सारे आलम पे वो एहसान किए बैठे हैं / Sare Aalam Pe Wo Ehsan Kiye Baithe Hain

सारे 'आलम पे वो एहसान किए बैठे हैं
जो हैं मुफ़्लिस उन्हें सुल्तान किए बैठे हैं

मो'जिज़ा देख के बू-जहल ने घबरा के कहा
ये तो कंकर को मुसलमान किए बैठे हैं

नाम लेते हैं फ़रिश्ते भी अदब से उन का
काम वो हज़रत-ए-हस्सान किए बैठे हैं

आप पर हज़रत-ए-अय्यूब मैं सदक़े जाऊँ
आप तो आक़ा को मेहमान किए बैठे हैं

चोरी करने के लिए चोर जो आया उस को
इक वली सय्यिद-ए-जीलान किए बैठे हैं

हज़रत-ए-ख़्वाजा मु'ईं को मेरे आक़ा मौला
पूरे भारत का निगहबान किए बैठे हैं

जब दर-ए-ख़्वाजा पे हाज़िर हुआ जोगी जयपाल
उस को भी साहिब-ए-ईमान किए बैठे हैं

अना सागर को कटोरे में बुला कर ख़्वाजा
पृथ्वीराज को हैरान किए बैठे हैं

मशवरा मेरा यही है वो किछौछा जाएँ
जिन को जिन्नात परेशान किए बैठे हैं

सैकड़ों मुफ़्ती नहीं कर सके मिल कर अब तक
जो बरेली के रज़ा ख़ान किए बैठे हैं

सुल्ह-ए-कुल्ली से त'अल्लुक़ नहीं रक्खें सुन्नी
फ़ख़्र-ए-अज़हर यही ए'लान किए बैठे हैं

क़ब्र की मिट्टी उन्हें खा नहीं सकती, गौहर !
दिल में महफ़ूज़ जो क़ुरआन किए बैठे हैं


ना'त-ख़्वाँ:
मुहम्मद अली फ़ैज़ी





saare 'aalam pe wo ehsaan kiye baiThe hai.n
jo hai.n muflis unhe.n sultaan kiye baiThe hai.n

mo'jiza dekh ke bu-jahal ne ghabra ke kaha
ye to kankar ko musalmaan kiye baiThe hai.n

naam lete hai.n farishte bhi adab se un ka
kaam wo hazrat-e-hassaan kiye baiThe hai.n

aap par hazrat-e-ayyub mai.n sadqe jaau.n
aap to aaqa ko mehmaan kiye baiThe hai.n

chori karne ke liye chor jo aaya us ko
ik wali sayyid-e-jeelaan kiye baiThe hai.n

hazrat-e-KHwaja mu'ee.n ko mere aaqa maula
poore bhaarat ka nigehbaan kiye baiThe hai.n

jab dar-e-KHwaja pe haazir huaa jogi jaypaal
us ko bhi saahib-e-imaan kiye baiThe hai.n

ana saagar ko kaTore me.n bula kar KHwaja
prithviraj ko hairaan kiye baiThe hai.n

mashwara mera yahi hai wo kichhauchha jaae.n
jin ko jinnaat pareshaan kiye baiThe hai.n

saika.Do.n mufti nahi.n kar sake mil kar ab tak
jo bareilly ke raza KHaan kiye baiThe hai.n

sulh-e-kulli se ta'alluq nahi.n rakkhe.n sunni
faKHr-e-az.har yahi e'laan kiye baiThe hai.n

qabr ki miTTi unhe.n khaa nahi.n sakti, Gauhar !
dil me.n mahfooz jo qur.aan kiye baiThe hai.n


Naat-Khwaan:
Muhammad Ali Faizi
Sare Aalam Pe Wo Ehsan Kiye Baithe Hain Lyrics | Sare Aalam Pe Wo Ehsan Kiye Baithe Hain Lyrics in Hindi | Sare Salam Pe Wo Ahsan Kiye Baithe Hain Lyrics | Muhammad Ali Faizi Naat Lyrics | Sarey saare woh ehsaan hein hei hai | lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025

Comments

Most Popular

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

अल्लाह की रज़ा है मोहब्बत हुसैन की | या हुसैन इब्न-ए-अली / Allah Ki Raza Hai Mohabbat Hussain Ki | Ya Hussain Ibne Ali

मेरा बादशाह हुसैन है | ऐसा बादशाह हुसैन है / Mera Baadshaah Husain Hai | Aisa Baadshaah Husain Hai

कर्बला के जाँ-निसारों को सलाम / Karbala Ke Jaan-nisaron Ko Salam

हुसैन तुम को ज़माना सलाम कहता है / Hussain Tum Ko Zamana Salam Kehta Hai

हम हुसैन वाले हैं / Hum Hussain Wale Hain

हर ज़माना मेरे हुसैन का है / Har Zamana Mere Hussain Ka Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

हुसैन आज सर को कटाने चले हैं / Husain Aaj Sar Ko Katane Chale Hain

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye