रबीउन्नूर उम्मीदों की दुनिया साथ ले आया | रबी-उल-अव्वल उम्मीदों की दुनिया साथ ले आया / Rabi un Noor Ummeedon Ki Duniya Saath Le Aaya | Rabi ul Awwal Ummeedon Ki Duniya Saath Le Aaya

रबी'उन्नूर उम्मीदों की दुनिया साथ ले आया
दु'आओं की क़ुबूलियत को हाथों हाथ ले आया

रबी'-उल-अव्वल उम्मीदों की दुनिया साथ ले आया
दु'आओं की क़ुबूलियत को हाथों हाथ ले आया

ख़ुदा ने ना-ख़ुदाई की ख़ुद इंसानी सफ़ीने की
कि रहमत बन के छाई बारहवीं शब इस महीने की

अज़ल के रोज़ जिस की धूम थी वो आज की शब है
जो क़िस्मत के लिए मक़्सूम थी वो आज की शब है

जहाँ में जश्न-ए-सुब्ह-ए-'ईद का सामान होता था
उधर शैतान कितना अपनी नाकामी पे रोता था

ब-हर-सू नग़्मा-ए-सल्ले-'अला गूँजा फ़ज़ाओं में
ख़ुशी ने ज़िंदगी की रूह दौड़ा दी हवाओं में

सदा हातिफ़ ने दी, ऐ साकिनान-ए-ख़ित्ता-ए-हस्ती !
हुई जाती है फिर आबाद ये उजड़ी हुई बस्ती

अभी जिब्रील उतरे भी न थे का'बे के मिम्बर से
कि इतने में सदा आई ये अब्दुल्लाह के घर से

ब-सद अंदाज़-ए-यकताई, ब-ग़ायत शान-ए-ज़ेबाई
अमीं बन कर अमानत आमिना की गोद में आई

फ़रिश्तों की सलामी देने वाली फ़ौज गाती थी
जनाब-ए-आमिना सुनती तो ये आवाज़ आती थी

मुबारक हो हबीब-ए-किब्रिया तशरीफ़ लाते हैं
मुबारक हो मुहम्मद मुस्तफ़ा तशरीफ़ लाते हैं

मुबारक मुर्सलीं के पेशवा तशरीफ़ लाते हैं
मुबारक हो कि ख़त्मुल-अंबिया तशरीफ़ लाते हैं

मुबारक हो शह-ए-हर-दो-सरा तशरीफ़ लाते हैं
मुबारक 'आसियों के आसरा तशरीफ़ लाते हैं

मुबारकबाद है उन के लिए जो ज़ुल्म सहते हैं
कहीं जिन को अमाँ मिलती नहीं, बर्बाद रहते हैं

मुबारकबाद बेवाओं की हसरत-ज़ा निगाहों को
असर बख़्शा गया नालों को, फ़रियादों को, आहों को

ज़'ईफ़ों, बेकसों, आफ़त-नसीबों को मुबारक हो
यतीमों को, ग़ुलामों को, ग़रीबों को मुबारक हो

मुबारक हो कि दौर-ए-राहत-ओ-आराम आ पहुँचा
नजात-ए-दाइमी की शक्ल में इस्लाम आ पहुँचा

मुबारक हो कि ख़त्म-उल-मुर्सलीं तशरीफ़ ले आए
जनाब-ए-रहमतुल-लिल-'आलमीं तशरीफ़ ले आए

सलाम, ऐ आमिना के ला'ल, ऐ महबूब-ए-सुब्हानी !
सलाम, ऐ फ़ख़्र-ए-मौजूदात, फ़ख़्र-ए-नौ'-ए-इंसानी !

सलाम, ऐ आतिश-ए-ज़ंजीर-ए-बातिल तोड़ने वाले !
सलाम, ऐ ख़ाक के टूटे हुए दिल जोड़ने वाले !

सलाम उन पर कि जिस ने गालियाँ सुन कर दु'आएँ दी
सलाम उन पर कि जिस ने बादशाही में फ़क़ीरी की

जहाँ तारीक था, ज़ुल्मत-कदा था, सख़्त काला था
कोई पर्दे से क्या निकला कि घर घर में उजाला था

ज़बाँ पर अश्रक़ल-बदरु 'अलैना की सदाएँ थीं
दिलों में मा द'आ लिल्लाहि दा'ई की दु'आएँ थीं

वो नन्हीं बच्चियाँ छतों पे चढ़ कर दफ़ बजाती थीं
रसूल-ए-पाक की जानिब इशारे कर के गाती थीं

कि हम हैं बच्चियाँ नज्जार के 'आली घराने की
ख़ुशी है आमिना के ला'ल के तशरीफ़ लाने की

