ADVERTISEMENT

सारा आलम मुस्कुराया आप के मीलाद पर / Sara Aalam Muskuraya Aap Ke Milad Par

सारा 'आलम मुस्कुराया आप के मीलाद पर
हूरों ने नग़्मा सुनाया आप के मीलाद पर

बेटियों को दफ़्न कर देते थे ज़िंदा अश्क़िया
बेटियों ने चैन पाया आप के मीलाद पर

एक शैतान-ए-ल'ईं को छोड़ कर, ऐ मुन्किरो !
सारा 'आलम मुस्कुराया आप के मीलाद पर

जान-ए-ईमाँ जान-ए-का'बा ! आप के ए'ज़ाज़ में
रब ने का'बे को झुकाया आप के मीलाद पर

मेरे घर भी आओगे, सरकार ! मैं ने इस लिए
फ़र्श आँखों को बनाया आप के मीलाद पर

मुन्किरो झंडे के ! देखो हज़रत-ए-जिब्रील ने
का'बे पे झंडा लगाया आप के मीलाद पर

आप की आमद से बढ़ कर क्या ख़ुशी है इस लिए
मैं ने अपना घर सजाया आप के मीलाद पर

सारा 'आलम शाद है, चारों तरफ़ हैं शादियाँ
जश्न हम ने भी मनाया आप के मीलाद पर

सुब्ह तयबा में हुई बटता है बाड़ा नूर का
ये रज़ा ने गीत गाया आप के मीलाद पर

'आशिक़ान-ए-मुस्तफ़ा को रक़्स करता देख कर
वज्द में 'आसिम भी आया आप के मीलाद पर


शायर:
मुहम्मद आसिम-उल-क़ादरी मुरादाबादी

ना'त-ख़्वाँ:
अहमदुल फ़त्ताह





saara 'aalam muskuraaya aap ke meelaad par
hooro.n ne naGma sunaaya aap ke meelaad par

beTiyo.n ko dafn kar dete the zinda ashqiya
beTiyo.n ne chain paaya aap ke meelaad par

ek shaitaan-e-la'ee.n ko chho.D kar, ai munkiro !
saara 'aalam muskuraya aap ke meelaad par

jaan-e-imaa.n jaan-e-kaa'ba ! aap ke e'zaaz me.n
rab ne kaa'be ko jhukaaya aap ke meelaad par

mere ghar bhi aaoge, sarkaar ! mai.n ne is liye
farsh aankho.n ko banaaya aap ke meelaad par

munkiro jhande ke ! dekho hazrat-e-jibreel ne
kaa'be pe jhanda lagaaya aap ke meelaad par

aap ki aamad se ba.Dh kar kya KHushi hai is liye
mai.n ne apna ghar sajaaya aap ke meelaad par

saara 'aalam shaad hai, chaaro.n taraf hai.n shaadiyaa.n
jashn ham ne bhi manaaya aap ke meelaad par

sub.ha tayba me.n hui baT.ta hai baa.Da noor ka
ye raza ne geet gaaya aap ke meelaad par

'aashiqaan-e-mustafa ko raqs karta dekh kar
wajd me.n 'Aasim bhi aaya aap ke meelaad par


Poet:
Muhammad Asim Ul Qadri Moradabadi

Naat-Khwaan:
Ahmadul Fattah

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

वो बन में क़दम रख दें तो बन जाता है बन फूल | सर-ता-ब-क़दम है तन-ए-सुल्तान-ए-ज़मन फूल तज़मीन के साथ / Wo Ban Mein Qadam Rakh Den To Ban Jata Hai Ban Phool | Sar-Ta-Ba-Qadam Hai Tan-e-Sultan-e-Zaman Phool With Tazmeen

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

उन की महक ने दिल के ग़ुंचे खिला दिये हैं / Un Ki Mahak Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale