मेरे आक़ा मदीने में मुझे भी अब बुला लीजे / Mere Aaqa Madine Mein Mujhe Bhi Ab Bula Leeje

इक बार ही दिखा दो, आक़ा ! मुझे मदीना
बेशक बना लो, आक़ा ! मेहमान दो घड़ी का

मेरे आक़ा ! मदीने में मुझे भी अब बुला लीजे
तरसती हैं मेरी आँखें, मुझे रौज़ा दिखा दीजे

मेरे आक़ा ! मदीने में मुझे भी अब बुला लीजे

महकती हैं वो राहें जिन से, आक़ा ! आप हैं गुज़रे
मुझे भी उन गली कूचों में रहने की जगह दीजे

मेरे आक़ा ! मदीने में मुझे भी अब बुला लीजे

लड़ी साँसों की ये, आक़ा ! न जाने कब बिखर जाए
बुला लीजे मदीने और क़दमों में बसा लीजे

मेरे आक़ा ! मदीने में मुझे भी अब बुला लीजे

दुखों ने घेर रक्खा है, ग़मों की धूप है सर पर
ठिकाना गुंबद-ए-ख़ज़रा के साए में 'अता कीजे

मेरे आक़ा ! मदीने में मुझे भी अब बुला लीजे

मवाजह सामने हो जिस घड़ी, ये दम निकल जाए
बक़ी'-ए-पाक ही, आक़ा ! मेरा मदफ़न बना दीजे

मेरे आक़ा ! मदीने में मुझे भी अब बुला लीजे

'अक़ीदत से बिना ना'लैन जिस दर सय्यिदा आईं
मुझे भी सय्यिदुश्शुहदा की वो चौखट दिखा दीजे

मेरे आक़ा ! मदीने में मुझे भी अब बुला लीजे

कभी मैं जालियाँ थामूँ बसा कर पंजतन दिल में
'अली-ओ-फ़ातिमा, हसनैन का सदक़ा 'अता कीजे

मेरे आक़ा ! मदीने में मुझे भी अब बुला लीजे

सितारों कहकशाओं से मदीने की ग़ुबार अच्छी
मुयस्सर हो अगर, कातिब ! तो आँखों से लगा लीजे

मेरे आक़ा ! मदीने में मुझे भी अब बुला लीजे


शायर:
यूसुफ़ हुसैन कातिब

ना'त-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ अहमद रज़ा क़ादरी





ik baar hi dikha do, aaqa ! mujhe madina
beshak bana lo, aaqa ! mehmaan do gha.Di ka

mere aaqa ! madine me.n mujhe bhi ab bula leeje
tarasti hai.n meri aankhe.n, mujhe rauza dikha deeje

mere aaqa ! madine me.n mujhe bhi ab bula leeje

mahakti hai.n wo raahe.n jin se, aaqa ! aap hai.n guzre
mujhe bhi un gali koocho.n me.n rehne ki jagah deeje

mere aaqa ! madine me.n mujhe bhi ab bula leeje

la.Di saanso.n ki ye, aaqa ! na jaane kab bikhar jaae
bula leeje madine aur qadmo.n me.n basa leeje

mere aaqa ! madine me.n mujhe bhi ab bula leeje

dukho.n ne gher rakkha hai, Gamo.n ki dhoop hai sar par
Thikaana gumbad-e-KHazra ke saae me.n 'ata keeje

mere aaqa ! madine me.n mujhe bhi ab bula leeje

mawaajah saamne ho jis gha.Di, ye dam nikal jaae
baqee'-e-paak hi, aaqa ! mera madafan bana deeje

mere aaqa ! madine me.n mujhe bhi ab bula leeje

'aqeedat se bina naa'lain jis dar sayyida aai.n
mujhe bhi sayyidushshuhda ki wo chaukhaT dikha deeje

mere aaqa ! madine me.n mujhe bhi ab bula leeje

kabhi mai.n jaaliyaa.n thaamu.n basa kar panjtan dil me.n
'ali-o-faatima, hasnain ka sadqa 'ata keeje

mere aaqa ! madine me.n mujhe bhi ab bula leeje

sitaaro.n kehkashaao.n se madine ki Gubaar achchhi
muyassar ho agar, Kaatib ! to aankho.n se laga leeje

mere aaqa ! madine me.n mujhe bhi ab bula leeje


Poet:
Yousuf Hussain Katib

Naat-Khwaan:
Hafiz Ahmed Raza Qadri
Mere Aaqa Madine Mein Mujhe Bhi Ab Bula Lijiye Lyrics | Mere aaqa Madine Bula Lijiye in Hindi | Mere Aaqa Madine Bula lijiye Ahmed Raza Qadri | aqa aka aaka me mai main lije | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2026 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ki Mahshar Mein Sirf Un Ki Rasaai Hai

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale