ADVERTISEMENT

सारे नबियों के ओहदे बड़े हैं लेकिन आक़ा का मनसब जुदा है / Sare Nabiyon Ke Ohde Bade Hain Lekin Aaqa Ka Mansab Juda Hai

सारे नबियों के 'ओहदे बड़े हैं, लेकिन आक़ा का मनसब जुदा है
वो इमाम-ए-सफ़-ए-अंबिया हैं, उन का रुत्बा बड़ों से बड़ा है

कोई लफ़्ज़ों में कैसे बता दे, उन के रुत्बे की हद है तो क्या है
हम ने अपने बड़ों से सुना है, सिर्फ़ अल्लाह उन से बड़ा है

नाम जन्नत का तुम ने सुना है, मैं ने उस का नज़ारा किया है
मैं यहाँ से तुम्हें क्या बता दूँ, उन की नगरी की गलियों में क्या है

कितना प्यारा है मौसम वहाँ का, कितनी पुर-कैफ़ सारी फ़ज़ा है
तुम मेरे साथ ख़ुद चल के देखो, गर्द-ए-तयबा भी ख़ाक-ए-शिफ़ा है

वो जो इक शहर-ए-नूर-उल-हुदा है, जल्वा-गाहों का इक सिलसिला है
जिस की हर सुब्ह शम्सुद्दुहा है, जिस की हर शाम बदरुददुजा है

मुस्तक़िल उन की चौखट 'अता हो, मेरे मा'बूद ! ये इल्तिजा है
कोई पूछे तो ये कह सकूँ मैं, बाब-ए-जिब्रील मेरा पता है


शायर:
प्रोफ़ेसर सय्यिद इक़बाल अज़ीम

ना'त-ख़्वाँ:
सय्यिद हस्सानुल्लाह हुसैनी
सक़लैन रशीद





saare nabiyo.n ke 'ohde ba.De hai.n
lekin aaqa ka mansab juda hai
wo imaam-e-saf-e-ambiya hai.n
un ka rutba ba.Do.n se ba.Da hai

koi lafzo.n me.n kaise bata de
un ke rutbe ki had hai to kya hai
ham ne apne ba.Do.n se suna hai
sirf allah un se ba.Da hai

naam jannat ka tum ne suna hai
mai.n ne us ka nazaara kiya hai
mai.n yahaa.n se tumhe.n kya bata du.n
un ki nagri ki galiyo.n me.n kya hai

kitna pyaara hai mausam wahaa.n ka
kitni pur-kaif saari faza hai
tum mere saath KHud chal ke dekho
gard-e-tayba bhi KHaak-e-shifa hai

wo jo ik shehr-e-noor-ul-huda hai
jalwa-gaaho.n ka ik silsila hai
jis ki har sub.h shamsudduha hai
jis ki har shaam badrudduja hai

mustaqil un ki chaukhaT 'ata ho
mere maa'bood ! ye iltija hai
koi poochhe to ye keh saku.n mai.n
baab-e-jibreel mera pata hai


Poet:
Prof. Syed Iqbal Azeem

Naat-Khwaan:
Syed Hassan Ullah Hussaini
Saqlain Rasheed
Sare Nabiyon Ke Ohde Bade Hain Lyrics | Sare Nabiyon Ke Ohde Bade Hain Lyrics in Hindi | Lekin Aaqa Ka Mansab Juda Hai Lyrics in Hindi | Iqbal Azeem Naat Lyrics in Hindi | saare nabiyo uhde bare 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2026 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

मुस्तफ़ा के पाले हैं हम बरेली वाले हैं / Mustafa Ke Pale Hain Hum Bareilly Wale Hain

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

मस्लक-ए-आला-हज़रत सलामत रहे | या ख़ुदा चर्ख़-ए-इस्लाम पर ता-अबद / Maslak-e-Ala-Hazrat Salamat Rahe | Ya Khuda Charkh-e-Islam Par Ta-Abad

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

जो सुन्नियत की शान है रज़ा उसी का नाम है | रज़ा रज़ा रज़ा रज़ा / Jo Sunniyat Ki Shaan Hai Raza Usi Ka Naam Hai | Raza Raza Raza Raza

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana