ADVERTISEMENT

दिल ये कहता है कि अब हद से गुज़र जाऊँगा / Dil Ye Kehta Hai Ki Ab Had Se Guzar Jaunga

दिल ये कहता है कि अब हद से गुज़र जाऊँगा
अब के तयबा नहीं जाऊँगा तो मर जाऊँगा

हश्र के रोज़ भला और किधर जाऊँगा
मेरे सरकार जिधर होंगे उधर जाऊँगा

तेरा बंदा हूँ, बुरा हूँ या भला जैसा भी
तेरा दर छोड़ के बतला मैं किधर जाऊँगा

देखना तुम भी, फ़रिश्तो ! मेरी हालत उस दिन
ख़ूब इतराऊँगा जब उन के नगर जाऊँगा

ख़ाक-ए-तयबा से लिपट जाऊँगा मैं जाते ही
फिर मुझे भी नहीं मा'लूम किधर जाऊँगा

अपने आक़ा से सुकूनत की इजाज़त ले कर
मैं भी, अश्फ़ाक़ ! मदीने में ठहर जाऊँगा


शायर:
अश्फ़ाक़ बहराइची

ना'त-ख़्वाँ:
अश्फ़ाक़ बहराइची





dil ye kehta hai ki ab had se guzar jaaunga
ab ke tayba nahi.n jaaunga to mar jaaunga

hashr ke roz bhala aur kidhar jaaunga
mere sarkaar jidhar honge udhar jaaunga

tere banda hu.n, bura hu.n ya bhala jaisa bhi
tera dar chho.D ke batla mai.n kidhar jaaunga

dekhna tum bhi, farishto ! meri haalat us din
KHoob itraaunga jab un ke nagar jaaunga

KHaak-e-tayba se lipaT jaaunga mai.n jaate hi
phir mujhe bhi nahi.n maa'loom kidhar jaaunga

apne aaqa se sukoonat ki ijaazat le kar
mai.n bhi, Ashfaq ! madine me.n Thahar jaaunga


Poet:
Ashfaq Bahraichi

Naat-Khwaan:
Ashfaq Bahraichi

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai