कोई सलीक़ा है आरज़ू का न बंदगी मेरी बंदगी है | ये सब तुम्हारा करम है आक़ा / Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka Na Bandagi Meri Bandagi Hai | Ye Sab Tumhara Karam Hai Aaqa

कोई सलीक़ा है आरज़ू का, न बंदगी मेरी बंदगी है
ये सब तुम्हारा करम है, आक़ा ! कि बात अब तक बनी हुई है

किसी का एहसान क्यूँ उठाएँ, किसी को हालात क्यूँ बताएँ
तुम्हीं से माँगेंगे तुम ही दोगे, तुम्हारे दर से ही लौ लगी है

तजल्लियों के कफ़ील तुम हो, मुराद-ए-क़ल्ब-ए-ख़लील तुम हो
ख़ुदा की रौशन दलील तुम हो, ये सब तुम्हारी ही रौशनी है

तुम्हीं हो रूह-ए-रवान-ए-हस्ती, सुकूँ नज़र का दिलों की मस्ती
है दो जहाँ की बहार तुम से, तुम्हीं से फूलों में ताज़गी है

शु'ऊर-ओ-फ़िक्र-ओ-नज़र के दा'वे, हद-ए-त'अय्युन से बढ़ न पाए
न छू सके उन बुलंदियों को, जहाँ मक़ाम-ए-मुहम्मदी है

नज़र-नज़र रहमत-ए-सरापा, अदा-अदा ग़ैरत-ए-मसीहा
ज़मीर मुर्दा भी जी उठे हैं, जिधर तुम्हारी नज़र उठी है

'अमल की मेरे असास क्या है, ब-जुज़ नदामत के पास क्या है
रहे सलामत तुम्हारी निस्बत, मेरा तो इक आसरा यही है

'अता किया मुझ को दर्द-ए-उल्फ़त, कहाँ थी ये पुर-ख़ता की क़िस्मत
मैं इस करम के कहाँ था क़ाबिल, हुज़ूर की बंदा-परवरी है

उन्ही के दर से ख़ुदा मिला है, उन्हीं से उस का पता चला है
वो आईना जो ख़ुदा-नुमा है, जमाल-ए-हुस्न-ए-हुज़ूर ही है

बशीर कहिए नज़ीर कहिए, इन्हें सिराज-ए-मुनीर कहिए
जो सर-ब-सर है कलाम-ए-रब्बी, वो मेरे आक़ा की ज़िंदगी है

सना-ए-महबूब-ए-हक़ के क़ुर्बां, सुरूर-ए-जाँ का यही है 'उनवाँ
हर एक मस्ती फ़ना-ब-दामाँ, ये कैफ़ ही कैफ़-ए-सरमदी है

हम अपने आ'माल जानते हैं, हम अपनी निस्बत से कुछ नहीं हैं
तुम्हारे दर की 'अज़ीम निस्बत मता'-ए-'अज़मत बनी हुई है

यही है ख़ालिद ! असास-ए-रहमत, यही है ख़ालिद ! बिना-ए-'अज़मत
नबी का 'इरफ़ान ज़िंदगी है, नबी का 'इरफ़ान बंदगी है


शायर:
ख़ालिद महमूद ख़ालिद नक़्शबंदी

ना'त-ख़्वाँ:
अल्हाज ख़ुर्शीद अहमद
ओवैस रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी





koi saleeqa hai aarzoo ka
na bandagi meri bandagi hai
ye sab tumhaara karam hai, aaqa !
ki baat ab tak bani hui hai

kisi ka ehsaan kyu.n uThaae.n
kisi ko haalaat kyu.n bataae.n
tumhi.n se maangenge, tum hi doge
tumhaare dar se hi lau lagi hai

tajalliyo.n ke kafeel tum ho
muraad-e-qalb-e-KHaleel tum ho
KHuda ki raushan daleel tum ho
ye sab tumhaari hi raushani hai

tumhi.n ho rooh-e-rawaan-e-hasti
sukoo.n nazar ka, dilo.n ki masti
hai do jahaa.n ki bahaar tum se
tumhi.n se phoolo.n me.n taazgi hai

shu'oor-o-fikr-o-nazar ke daa'we
had-e-ta'ayyun se ba.Dh na paae
na choo sake un bulandiyo.n ko
jahaa.n maqaam-e-muhammadi hai

nazar-nazar rahmat-e-saraapa
ada-ada Gairat-e-maseeha
zameer murda bhi ji uThe hai.n
jidhar tumhaari nazar uThi hai

'amal ki mere asaas kya hai
ba-juz nadaamat ke paas kya hai
rahe salaamat tumhaari nisbat
mera to ik aasra yahi hai

'ata kiya mujh ko dard-e-ulfat
kahaa.n thi ye pur-KHata ki qismat
mai.n is karam ke kahaa.n tha qaabil
huzoor ki banda-parwari hai

unhi ke dar se KHuda mila hai
unhi.n se us ka pata chala hai
wo aaina jo KHuda-numa hai
jamaal-e-husn-e-huzoor hi hai

basheer kahiye, nazeer kahiye
inhe.n siraaj-e-muneer kahiye
jo sar-ba-sar hai kalaam-e-rabbi
wo mere aaqa ki zindagi hai

sana-e-mahboob-e-haq ke qurbaa.n
suroor-e-jaa.n ka yahi hai 'unwaa.n
har ek masti fana-ba-daamaa.n
ye kaif hi kaif-e-sarmadi hai

ham apne aa'maal jaante hai.n
ham apni nisbat se kuchh nahi.n hai.n
tumhaare dar ki 'azeem nisbat
mata'-e-'azmat bani hui hai

yahi hai, KHaalid ! asaas-e-rahmat
yahi hai, KHaalid ! bina-e-'azmat
nabi ka 'irfaan zindagi hai
nabi ka 'irfaan bandagi hai


Poet:
Khalid Mahmood Khalid Naqshbandi

Naat-Khwaan:
Alhaj Khurshid Ahmad
Owais Raza Qadri
Hafiz Tahir Qadri
Ye Sab Tumhara Karam Hai Aaqa Lyrics in English | Koi Saleeqa Hai Arzoo Ka Lyrics in Hindi | Koi Saleeqa Hai Arzoo Ka Na Bandagi Meri Bandagi Hai Lyrics in Hindi | Ye Sab Tumhara Karam Hai Aaqa Ke Baat Ab Tak Bani hui Hai Lyrics in Hindi | aqa huwi hei hein hain | saliqa saleeka salika hei arzu aarzu | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain