ADVERTISEMENT

ताजदार-ए-मदीना के जल्वे जिन के दिल में समाए हुए हैं / Tajdar-e-Madina Ke Jalwe Jin Ke Dil Mein Samae Hue Hain

ताजदार-ए-मदीना के जल्वे जिन के दिल में समाए हुए हैं
दूर रह कर वो क़ुर्ब-आश्ना हैं, दिल मदीना बनाए हुए हैं

मेरे आक़ा की जिन पर नज़र है, दोनों 'आलम की उन को ख़बर है
जिन का मक़्सूद उन का ही दर है, सारे असरार पाए हुए हैं

जिन को उन की तवज्जोह ने पाला, उन की रहमत ने जिन को नवाज़ा
उन गदाओं का क्या पूछते हो, वो ज़माने पे छाए हुए हैं

आल-ए-अतहर का सदक़ा 'अता हो, मुफ़्लिसी का हमारी भला हो
ऐ सख़ी ! आप के दर पे हम भी दामन-ए-दिल बिछाए हुए हैं

मेरी औक़ात कुछ भी नहीं है, ख़ुद मेरी ज़ात कुछ भी नहीं है
मेरे सरकार का ये करम है, बात मेरी बनाए हुए हैं

आरज़ू-ए-करम दिल में ले कर, ख़ालिद ! उन के सख़ी आस्ताँ पर
अग़निया, औलिया, अस्फ़िया सब अपने कासे बढ़ाए हुए हैं


शायर:
ख़ालिद महमूद नक़्शबंदी

ना'त-ख़्वाँ:
ज़ुल्फ़िक़ार अली हुसैनी
हसनैन रज़ा अत्तारी





taajdaar-e-madina ke jalwe jin ke dil me.n samaae hue hai.n
door reh kar wo qurb-aashna hai.n, dil madina banaae hue hai.n

mere aaqa ki jin par nazar hai, dono 'aalam ki un ko KHabar hai
jin ka maqsood un ka hi dar hai, saare asraar paae hue hai.n

jin ko un ki tawajjoh ne paala, un ki rahmat ne jin ko nawaaza
un gadaao.n ka kya poochhte ho, wo zamaane pe chhaae hue hai.n

aal-e-at.har ka sadqa 'ata ho, muflisi ka hamaari bhala ho
ai saKHi ! aap ke dar pe ham bhi, daaman-e-dil bichhaae hue hai.n

meri auqaat kuchh bhi nahi.n hai, KHud meri zaat kuchh bhi nahi.n hai
mere sarkaar ka ye karam hai, baat meri banaae hue hai.n

aarzoo-e-karam dil me.n le kar, KHalid ! un ke saKHi aastaa.n par
aGniya, auliya, asfiya sab apne kaase ba.Dhaae hue hai.n


Poet:
Khalid Mahmood Naqshbandi

Naat-Khwaan:
Zulfiqar Ali Hussaini
Hasnain Raza Attari

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

आस्ताँ है ये किस शाह-ए-ज़ीशान का मरहबा मरहबा / Aastan Hai Ye Kis Shah-e-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba