जिस के घर का है सारा ज़माना ग़ुलाम, उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / Jis Ke Ghar Ka Hai Saara Zamaana Ghulaam, Us Husain Ibn-e-Haidar Pe Laakhon Salaam

जिस के घर का है सारा ज़माना ग़ुलाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम
सोच की हद से आगे है जिस का मक़ाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम

जिस के घर का है सारा ज़माना ग़ुलाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम

जिस का नाना रसूलों का सुल्तान है
जिस का बाबा 'अली कुल्ल-ए-ईमान है
सारी फ़िरदौस है जिस के बच्चों के नाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम

जिस के घर का है सारा ज़माना ग़ुलाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम

ज़िक्र जिस का मुक़द्दस बहारों में है
नूर जिस की नज़र का सितारों में है
चाँद करता है जिस की गली में क़याम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम

जिस के घर का है सारा ज़माना ग़ुलाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम

जिस के दुख में है शामिल ज़मीन-ओ-ज़माँ
याद में जिस की रोता है सारा जहाँ
ज़िक्र करते हैं जिस का गदा सुब्ह-ओ-शाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम

जिस के घर का है सारा ज़माना ग़ुलाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम

जो शहीदों का सय्यद है, सरदार है
क़ाफ़िला-ए-शुजा'अत का सालार है
जो है, फ़ारूक़ी ! सब मोमिनों का इमाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम

जिस के घर का है सारा ज़माना ग़ुलाम
उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम


शायर:
सुहैल कलीम फ़ारूक़ी

नात-ख़्वाँ:
उमैर ज़ुबैर क़ादरी





jis ke ghar ka hai saara zamaana Gulaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam
soch ki had se aage hai jis ka maqaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam

jis ke ghar ka hai saara zamaana Gulaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam

jis ka naana rasoolo.n ka sultaan hai
jis ka baaba 'ali kull-e-imaan hai
saari firdaus hai jis ke bachcho.n ke naam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam

jis ke ghar ka hai saara zamaana Gulaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam

zikr jis ka muqaddas bahaaro.n me.n hai
noor jis ki nazar ka sitaaro.n me.n hai
chaand karta hai jis ki gali me.n qayaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam

jis ke ghar ka hai saara zamaana Gulaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam

jis ke dukh me.n hai shaamil zameen-o-zamaa.n
yaad me.n jis ki rota hai saara jahaa.n
zikr karte hai.n jis ka gada sub.h-o-shaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam

jis ke ghar ka hai saara zamaana Gulaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam

jo shaheedo.n ka sayyad hai, sardaar hai
qafila-e-shujaa'at ka saalaar hai
jo hai, Farooqi ! sab momino.n ka imaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam

jis ke ghar ka hai saara zamaana Gulaam
us husain ibn-e-haidar pe laakho.n salaam


Poet:
Sohail Kaleem Farooqi

Naat-Khwaan:
Umair Zubair Qadri
Us Hussain Ibn e Haidar Pe Lakhon Salam Lyrics, Jis Ke Ghar Ka Hai Sara Zamana Ghulam Lyrics, Us Husain Ibn e Haidar Pe Lakhon Salam Lyrics in Hindi Husayn hussayn ibne haydar lakho laakho salaam jiske gar he saara zamaana gulam gulaam ghulaam lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई, नात शरीफ की किताब हिंदी में, आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman

Comments

Most Popular

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)