शेरों के क़बीले की आग़ोश के पाले हैं / Sheron Ke Qabeele Ki Aaghosh Ke Paale Hain

जुरअत ने बातिल की यूँ नींद उड़ाई है
इक बहन के ना'रे ने दुनिया लरज़ाई है

शेरों के क़बीले की आग़ोश के पाले हैं
बातिल से नहीं डरते, हम लोग जियाले हैं

अंधों को ख़बर क्या है, क्या है ये हिजाब अपना
तहज़ीब के आँचल में 'अज़मत के उजाले हैं

शेरों के क़बीले की आग़ोश के पाले हैं
बातिल से नहीं डरते, हम लोग जियाले हैं

मुस्कान ! तेरे जैसी हो क़ौम की हर बेटी
मिल्लत के सभी सपने अब तेरे हवाले हैं

शेरों के क़बीले की आग़ोश के पाले हैं
बातिल से नहीं डरते, हम लोग जियाले हैं

ग़ैरत को जगाता है पैग़ाम ओवैसी का
दुश्मन का ग़ुरूर अब तो हम तोड़ने वाले हैं

शेरों के क़बीले की आग़ोश के पाले हैं
बातिल से नहीं डरते, हम लोग जियाले हैं

इस बिन्त-ए-हव्वा के किरदार ने दिल जीता
बातिल के झुरमुट में ललकार ने दिल जीता

हम को ये टपकती छत क्या ख़ाक डराएगी
हम ने तो समंदर भी, दरिया भी खंगाले हैं

शेरों के क़बीले की आग़ोश के पाले हैं
बातिल से नहीं डरते, हम लोग जियाले हैं

अश'आर, सलीम ! अपने हस्सान के लहजे में
ज़हरीले 'अनासिर को ललकारने वाले हैं

अश'आर, सलीम ! अपने 'इमरान के लहजे में
ज़हरीले 'अनासिर को ललकारने वाले हैं

शेरों के क़बीले की आग़ोश के पाले हैं
बातिल से नहीं डरते, हम लोग जियाले हैं


शायर:
सरदार सलीम

ना'त-ख़्वाँ:
राओ ब्रदर्स
सय्यिद इमरान मुस्तफ़ा हुसैनी
इरफ़ान हैदरी





jur.at ne baatil ki yu.n neend u.Daai hai
ik bahan ke naa're ne duniya larzaai hai

shero.n ke qabeele ki aaGosh ke paale hai.n
baatil se nahi.n Darte, ham log jiyaale hai.n

andho.n ko KHabar kya hai, kya hai ye hijaab apna
tahzeeb ke aanchal me.n 'azmat ke ujaale hai.n

shero.n ke qabeele ki aaGosh ke paale hai.n
baatil se nahi.n Darte, ham log jiyaale hai.n

muskaan ! tere jaisi ho qaum ki har beTi
millat ke sabhi sapne ab tere hawaale hai.n

shero.n ke qabeele ki aaGosh ke paale hai.n
baatil se nahi.n Darte, ham log jiyaale hai.n

Gairat ko jagaata hai paiGaam owaisi ka
dushman ka Guroor ab to ham to.Dne waale hai.n

shero.n ke qabeele ki aaGosh ke paale hai.n
baatil se nahi.n Darte, ham log jiyaale hai.n

is bint-e-hawwa ke kirdaar ne dil jeeta
baatil ke jhurmuT me.n lalkaar ne dil jeeta

ham ko ye Tapakti chhat kya KHaak Daraaegi
ham ne to samandar bhi, dariya bhi khangaale hai.n

shero.n ke qabeele ki aaGosh ke paale hai.n
baatil se nahi.n Darte, ham log jiyaale hai.n

ash'aar, Saleem ! apne Hassaan Ke lahje me.n
zahreele 'anaasir ko lalkaarne waale hai.n

ash'aar, Saleem ! apne 'Imraan Ke lahje me.n
zahreele 'anaasir ko lalkaarne waale hai.n

shero.n ke qabeele ki aaGosh ke paale hai.n
baatil se nahi.n Darte, ham log jiyaale hai.n


Poet:
Sardar Saleem

Naat-Khwaan:
Rao Brothers
Sayed Imran Mustafa Hussaini
Irfan Haideri
Sheron Ke Qabile Ki Aagosh Ke Paale Hain Lyrics, Hijab Girl Kalam Lyrics, Muskan Khan Kalam, Jurat Ne Batil Ki Yun Neend Udai Hai Lyrics, Allahu Akbar Shero Qabeele agosh aghosh pale hai hei hein batil se nahin darte ham log jiyale hain andhon ko khabar kya hai kya hai hijab apna motivational kalam for khwateen e islam womens lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई, नात शरीफ की किताब हिंदी में, आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman

Comments

Most Popular

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

हो करम सरकार अब तो हो गए ग़म बे-शुमार / Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumar

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)