ADVERTISEMENT

मुस्तफ़ा के हैं वफ़ादार सहाबा | आशिक़-ए-सय्यिद-ए-अबरार सहाबा सारे / Mustafa Ke Hain Wafadar Sahaba | Aashiq-e-Sayyed-e-Abrar Sare

जान-ओ-दिल तेरे क़दम पर वारे
क्या नसीबे हैं तेरे यारों के

सहाबा सहाबा नबी के सहाबा
हमें जान-ओ-दिल से हैं प्यारे सहाबा

'आशिक़-ए-सय्यिद-ए-अबरार सहाबा सारे
मा-ए-उल्फ़त से हैं सरशार सहाबा सारे

मुस्तफ़ा के हैं वफ़ादार सहाबा
मुस्तफ़ा के हैं वफ़ादार सहाबा

'आशिक़-ए-सय्यिद-ए-अबरार सहाबा सारे

चार यारान-ए-नबी अफ़ज़ल-ए-असहाब हुए
मानते इन को हैं सरदार सहाबा सारे

मुस्तफ़ा के हैं वफ़ादार सहाबा
मुस्तफ़ा के हैं वफ़ादार सहाबा

'आशिक़-ए-सय्यिद-ए-अबरार सहाबा सारे
'आशिक़-ए-सय्यिद-ए-अबरार सहाबा सारे

उन के औसाफ़ बयाँ करता है ख़ुद उन का ख़ुदा
उस के दरबार में रूदार सहाबा सारे

मुस्तफ़ा के हैं वफ़ादार सहाबा
मुस्तफ़ा के हैं वफ़ादार सहाबा

'आशिक़-ए-सय्यिद-ए-अबरार सहाबा सारे
'आशिक़-ए-सय्यिद-ए-अबरार सहाबा सारे

कर लिया वा'दा-ए-हुसना भी ख़ुदा ने उन से
ख़ुल्द के क्यूँ न हों हक़दार सहाबा सारे

मुस्तफ़ा के हैं वफ़ादार सहाबा
मुस्तफ़ा के हैं वफ़ादार सहाबा

'आशिक़-ए-सय्यिद-ए-अबरार सहाबा सारे
'आशिक़-ए-सय्यिद-ए-अबरार सहाबा सारे

नाव की मिस्ल हुए शाह के सब अहल-ए-बैत
और अंजुम हुए ज़ौ-बार सहाबा सारे

मुस्तफ़ा के हैं वफ़ादार सहाबा
मुस्तफ़ा के हैं वफ़ादार सहाबा

'आशिक़-ए-सय्यिद-ए-अबरार सहाबा सारे
'आशिक़-ए-सय्यिद-ए-अबरार सहाबा सारे

वो चुनीदा हैं उन्हें सोहबत-ए-सरकार मिली
हैं हिदायत के 'अलम-दार सहाबा सारे

मुस्तफ़ा के हैं वफ़ादार सहाबा
मुस्तफ़ा के हैं वफ़ादार सहाबा

'आशिक़-ए-सय्यिद-ए-अबरार सहाबा सारे
'आशिक़-ए-सय्यिद-ए-अबरार सहाबा सारे

सोहबत-ए-ख़ैर-ए-बशर से ही हुए हैं, बुरहान !
मुत्तक़ी, 'आदिल-ओ-अख़्यार सहाबा सारे

मुस्तफ़ा के हैं वफ़ादार सहाबा
मुस्तफ़ा के हैं वफ़ादार सहाबा

'आशिक़-ए-सय्यिद-ए-अबरार सहाबा सारे
'आशिक़-ए-सय्यिद-ए-अबरार सहाबा सारे


शायर:
मुफ़्ती राशिद अली अत्तारी मदनी

ना'त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी





jaan-o-dil tere qadam par waare
kya naseebe hai.n tere yaaro.n ke

sahaaba sahaaba nabi ke sahaaba
hame.n jaan-o-dil se hai.n pyaare sahaaba

'aashiq-e-sayyid-e-abraar sahaaba saare
maa-e-ulfat se hai.n sarshaar sahaaba saare

mustafa ke hai.n wafaadaar sahaaba
mustafa ke hai.n wafaadaar sahaaba

'aashiq-e-sayyid-e-abraar sahaaba saare

chaar yaaraan-e-nabi afzal-e-as.haab hue
maante in ko hai.n sardaar sahaaba saare

mustafa ke hai.n wafaadaar sahaaba
mustafa ke hai.n wafaadaar sahaaba

'aashiq-e-sayyid-e-abraar sahaaba saare
'aashiq-e-sayyid-e-abraar sahaaba saare

un ke ausaaf bayaa.n karta hai KHud un ka KHuda
us ke darbaar me.n roodaar sahaaba saare

mustafa ke hai.n wafaadaar sahaaba
mustafa ke hai.n wafaadaar sahaaba

'aashiq-e-sayyid-e-abraar sahaaba saare
'aashiq-e-sayyid-e-abraar sahaaba saare

kar liya waa'da-e-husna bhi KHuda ne un se
KHuld ke kyu.n na ho.n haqdaar sahaaba saare

mustafa ke hai.n wafaadaar sahaaba
mustafa ke hai.n wafaadaar sahaaba

'aashiq-e-sayyid-e-abraar sahaaba saare
'aashiq-e-sayyid-e-abraar sahaaba saare

naaw ki misl hue shaah ke sab ahl-e-bait
aur anjum hue zau-baar sahaaba saare

mustafa ke hai.n wafaadaar sahaaba
mustafa ke hai.n wafaadaar sahaaba

'aashiq-e-sayyid-e-abraar sahaaba saare
'aashiq-e-sayyid-e-abraar sahaaba saare

wo chunida hai.n unhe.n sohbat-e-sarkaar mili
hai.n hidaayat ke 'alam-daar sahaaba saare

mustafa ke hai.n wafaadaar sahaaba
mustafa ke hai.n wafaadaar sahaaba

'aashiq-e-sayyid-e-abraar sahaaba saare
'aashiq-e-sayyid-e-abraar sahaaba saare

sohbat-e-KHair-e-bashar se hi hue hai.n, Burhan !
muttaqi, 'aadil-o-aKHyaar sahaaba saare

mustafa ke hai.n wafaadaar sahaaba
mustafa ke hai.n wafaadaar sahaaba

'aashiq-e-sayyid-e-abraar sahaaba saare
'aashiq-e-sayyid-e-abraar sahaaba saare


Poet:
Mufti Rashid Ali Attari Madani

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai