़ालिम का
अजब माहौल में असग़र नबी की ना'त पढ़ते हैं

इमाम अहमद रज़ा का 'इश्क़ भी कितना निराला है
उठा कर बहर से लंगर नबी की ना'त पढ़ते हैं

ठिकाने उन के दुश्मन को लगाते हैं रज़ा वाले
बदल के अपना जब तेवर नबी की ना'त पढ़ते हैं

कमाल इस में असद का कुछ नहीं, है ना'त की बरकत
जो बरसों से सर-ए-मिम्बर नबी की ना'त पढ़ते हैं


शायर:
असद इक़बाल कलकत्तवी

ना'त-ख़्वाँ:
असद इक़बाल कलकत्तवी





nabi ke 'ishq me.n Dhal kar nabi ki naa't pa.Dhte hai.n
jo 'aashiq hai.n wahi aksar nabi ki naa't pa.Dhte hai.n

nazar apni jama kar gumbad-e-KHazra ki rangat par
madin-e-paak ke manzar nabi ki naa't pa.Dhte hai.n

zara andaaz to dekhe koi zahra ke beTe ka
kaTa ke ran me.n apna sar nabi ki naa't pa.Dhte hai.n

hai aaGosh-e-pidar, muskaan lab par, teer zaalim ka
ajab maahaul me.n asGar nabi ki naa't pa.Dhte hai.n

imaam ahmad raza ka 'ishq bhi kitna niraala hai
uTha kar bahr se langar nabi ki naa't pa.Dhte hai.n

Thikaane un ke dushman ko lagaate hai.n raza waale
badal ke apna jab tewar nabi ki naa't pa.Dhte hai.n

kamaal is me.n Asad ka kuchh nahi.n, hai naa't ki barkat
jo barso.n se sar-e-mimbar nabi ki naa't pa.Dhte hai.n


Poet:
Asad Iqbal Kalkattavi

Naat-Khwaan:
Asad Iqbal Kalkattavi
Nabi Ke Ishq Mein Dhal Kar Nabi Ki Naat Padhte Hain Lyrics | Nabi Ke Ishq Mein Dhal Kar Nabi Ki Naat Padhte Hain Lyrics in Hindi | Asad Iqbal Naat Lyrics in Hindi | Jo Aashiq Hain Wahi Aksar Nabi Ki Naat Padhte Hain Lyrics in Hindi | parhte hai hein hei | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2026 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

मुस्तफ़ा के पाले हैं हम बरेली वाले हैं / Mustafa Ke Pale Hain Hum Bareilly Wale Hain

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

मस्लक-ए-आला-हज़रत सलामत रहे | या ख़ुदा चर्ख़-ए-इस्लाम पर ता-अबद / Maslak-e-Ala-Hazrat Salamat Rahe | Ya Khuda Charkh-e-Islam Par Ta-Abad

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

जो सुन्नियत की शान है रज़ा उसी का नाम है | रज़ा रज़ा रज़ा रज़ा / Jo Sunniyat Ki Shaan Hai Raza Usi Ka Naam Hai | Raza Raza Raza Raza

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana