है तेरी इनायात का डेरा मेरे घर में / Hai Teri Inayat Ka Dera Mere Ghar Mein

है तेरी 'इनायात का डेरा मेरे घर में
सब तेरा है, कुछ भी नहीं मेरा मेरे घर में

है तेरी 'इनायात का डेरा मेरे घर में

जागा तेरी निस्बत से शब-ए-ग़म का मुक़द्दर
आया तेरे आने से सवेरा मेरे घर में

है तेरी 'इनायात का डेरा मेरे घर में

अंदाज़ मेरे घर के तो कुछ और ही होंगे
जिस रोज़ क़दम आएगा तेरा मेरे घर में

है तेरी 'इनायात का डेरा मेरे घर में

मुद्दत से मेरे दिल में है अरमान-ए-ज़ियारत
हो जाए करम का कोई फेरा मेरे घर में

है तेरी 'इनायात का डेरा मेरे घर में

दरवाज़े पे लिक्खा है तेरा इस्म-ए-गिरामी
आता नहीं भूले से अँधेरा मेरे घर में

है तेरी 'इनायात का डेरा मेरे घर में

मिदहत ने तेरी मुझ को ये ए'ज़ाज़ दिया है
है सारे उजालों का बसेरा मेरे घर में

है तेरी 'इनायात का डेरा मेरे घर में

ख़ालिद को तेरे नाम से तौक़ीर मिली है
जो कुछ है ये एहसान है तेरा मेरे घर में

है तेरी 'इनायात का डेरा मेरे घर में


शायर:
ख़ालिद महमूद नक़्शबंदी

ना'त-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ डॉ. निसार अहमद मार्फ़ानी
ज़ोहैब अशरफ़ी
राओ अर्सल





hai teri 'inaayaat ka Dera mere ghar me.n
sab tera hai, kuchh bhi nahi.n mera mere ghar me.n

hai teri 'inaayaat ka Dera mere ghar me.n

jaaga teri nisbat se shab-e-Gam ka muqaddar
aaya tere aane se sawera mere ghar me.n

hai teri 'inaayaat ka Dera mere ghar me.n

andaaz mere ghar ke to kuchh aur hi honge
jis roz qadam aaega tera mere ghar me.n

hai teri 'inaayaat ka Dera mere ghar me.n

muddat se mere dil me.n hai armaan-e-ziyaarat
ho jaae karam ka koi phera mere ghar me.n

hai teri 'inaayaat ka Dera mere ghar me.n

darwaaze pe likkha hai tera ism-e-giraami
aata nahi.n bhoole se andhera mere ghar me.n

hai teri 'inaayaat ka Dera mere ghar me.n

mid.hat ne teri mujh ko ye e'zaaz diya hai
hai saare ujaalo.n ka basera mere ghar me.n

hai teri 'inaayaat ka Dera mere ghar me.n

KHaalid ko tere naam se tauqeer mili hai
jo kuchh hai ye ehsaan hai tera mere ghar me.n

hai teri 'inaayaat ka Dera mere ghar me.n


Poet:
Khalid Mehmood Naqshbandi

Naat-Khwaan:
Hafiz Dr. Nisar Ahmed Marfani
Zohaib Ashrafi
Rao Arsal
Hai Teri Inayat Ka Dera Mere Ghar Mein Lyrics | Hai Teri Inayat Ka Dera Mere Ghar Mein Lyrics in Hindi | Hai Teri Inayat Ka Dera Mere Ghar Me Lyrics | inaayat inayaat main mei mai lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Most Popular

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)