आबरू-ए-उम्मत हैं सय्यिदा के घर वाले | वक़्त की ज़रुरत हैं सय्यिदा के घर वाले / Aabroo-e-Ummat Hain Sayyida Ke Ghar Wale | Waqt Ki Zaroorat Hain Sayyida Ke Ghar Wale

आबरू-ए-उम्मत हैं सय्यिदा के घर वाले
वक़्त की ज़रुरत हैं सय्यिदा के घर वाले

ख़त्म हो गई होती ज़लज़ले में ये दुनिया
इस ज़मीं पे रहमत हैं सय्यिदा के घर वाले

कह रहा है दुनिया से सर हुसैन-ए-आ'ज़म का
लाइक़-ए-इमामत हैं सय्यिदा के घर वाले

ज़ुल्म ने बहुत चाहा नस्ल ख़त्म हो जाए
आज भी सलामत हैं सय्यिदा के घर वाले

हम ने ख़ूब देखा है बारगाह-ए-ख़्वाजा में
मरकज़-ए-सख़ावत हैं सय्यिदा के घर वाले

दामन-ए-सहाबा है अब भी मेरे हाथों में
हाँ मेरी ज़मानत हैं सय्यिदा के घर वाले

भूक बारह सालों की कह रही है दुनिया से
जबल-ए-इस्तेक़ामत हैं सय्यिदा के घर वाले

ऐ यज़ीद के हामी ! मुँह कहाँ छुपाएगा
मालिकान-ए-जन्नत हैं सय्यिदा के घर वाले

जिस्म ज़िंदा रहता है ख़ून की हरारत से
ख़ून की हरारत हैं सय्यिदा के घर वाले

हम 'अली के दीवानें हौसला न हारेंगे
हौसलों की ताक़त हैं सय्यिदा के घर वाले

मेरे सीने में इक दिल, नूर ! मेरे उस दिल में
बर-सर-ए-हुकूमत हैं सय्यिदा के घर वाले


शायर:
ग़ुलाम नूर-ए-मुजस्सम

ना'त-ख़्वाँ:
ग़ुलाम नूर-ए-मुजस्सम





aabroo-e-ummat hai.n sayyida ke ghar waale
waqt ki zaroorat hai.n sayyida ke ghar waale

KHatm ho gai hoti zalzale me.n ye duniya
is zamee.n pe rahmat hai.n sayyida ke ghar waale

keh raha hai duniya se sar husain-e-aa'zam ka
laaiq-e-imaamat hai.n sayyida ke ghar waale

zulm ne bahut chaaha nasl KHatm ho jaae
aaj bhi salaamat hai.n sayyida ke ghar waale

ham ne KHoob dekha hai baargaah-e-KHwaja me.n
markaz-e-saKHaawat hai.n sayyida ke ghar waale

daaman-e-sahaaba hai ab bhi mere haatho.n me.n
haa.n meri zamaanat hai.n sayyida ke ghar waale

bhook baarah saalo.n ki keh rahi hai duniya se
jabl-e-isteqaamat hai.n sayyida ke ghar waale

ai yazeed ke haami ! munh kahaa.n chhupaaega
maalikaan-e-jannat hai.n sayyida ke ghar waale

jism zinda rehta hai KHoon ki haraarat se
KHoon ki haraarat hai.n sayyida ke ghar waale

ham 'ali ke deewane.n hausla na haarenge
hauslo.n ki taaqat hai.n sayyida ke ghar waale

mere seene me.n ik dil, Noor ! mere us dil me.n
bar-sar-e-hukoomat hai.n sayyida ke ghar waale


Poet:
Gulam Noor e Mujassam

Naat-Khwaan:
Gulam Noor e Mujassam
Syeda Ke Ghar Wale Naat Lyrics | Aabroo e Ummat Hain Sayyada Ke Ghar Wale Lyrics in Hindi | Waqt Ki Zaroorat Hain Sayyada Ke Ghar Wale Lyrics in Hindi | syyeda aabru hai hei hein hain sayeda wakt lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Most Popular

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

हो करम सरकार अब तो हो गए ग़म बे-शुमार / Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumar

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)