हाजियों के बन रहे हैं क़ाफ़िले फिर या नबी / Hajiyon Ke Ban Rahe Hain Qafile Phir Ya Nabi

हाजियों के बन रहे हैं क़ाफ़िले फिर, या नबी !
फिर नज़र में फिर गए हज के मनाज़िर, या नबी !

कर रहे हैं जाने वाले हज की अब तय्यारियाँ
रह न जाऊँ मैं कहीं कर दो करम फिर, या नबी !

आह ! पल्ले ज़र नहीं, रख़्त-ए-सफ़र सरवर ! नहीं
तुम बुला लो तुम बुलाने पर हो क़ादिर, या नबी !

किस-क़दर था ख़ुश, मुझे जब पेश आया था सफ़र
मुझ को अब की बार भी बुलवाइए फिर, या नबी !

दिल मेरा ग़मगीन है और जान भी है मुज़्तरिब
मुर्शिदी का वासिता बुलवाइए फिर, या नबी !

ग़म के बादल छा रहे हैं, आह !  मेरे क़ल्ब पर
हाज़िरी की दो इजाज़त मुझ को तुम फिर, या नबी !

गुंबद-ए-ख़ज़रा के जल्वे देखने कब आऊँगा
कब तक अब तड़पाओगे तुम मुझ को आख़िर, या नबी !

आप ही अस्बाब, आक़ा ! फिर मुहय्या कीजिए
फिर दिखा दीजे मदीने के मनाज़िर, या नबी !

किस तरह तस्कीन दूँगा मैं दिल-ए-ग़मगीन को
रह गया गर हाज़िरी से मैं जो क़ासिर, या नबी !

मुझ पे क्या गुज़रेगी, आक़ा ! इस बरस गर रह गया
मेरा हाल-ए-दिल तो है सब तुम पे ज़ाहिर, या नबी !

आह ! तयबा से अगर मैं दूर रह कर मर गया
रूह भी रंजूर होगी किस-क़दर फिर, या नबी !

मिस्ल-ए-साबिक़ इस बरस भी कीजिए नज़र-ए-करम
मैं गुज़िश्ता साल आया था बिल-आख़िर, या नबी !

जो मदीने के लिए रहते हैं, आक़ा ! बे-क़रार
वो भी हो जाएँ तेरे रौज़े पे हाज़िर, या नबी !

चाक सीना, चाक दिल, सोज़-ए-जिगर और चश्म-ए-तर
दीजिए मुझ को तुफ़ैल-ए-'अब्द-ए-क़ादिर, या नबी !

बिल-यक़ीं क़ुरआन 'अज़मत पर तुम्हारी है गवाह
शाहिद-ओ-क़ासिम हो तुम तय्यिब हो ताहिर, या नबी !

तुम को 'इल्म-ए-ग़ैब मौला ने 'अता फ़रमा दिया
कर दिया हर जा पे हाज़िर और नाज़िर, या नबी !

इस्तिक़ामत दीन पर मुझ को 'अता फ़रमाइए
या रसूलल्लाह ! बरा-ए-आल-ए-यासिर, या नबी !

आप सब नबियों में अफ़ज़ल और मैं बदकार आह !
'आसियों में हूँ यगाना और नादिर, या नबी !

'आसी-ओ-बदकार के अपने ख़ुदा-ए-पाक से
बख़्शवा दो सब सग़ाइर और कबाइर, या नबी !

बाल भी बीका न मेरा तो कोई कर पाएगा
क्यूँ कि मेरे तुम हो हामी और नासिर, या नबी !

तिश्नगान-ए-दीद को हो दीद की शरबत 'अता
अज़-तुफ़ैल-ए-ग़ौस-ए-आ'ज़म 'अब्द-ए-क़ादिर, या नबी !

आह ! मेरा क्या बनेगा गर न हज पर जा सका
हो करम 'अत्तार पर हो जाए हाज़िर, या नबी !


शायर:
मुहम्मद इल्यास अत्तार क़ादरी

ना'त-ख़्वाँ:
हाजी मुहम्मद मुश्ताक़ अत्तारी
असद रज़ा अत्तारी
हाफ़िज़ उमर अत्तारी
मुबश्शिर हस्सान क़ादरी





haajiyo.n ke ban rahe hai.n qafile phir, ya nabi !
phir nazar me.n phir gaye hajj ke manaazir, ya nabi !

kar rahe hai.n jaane waale hajj ki ab tayyaariyaa.n
reh na jaau.n mai.n kahi.n kar do karam phir, ya nabi !

aah ! palle zar nahi.n, raKHt-e-safar sarwar ! nahi.n
tum bula lo tum bulaane par ho qaadir, ya nabi !

kis-qadar tha KHush, mujhe jab pesh aaya tha safar
mujh ko ab ki baar bhi bulwaaiye phir, ya nabi !

dil mera Gamgeen hai aur jaan bhi hai muztarib
murshidi ka waasita bulwaaiye phir, ya nabi !

Gam ke baadal chha rahe hai.n, aah ! mere qalb par
haaziri ki do ijaazat mujh ko tum phir, ya nabi !

gumbad-e-KHazra ke jalwe dekhne kab aaunga
kab tak ab ta.Dpaaoge tum mujh ko aaKHir, ya nabi !

aap hi asbaab, aaqa ! phir muhayya kijiye
phir dikha deeje madine ke manaazir, ya nabi !

kis tarah taskeen doonga mai.n dil-e-Gamgeen ko
reh gaya gar haaziri se mai.n jo qaasir, ya nabi !

mujh pe kya guzregi, aaqa ! is baras gar reh gaya
mera haal-e-dil to hai sab tum pe zaahir, ya nabi !

aah ! tayba se agar mai.n door reh kar mar gaya
rooh bhi ranjoor hogi kis-qadar phir, ya nabi !

misl-e-saabiq is baras bhi kijiye nazar-e-karam
mai.n guzishta saal aaya tha bil-aaKHir, ya nabi !

jo madine ke liye rehte hai.n, aaqa ! be-qaraar
wo bhi ho jaae.n tere rauze pe haazir, ya nabi !

chaak seena, chaak dil, soz-e-jigar aur chashm-e-tar
dijiye mujh ko tufail-e-'abd-e-qaadir, ya nabi !

bil-yaqee.n qur.aan 'azmat par tumhaari hai gawaah
shaahid-o-qaasim ho tum tayyib ho taahir, ya nabi !

tum ko 'ilm-e-Gaib maula ne 'ata farma diya
kar diya har jaa pe haazir aur naazir, ya nabi !

istiqaamat deen par mujh ko 'ata farmaaiye
ya rasoolallah ! bara-e-aal-e-yaasir, ya nabi !

aap sab nabiyo.n me.n afzal aur mai.n badkaar aah !
'aasiyo.n me.n hu.n yagaana aur naadir, ya nabi !

'aasi-o-badkaar ke apne KHuda-e-paak se
baKHshwa do sab saGaair aur kabaair, ya nabi !

baal bhi beeka na mera to koi kar paaega
kyu.n ki mere tum ho haami aur naasir, ya nabi !

tishnagaan-e-deed ko ho deed ki sharbat 'ata
az-tufail-e-Gaus-e-aa'zam 'abd-e-qaadir, ya nabi !

aah ! mera kya banega gar na hajj par jaa saka
ho karam 'Attar par ho jaae haazir, ya nabi !


Poet:
Muhammad Ilyas Attar Qadri

Naat-Khwaan:
Haji Muhammad Mushtaq Attari
Asad Raza Attari
Hafiz Umar Attari
Mubashir Hassan Qadri
Hajiyon Ke Ban Rahe Hain Qafile Phir Ya Nabi Lyrics in Hindi | Hajiyon Ke Ban Rahe Hain Qafile Phir Ya Nabi Lyrics in English | Hajj Kalam Lyrics in Hindi | hajiyo hei hein hai qafle fir | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2026 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

फ़ज़्ल-ए-रब्ब-ए-पाक से भाई मेरा दूल्हा बना | मदनी सेहरा / Fazl-e-Rabb-e-Pak Se Bhai Mera Dulha Bana | Madani Wedding Sehra

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ki Mahshar Mein Sirf Un Ki Rasaai Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana