सुनहरी जालियाँ गुंबद सुहाना याद आता है | मुझे रह रह के आक़ा का मदीना याद आता है / Sunehri Jaliyan Gumbad Suhana Yaad Aata Hai | Mujhe Reh Reh Ke Aaqa Ka Madina Yaad Aata Hai
सुनहरी जालियाँ, गुंबद सुहाना याद आता है
मुझे रह रह के आक़ा का मदीना याद आता है
छमा-छम नूर की बरसात थी और सामने ख़ज़रा
रसूल-ए-पाक को ना'तें सुनाना याद आता है
हुदूद-ए-मस्जिद-ए-नबवी में चलना, बैठना, उठना
कबूतर को वहाँ दाना खिलाना याद आता है
वो छतरी ऐसे खुलती है कि जैसे पर फ़रिश्तों के
फिर उस के साए में इफ़्तार करना याद आता है
वो जिस ख़ुश्बू से आक़ा को सहाबा ढूँड लेते थे
वो ख़ुश्बू याद आती है, पसीना याद आता है
तवाफ़-ए-क़ब्र-ए-हम्ज़ा कर के कहती है हवा अब भी
तुम्हारा बद्र के मैदाँ में आना याद आता है
बक़ी'-ए-पाक से जब गुंबद-ए-ख़ज़रा नज़र आता
कलाम-ए-आ'ला-हज़रत गुनगुनाना याद आता है
बक़ी'-ए-पाक का मंज़र, सहाबा की हसीं क़ब्रें
वहाँ से गुंबद-ए-ख़ज़रा को तकना याद आता है
उठे ऊँगली क़मर टुकड़े हो, सूरज भी पलट आए
पहाड़ों को इशारे से बुलाना याद आता है
ये अहमद था नहीं लाइक़ कि जाता ये मदीने में
मगर सरकार का फिर भी बुलाना याद आता है
शायर:
अहमदुल फ़त्ताह
ना'त-ख़्वाँ:

sunehri jaaliya.n, gumbad suhaana yaad aata hai
mujhe reh reh ke aaqa ka madina yaad aata hai
chhama-chham noor ki barsaat thi aur saamne KHazra
rasool-e-paak ko naa'te.n sunaana yaad aata hai
hudood-e-masjid-e-nabawi me.n chalna, baiThna, uThna
kabootar ko wahaa.n daana khilaana yaad aata hai
wo chhatri aise khulti hai ki jaise par farishto.n ke
phir us ke saae me.n iftaar karna yaad aata hai
wo jis KHushboo se aaqa ko sahaaba DhoonD lete the
wo KHushboo yaad aati hai, paseena yaad aata hai
tawaaf-e-qabr-e-hamza kar ke kehti hai hawa ab bhi
tumhaara badr ke maidaa.n me.n aana yaad aata hai
baqi'-e-paak se jab gumbad-e-KHazra nazar aata
kalaam-e-aa'la hazrat gungunaana yaad aata hai
baqi'-e-paak ka manzar, sahaaba ki hasee.n qabre.n
wahaa.n se gumbad-e-KHazra ko takna yaad aata hai
uThe ungli qamar Tuk.De ho, sooraj bhi palat aae
pahaa.Do.n ko ishaare se bulaana yaad aata hai
ye Ahmad tha nahi.n laaiq ki jaata ye madine me.n
magar sarkaar ka phir bhi bulaana yaad aata hai
Poet:
Ahmadul Fattah
Naat-Khwaan:

Comments
Post a Comment