मुबारक हो ! मुबारक हो ! मुबारक हो ! मुबारक हो !
मुबारक 'ईद-ए-मीलादुन्नबी का फिर पयाम आया





rabi'unnoor ummeedo.n ki duniya saath le aaya
du'aao.n ki qubooliyat ko haatho.n haath le aaya

rabi'-ul-awwal ummeedo.n ki duniya saath le aaya
du'aao.n ki qubooliyat ko haatho.n haath le aaya

KHuda ne naa-KHudaai ki KHud insaani safeene ki
ki rehmat ban ke chhaai baarahwi.n shab is maheene ki

azal ke roz jis ki dhoom thi wo aaj ki shab hai
jo qismat ke liye maqsoom thi wo aaj ki shab hai

jahaa.n me.n jashn-e-sub.h-e-'eid ka saamaan hota tha
udhar shaitaan kitna apni naakaami pe rota tha

ba-har-soo naGma-e-salle-'ala goonja fazaao.n me.n
KHushi ne zindagi ki rooh dau.Da di hawaao.n me.n

sada haatif ne di, ai saakinaan-e-KHitta-e-hasti !
hui jaati hai phir aabaad ye uj.Di hui basti

abhi jibreel utre bhi na the kaa'be ke mimbar se
ki itne me.n sada aai ye abdullah ke ghar se

ba-sad andaaz-e-yaktaai, ba-Gaayat shaan-e-zebaai
amee.n ban kar amaanat aamina ki god me.n aai

farishto.n ki salaami dene waali fauj gaati thi
janaab-e-aamina sunti thi, ye aawaaz aati thi

mubaarak ho habeeb-e-kibriya tashreef laate hai.n
mubaarak ho muhammad mustafa tashreef laate hai.n

mubaarak mursalee.n ke peshwa tashreef laate hai.n
mubaarak ho ki KHatmul-ambiya tashreef laate hai.n

mubaarak ho shah-e-har-do-sara tashreef laate hai.n
mubaarak 'aasiyo.n ke aasra tashreef laate hai.n

mubaarakbaad hai un ke liye jo zulm sehte hai.n
kahi.n jin ko amaa.n milti nahi.n, barbaad rehte hai.n

mubaarakbaad bewaao.n ki hasrat-zaa nigaaho.n ko
asar baKHsha gaya naalo.n ko, fariyaado.n ko, aaho.n ko

za'eefo.n, bekaso.n, aafat-naseebo.n ko mubaarak ho
yateemo.n ko, Gulaamo.n ko, Gareebo.n ko mubaarak ho

mubaarak ho ki daur-e-raahat-o-aaraam aa pahuncha
najaat-e-daaimi ki shakl me.n islaam aa pahuncha

mubaarak ho ki KHatm-e-mursalee.n tashreef le aae
janaab-e-rahmatul-lil-aalmee.n tashreef le aae

salaam, ai aamina ke laa'l, ai mehboob-e-sub.haani !
salaam, ai faKHr-e-maujoodaat, faKHr-e-nau'-e-insaani !

salaam, ai aatish-e-zanjeer-e-baatil to.Dne waale !
salaam, ai KHaak ke TooTe hue dil jo.Dne waale !

salaam un par ki jis ne gaaliyaa.n sun kar du'aae.n di
salaam un par ki jis ne baadshaahi me.n faqeeri ki

jahaa.n taareek tha, zulmat-kada tha, saKHt kaala tha
koi parde se kya nikla ki ghar ghar me.n ujaala thaa

zabaa.n par ashraqal-badru 'alaina ki sadaae.n thi.n
dilo.n me.n maa da'aa lillahi daa'i ki du'aae.n thi.n

wo nanhi.n bachchiya.n chhato.n pe cha.Dh kar daf bajaati thi.n
rasool-e-paak ki jaanib ishaare kar ke gaati thi.n

ki ham hai.n bachchiya.n najjaar ke 'aali gharaane ki
KHushi hai aamina ke laa'l ke tashreef laane ki

mubaarak ho ! mubaarak ho ! mubaarak ho ! mubaarak ho !
mubaarak 'eid-e-milaadunnabi ka phir payaam aaya
Rabi un Noor Ummidon Ki Duniya Saath Le Aaya Lyrics in Hindi | Rabi un Awwal Ummidon Ki Duniya Saath Le Aaya Lyrics | Rabi ul Awwal Salam Lyrics | ummido rabi ul awal ummeedo lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Most Popular

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

मेरा बादशाह हुसैन है | ऐसा बादशाह हुसैन है / Mera Baadshaah Husain Hai | Aisa Baadshaah Husain Hai

हम हुसैन वाले हैं / Hum Hussain Wale Hain

कर्बला के जाँ-निसारों को सलाम / Karbala Ke Jaan-nisaron Ko Salam

अल्लाह की रज़ा है मोहब्बत हुसैन की | या हुसैन इब्न-ए-अली / Allah Ki Raza Hai Mohabbat Hussain Ki | Ya Hussain Ibne Ali

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

हुसैन आज सर को कटाने चले हैं / Husain Aaj Sar Ko Katane Chale Hain