ADVERTISEMENT

आज अश्क मेरे नात सुनाएँ तो अजब क्या / Aaj Ashk Mere Naat Sunaein To Ajab Kya

आज अश्क मेरे ना'त सुनाएँ तो अजब क्या
सुन कर वो मुझे पास बुलाएँ तो अजब क्या

उन पर तो गुनहगार का सब हाल खुला है
इस पर भी वो दामन में छुपाएँ तो अजब क्या

मुँह ढाँप के रखना कि गुनहगार बहुत हूँ
मय्यत को मेरी देखने आएँ तो अजब क्या

दीदार के क़ाबिल तो नहीं चश्म-ए-तमन्ना
लेकिन वो कभी ख़्वाब में आएँ तो अजब क्या

दीदार के क़ाबिल तो कहाँ मेरी नज़र है
लेकिन वो कभी ख़्वाब में आएँ तो अजब क्या

न ज़ाद-ए-सफ़र है, न कोई काम भले हैं
फिर भी मुझे सरकार बुलाएँ तो अजब क्या

वो हुस्न-ए-दो-'आलम हैं, अदीब ! उन के क़दम से
सहरा में अगर फूल खिल आएँ तो अजब क्या


शायर:
अदीब रायपुरी

ना'त-ख़्वाँ:
अल्हाज ख़ुर्शीद अहमद
ओवैस रज़ा क़ादरी
सरवर हुसैन नक़्शबंदी





aaj ashk mere naa't sunaae.n to ajab kya
sun kar wo mujhe paas bulaae.n to ajab kya

un par to gunahgaar ka sab haal khula hai
is par bhi daaman me.n chhupaae.n to ajab kya

munh Dhaanp ke rakhna ki gunahgaar bahut hu.n
mayyat ko meri dekhne aae.n to ajab kya

deedaar ke qaabil to nahi.n chashm-e-tamanna
lekin wo kabhi KHwaab me.n aae.n to ajab kya

deedaar ke qaabil to kaha.n meri nazar hai
lekin wo kabhi KHwaab me.n aae.n to ajab kya

na zaad-e-safar hai, na koi kaam bhale hai.n
phir bhi mujhe sarkaar bulaae.n to ajab kya

wo husn-e-do-'aalam hai.n, Adeeb ! un ke qadam se
sehra me.n agar phool khil aae.n to ajab kya


Poet:
Adeeb Raipuri

Naat-Khwaan:
Alhaj Khurshid Ahmad
Owais Raza Qadri
Sarwar Hussain Naqshbandi

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai