ये अर्ज़ गुनहगार की है शाह-ए-ज़माना / Ye Arz Gunahgar Ki Hai Shah-e-Zamana

ये 'अर्ज़ गुनहगार की है शाह-ए-ज़माना
जब आख़िरी वक़्त आए मुझे भूल न जाना

सकरात की जब सख़्तियाँ सरकार हों तारी
लिल्लाह ! मुझे अपने नज़ारों में गुमाना

डर लगता है ईमाँ कहीं हो जाए न बर्बाद
सरकार ! बुरे ख़ातमे से मुझ को बचाना

जब रूह मेरी तन से निकलने की घड़ी हो
शैतान-ए-लईं से मेरा ईमान बचाना

जब दम हो लबों पर, ऐ शहंशाह-ए-मदीना !
तुम जल्वा दिखाना मुझे कलमा भी पढ़ाना

आक़ा ! मेरा जिस वक़्त कि दम टूट रहा हो
उस वक़्त मुझे चेहरा-ए-पुर-नूर दिखाना

सरकार ! मुझे नज़'अ में मत छोड़ना तनहा
तुम आ के मुझे सूरा-ए-यासीन सुनाना

जब गोर-ए-ग़रीबाँ को चले मेरा जनाज़ा
रहमत की रिदा इस पे ख़ुदा-रा तुम उढ़ाना

जब क़ब्र में अहबाब चलें मुझ को लिटा कर
ऐ प्यारे नबी ! गोर की वहशत से बचाना

तय ख़ैर से तदफ़ीन के हों सारे मराहिल
हो क़ब्र का भी लुत्फ़ से आसान दबाना

जिस वक़्त नकीरैन करें आ के सुवालात
आक़ा ! मुझे तुम आ के जवाबात सिखाना

सुन रक्खा है होता है बड़ा सख़्त अँधेरा
तुर्बत में मेरी नूर का फ़ानूस जलाना

जब क़ब्र की तन्हाई में घबराए मेरा दिल
देने को दिलासा शह-ए-अबरार तो आना

जब रोज़-ए-क़यामत रहे इक मील पे सूरज
कौसर का छलकता मुझे इक जाम पिलाना

हो 'अर्सा-ए-महशर में मेरा चाक न पर्दा
लिल्लाह मुझे दामन-ए-रहमत में छुपाना

महशर में हिसाब आह ! मैं दे ही न सकूँगा
रहमत न हुई, होगा जहन्नम में ठिकाना

फ़रमाएँगे जिस वक़्त ग़ुलामों की शफ़ा'अत
मैं भी हूँ ग़ुलाम आप का, मुझ को न भुलाना

फ़रमा के शफ़ा'अत मेरी, ऐ शाफ़े'-ए-महशर !
दोज़ख़ से बचा कर मुझे जन्नत में बसाना

या शाह-ए-मदीना ! मह-ए-रमज़ान का सदक़ा
जन्नत में पड़ोसी मुझे तुम अपना बनाना

अल्लाह की रहमत से ये मायूस नहीं है
हो जाएगा अत्तार की बख़्शिश का बहाना


शायर:
मुहम्मद इल्यास अत्तार क़ादरी

ना'त-ख़्वाँ:
महमूद अत्तारी





ye 'arz gunahgaar ki hai shaah-e-zamaana
jab aaKHiri waqt aae mujhe bhool na jaana

sakraat ki jab saKHtiyaa.n sarkaar ho.n taari
lillah ! mujhe apne nazaaro.n me.n gumaana

Dar lagta hai imaa.n kahi.n ho jaae na barbaad
sarkaar ! bure KHatme se mujh ko bachaana

jab rooh meri tan se nikalne ki gha.Di ho
shaitaan-e-laee.n se mera imaan bachaana

jab dam ho labo.n par, ai shahenshah-e-madina !
tum jalwa dikhaana mujhe kalma bhi pa.Dhaana

aaqa ! mera jis waqt ki dam TooT raha ho
us waqt mujhe chehra-e-pur-noor dikhaana

sarkaar ! mujhe naz'a me.n mat chho.Dna tanha
tum aa ke mujhe soora-e-yaseen sunaana

jab gor-e-Gareebaa.n ko chale mera janaaza
rahmat ki rida is pe KHuda-ra tum u.Dhaana

jab qabr me.n ahbaab chale.n mujh ko liTa kar
ai pyaare nabi ! gor ki wahshat se bachaana

tay KHair se tadfeen ke ho.n saare maraahil
ho qabr ka bhi lutf se aasaan dabaana

jis waqt nakeerain kare.n aa ke suwaalaat
aaqa ! mujhe tum aa ke jawaabaat sikhaana

sun rakkha hai hota hai ba.Da saKHt andhera
turbat me.n meri noor ka faanoos jalaana

jab qabr ki tanhaai me.n ghabraae mera dil
dene ko dilaasa shah-e-abraar to aana

jab roz-e-qayaamat rahe ik meel pe sooraj
kausar ka chhalakta mujhe ik jaam pilaana

ho 'arsa-e-mehshar me.n mera chaak na parda
lillah mujhe daaman-e-rahmat me.n chhupaana

mehshar me.n hisaab aah ! mai.n de hi na sakunga
rahmat na hui, hoga jahannam me.n Thikaana

farmaaenge jis waqt Gulaamo.n ki shafaa'at
mai.n bhi hu.n Gulaam aap ka, mujh ko na bhulaana

farma ke shafaa'at meri, ai shafe'-e-mehshar !
dozaKH se bacha kar mujhe jannat me.n basaana

ya shaah-e-madina ! mah-e-ramzaan ka sadqa
jannat me.n pa.Dosi mujhe tum apna banaana

allah ki rahmat se ye maayoos nahi.n hai
ho jaaega Attar ki baKHshish ka bahaana


Poet:
Muhammad Ilyas Attar Qadri

Naat-Khwaan:
Mehmood Attari
Ye Arz Gunahgar Ki Hai Shah e Zamana Lyrics | Ye Arz Gunahgar Ki Hai Shah e Zamana Lyrics in Hindi | Ye Arz Gunahgar Ki Hai Lyrics in English | shahe shaah shaahe | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2026 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

ऐ शहंशाह-ए-मदीना अस्सलातु वस्सलाम / Aye Shahenshah-e-Madina Assalatu Wassalam

वो बन में क़दम रख दें तो बन जाता है बन फूल | सर-ता-ब-क़दम है तन-ए-सुल्तान-ए-ज़मन फूल तज़मीन के साथ / Wo Ban Mein Qadam Rakh Den To Ban Jata Hai Ban Phool | Sar-Ta-Ba-Qadam Hai Tan-e-Sultan-e-Zaman Phool With Tazmeen

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale