ADVERTISEMENT

बेहतरी जिस पे करे फ़ख़्र वो बेहतर सिद्दीक़ / Behtari Jis Pe Kare Fakhr Wo Behtar Siddiq

बेहतरी जिस पे करे फ़ख़्र वो बेहतर सिद्दीक़
सरवरी जिस पे करे नाज़ वो सरवर सिद्दीक़

चमनिस्तान-ए-नुबुव्वत की बहार-ए-अव्वल
गुलशन-ए-दीं के बने पहले गुल-ए-तर सिद्दीक़

बे-गुमाँ शम्'-ए-नुबुव्वत के हैं आईने चार
या'नी 'उस्मान-ओ-'उमर, हैदर-ओ-अकबर-सिद्दीक़

सारे असहाब-ए-नबी तारे हैं उम्मत के लिए
इन सितारों में बने मेहर-ए-मुनव्वर सिद्दीक़

बाल बच्चों के लिए घर में ख़ुदा को छोड़ें
मुस्तफ़ा पर करें घर-बार निछावर सिद्दीक़

एक घर-बार तो क्या ग़ार में जाँ भी दे दें
सॉंप डसता रहे लेकिन न हों मुज़्तर सिद्दीक़

इस इमामत से खुला, तुम हो इमाम-ए-अकबर
थी यही रम्ज़-ए-नबी, कहते हैं हैदर, सिद्दीक़ !

तू है आज़ाद सक़र से, तेरे बंदे आज़ाद
है ये सालिक भी तेरा बंदा-ए-बे-ज़र, सिद्दीक़ !


शायर:
मुफ़्ती अहमद यार ख़ान न'ईमी

ना'त-ख़्वाँ:
हसनैन रज़ा अत्तारी





behtari jis pe kare faKHr wo behtar siddiq
sarwari jis pe kare naaz wo sarwar siddiq

chamanistaan-e-nubuwwat ki bahaar-e-awwal
gulshan-e-dee.n ke bane pehle gul-e-tar siddiq

be-gumaa.n sham'-e-nubuwwat ke hai.n aaeene chaar
yaa'ni 'usmaan-o-'umar, haidar-o-akbar-siddiq

saare ashaab-e-nabi taare hai.n ummat ke liye
in sitaaro.n me.n bane mehr-e-munawwar siddiq

baal bachcho.n ke liye ghar me.n KHuda ko chho.De.n
mustafa par kare.n ghar-baar nichhaawar siddiq

ek ghar-baar to kya Gaar me.n jaa.n bhi de de.n
saa.np Dasta rahe lekin na ho.n muztar siddiq

is imaamat se khula, tum ho imaam-e-akbar
thi yahi ramz-e-nabi, kehte hai.n haidar, siddiq !

tu hai aazaad saqar se, tere bande aazaad
hai ye Saalik bhi tera banda-e-be-zar, siddiq !


Poet:
Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi

Naat-Khwaan:
Hasnain Raza Attari
Behtari Jis Pe Kare Fakhr Wo Behtar Siddiq Lyrics, Behtari Jis Pe Kare Fakhr Wo Behtar Siddique Lyrics in Hindi, Meray Nabi Ke Pehlay Khalifa Lyrics bahetari behatari jispe fakhar siddiqu siddique mere pahle pehle lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई, नात शरीफ की किताब हिंदी में, आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai