ADVERTISEMENT

ज़हे-मुक़द्दर हुज़ूर-ए-हक़ से सलाम आया पयाम आया / Zahe Muqaddar Huzoor-e-Haq Se Salam Aaya Payam Aaya

ज़हे-मुक़द्दर हुज़ूर-ए-हक़ से सलाम आया, पयाम आया
झुकाओ नज़रें, बिछाओ पलकें, अदब का आ'ला मक़ाम आया

ये कौन सर से कफ़न लपेटे चला है उल्फ़त के रास्ते पर
फ़रिश्ते हैरत से तक रहे हैं, ये कौन ज़ी-एहतिराम आया

फ़ज़ा में लब्बैक की सदाएँ, ज़-फ़र्श ता-'अर्श गूँजती हैं
हर एक क़ुर्बान हो रहा है, ज़ुबाँ पे ये किस का नाम आया

ये राह-ए-हक़ है, सँभल के चलना, यहाँ है मंज़िल क़दम क़दम पर
पहुँचना दर पर तो कहना, आक़ा ! सलाम लीजे ग़ुलाम आया

ये कहना, आक़ा ! बहुत से 'आशिक़ तड़पते से छोड़ आया हूँ मैं
बुलावे के मुंतज़िर हैं लेकिन न सुब्ह आया, न शाम आया

दु'आ जो निकली थी दिल से आख़िर पलट के मक़बूल हो के आई
वो जज़्बा जिस में तड़प थी सच्ची, वो जज़्बा आख़िर को काम आया

ख़ुदा तेरा हाफ़िज़-ओ-निगहबाँ, ओ राह-ए-बतहा के जाने वाले !
नवीद-ए-सद-इंबिसात बन कर पयाम-ए-दारु-स्सलाम आया


ना'त-ख़्वाँ:
क़ारी वहीद ज़फ़र क़ासमी
ओवैस रज़ा क़ादरी
सय्यिदा अरीबा फ़ातिमा
ज़ोहैब अशरफ़ी





zahe-muqaddar huzoor-e-haq se
salaam aaya, payaam aaya
jhukaao nazre.n, bichhaao palke.n
adab ka aa'la maqaam aaya

ye kaun sar se kafan lapeTe
chala hai ulfat se raaste par
farishte hairat se tak rahe hai.n
ye kaun zee-ehtiraam aaya

faza me.n labbaik ki sadaae.n
za-farsh ta-'arsh goonjti hai.n
har ek qurbaan ho raha hai
zubaa.n pe ye kis ka naam aaya

ye raah-e-haq hai, sambhal ke chalna
yahaa.n hai manzil qadam qadam par
pahunchna dar par to kehna, aaqa !
salaam leeje Gulaam aaya

ye kehna, aaqa ! bahut se 'aashiq
ta.Dapte se chho.D aaya hu.n mai.n
bulaawe ke muntazir hai.n lekin
na sub.h aaya, na shaam aaya

du'aa jo nikli thi dil se aaKHir
palaT ke maqbool ho ke aai
wo jazba jis me.n ta.Dap thi sachchi
wo jazba aaKHir ko kaam aaya

KHuda tera haafiz-o-nigehbaa.n
o raah-e-bat.ha ke jaane waale !
naweed-e-sad-imbisaat ban kar
payaam-e-daru-ssalaam aaya


Naat-Khwaan:
Qari Waheed Zafar Qasmi
Owais Raza Qadri
Syeda Areeba Fatima
Zohaib Ashrafi
Zah e Muqaddar Huzoor e Haq Se Salam Aaya Payam Aaya Lyrics | Zahe Muqaddar Lyrics | Zahe Muqaddar Lyrics in Hindi | Zahe Muqaddar Naat Lyrics Hindi | Pahunchna Dar Par To Kehna Aaqa Lyrics | huzoore hak aya lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2024

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka

आस्ताँ है ये किस शाह-ए-ज़ीशान का मरहबा मरहबा / Aastan Hai Ye Kis Shah-e-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba

शैअन-लिल्लाह या अब्दुल क़ादिर | इधर भी निगाह-ए-करम ग़ौस-ए-आज़म / Shayian Lillah Ya Abdul Qadir | Idhar Bhi Nigah-e-Karam Ghous-e-Azam

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe