ये किस शहंशाह-ए-वाला की आमद आमद है | बोलो मरहबा / Ye Kis Shahenshah-e-Wala Ki Aamad Aamad Hai | Bolo Marhaba

ये किस शहंशाह-ए-वाला की आमद आमद है
ये कौन से शह-ए-बाला की आमद आमद है

ये आज काहे की शादी है, 'अर्श क्यूँ झूमा
लब-ए-ज़मीं को लब-ए-आसमाँ ने क्यूँ चूमा

रुसुल उन्हीं का तो मुज़्दा सुनाने आए हैं
उन्हीं के आने की ख़ुशियाँ मनाने आए हैं

फ़रिश्ते आज जो धूमें मचाने आए हैं
उन्हीं के आने की शादी रचाने आए हैं

चमक से अपनी जहाँ जगमगाने आए हैं
महक से अपनी ये कूचे बसाने आए हैं

ये सीधा रास्ता हक़ का बताने आए हैं
ये हक़ के बंदों को हक़ से मिलाने आए हैं

जो गिर रहे थे उन्हें नाइबो ने थाम लिया
जो गिर चुके हैं ये उन को उठाने आए हैं

रऊफ़ ऐसे हैं और ये रहीम हैं इतने
कि गिरते पड़तों को सीने लगाने आए हैं

यही तो सोते हुओं को जगाने आए हैं
यही तो रोते हुओं को हँसाने आए हैं

इन्हें ख़ुदा ने किया अपने मुल्क का मालिक
इन्हीं के क़ब्ज़े में रब के ख़ज़ाने आए हैं

जो चाहेंगे, जिसे चाहेंगे ये उसे देंगे
करीम हैं ये ख़ज़ाने लुटाने आए हैं

सभी रुसुल ने कहा, इज़्हबू इला ग़ैरी
अना लहा का ये मुज़्दा सुनाने आए हैं

'अजब करम है कि ख़ुद मुजरिमों के हामी हैं
गुनहगारों की ये बख़्शिश कराने आए हैं

ये आज तारे ज़मीं की तरफ़ हैं क्यूँ माइल
ये आसमान से पैहम है नूर क्यूँ नाज़िल

ये आज क्या है ज़माने ने रंग बदला है
ये आज क्या है कि 'आलम का ढंग बदला है

सुनोगे "ला" न ज़बान-ए-करीम से, नूरी !
ये फ़ैज़-ओ-जूद के दरिया बहाने आए हैं

नसीब तेरा चमक उठा देख तो, नूरी !
'अरब के चाँद लहद के सिरहाने आए हैं


शायर:
मुस्तफ़ा रज़ा ख़ान नूरी

ना'त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
अब्दुल हबीब अत्तारी
मौलाना बिलाल रज़ा क़ादरी





ye kis shahenshah-e-waala ki aamad aamad hai
ye kaun se shah-e-baala ki aamad aamad hai

ye aaj kahe ki shaadi hai, 'arsh kyu.n jhooma
lab-e-zamee.n ko lab-e-aasmaa.n ne kyu.n chooma

rusul unhi.n ka to muzda sunaane aae hai.n
unhi.n ke aane ki KHushiyaa.n manaane aae hai.n

farishte aaj jo dhoome.n machaane aae hai.n
unhi.n ke aane ki shaadi rachaane aae hai.n

chamak se apni jahaa.n jagmagaane aae hai.n
mahak se apni ye kooche basaane aae hai.n

ye seedha raasta haq ka bataane aae hai.n
ye haq ke bando.n ko haq se milaane aae hai.n

jo gir rahe the unhe.n naaibo ne thaam liya
jo gir chuke hai.n ye un ko uThaane aae hai.n

rauf aise hai.n aur ye raheem hai.n itne
ki girte pa.Dto.n ko seene lagaane aae hai.n

jo gir rahe the unhe.n naaibo ne thaam liya
jo gir chuke hai.n ye un ko uThaane aae hai.n

yahi to sote huo.n ko jagaane aae hai.n
yahi to rote huo.n ko hansaane aae hai.n

inhe.n KHuda ne kiya apne mulk ka maalik
inhi.n ke qabze me.n rab ke KHazaane aae hai.n

jo chaahenge, jise chaahenge ye use denge
kareem hai.n ye KHazaane luTaane aae hai.n

sabhi rusul ne kaha, iz.habu ila Gairi
ana laha ka ye muzda sunaane aae hai.n

'ajab karam hai ki KHud mujrimo.n ke haami hai.n
gunahgaaro.n ki ye baKHshish karaane aae hai.n

ye aaj taare zamee.n ki taraf hai.n kyu.n maail
ye aasmaan se paiham hai noor kyu.n naazil

ye aaj kya hai zamaane ne rang badla hai
ye aaj kya hai ki 'aalam ka Dhang badla hai

sunoge "laa" na zabaan-e-kareem se, Noori !
ye faiz-o-jood ke dariya bahaane aae hai.n

naseeb tera chamak uTha dekh to, Noori !
'arab ke chaand lahad ke sirhaane aae hai.n


Poet:
Mustafa Raza Khan Noori

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Abdul Habib Attari
Maulana Bilal Raza Qadri
Ye Kis Shahenshah Wala Ki Amad Amad Hai Lyrics in Hindi | Yeh Kis Shahenshah e Wala Ki Aamad Aamad Hai Lyrics | Bolo Marhaba Naat Lyrics in Hindi | shehenshah shahenshahe shehenshahe | lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह | बीबी आमिना के फूल अल्लाह ही अल्लाह / Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah Hi Allah | Bibi Amina Ke Phool Allah Hi Allah

चारों तरफ़ नूर छाया | आक़ा का मीलाद आया / Chaaron Taraf Noor Chhaya | Aaqa Ka Milad Aaya

फ़लक के नज़ारो ज़मीं की बहारो | हुज़ूर आ गए हैं / Falak Ke Nazaro Zameen Ki Baharo | Huzoor Aa Gaye Hain

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

गली गली सज गई शहर शहर सज गया | जो आमिना के लाल का मीलाद करेंगे / Gali Gali Saj Gai Shahar Shahar Saj Gaya | Jo Amina Ke Laal Ka Milad Karenge (Part 1 | Part 2)

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye