न कहीं से दूर हैं मंज़िलें न कोई क़रीब की बात है / Na Kahin Se Door Hain Manzilein Na Koi Qareeb Ki Baat Hai

न कहीं से दूर हैं मंज़िलें, न कोई क़रीब की बात है
जिसे चाहे उस को नवाज़ दे, ये दर-ए-हबीब की बात है

जिसे चाहा दर पे बुला लिया, जिसे चाहा अपना बना लिया
ये बड़े करम के हैं फ़ैसले, ये बड़े नसीब की बात है

वो भटक के राह में रह गई, ये मचल के दर से लिपट गई
वो किसी अमीर की शान थी, ये किसी ग़रीब की बात है

मुझे जाँ से बढ़ के 'अज़ीज़ दिल, मेरा दर्द दिल से 'अज़ीज़-तर
है जो दर्द से भी 'अज़ीज़-तर, वो मेरे तबीब की बात है

मैं बुरों से लाख बुरा सही, मगर उन से है मेरा वास्ता
मेरी लाज रख ले, मेरे ख़ुदा ! ये तेरे हबीब की बात है

वो ख़ुदा नहीं ब-ख़ुदा नहीं, वो मगर ख़ुदा से जुदा नहीं
वो हैं क्या मगर वो हैं क्या नहीं, ये मुहिब हबीब की बात है

तेरे हुस्न से तेरी शान तक है निगाह-ओ-'अक़्ल का फ़ासिला
ये ज़रा ब'ईद का ज़िक्र है, वो ज़रा क़रीब की बात है

तुझे ऐ मुनव्वर-ए-बे-नवा ! दर-ए-शह से चाहिए और क्या
जो नसीब हो कभी सामना तो बड़े नसीब की बात है


शायर:
मुनव्वर बदायूनी

ना'त-ख़्वाँ:
क़ारी वहीद ज़फ़र क़ासमी





na kahi.n se door hai.n manzile.n
na koi qareeb ki baat hai
jise chaahe us ko nawaaz de
ye dar-e-habeeb ki baat hai

jise chaaha dar pe bula liya
jise chaaha apna bana liya
ye ba.De karam ke hai.n faisle
ye ba.De naseeb ki baat hai

wo bhaTak ke raah me.n reh gai
ye machal ke dar se lipaT gai
wo kisi ameer ki shaan thi
ye kisi Gareeb ki baat hai

mujhe jaa.n se ba.Dh ke 'azeez dil
mera dard dil se 'azeez-tar
hai jo dard se bhi 'azeez-tar
wo mere tabeeb ki baat hai

mai.n buro.n se laakh bura sahi
magar un se hai mera waasta
meri laaj rakh le, mere KHuda !
ye tere habeeb ki baat hai

wo KHuda nahi.n ba-KHuda nahi.n
wo magar KHuda se juda nahi.n
wo hai.n kya magar wo hai.n kya nahi.n
ye muhib habeeb ki baat hai

tere husn se teri shaan tak
hai nigaah-o-'aql ka faasila
ye zara ba'eed ka zikr hai
wo zara qareeb ki baat hai

tujhe, ai Munawwar-e-be-nawa !
dar-e-shah se chaahiye aur kya
jo naseeb ho kabhi saamna
to ba.De naseeb ki baat hai


Poet:
Munawwar Badayuni

Naat-Khwaan:
Qari Waheed Zafar Qasmi
Na Kahin Se Door Hain Manzilein Lyrics | Na Kahi Se Door Hain Manzilen Lyrics in Hindi | Jise Chahe Usko Nawaz De Lyrics in Hindi | Jise Chaha Dar Pe Bula Liya Lyrics | Jise Chahe Jaise Nawaz De Lyrics | manzile hei hai hein hain na koi qareeb ki baat hai lyrics | lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

जश्न-ए-आमद-ए-रसूल अल्लाह ही अल्लाह | बीबी आमिना के फूल अल्लाह ही अल्लाह / Jashn-e-Amad-e-Rasool Allah Hi Allah | Bibi Amina Ke Phool Allah Hi Allah

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

फ़लक के नज़ारो ज़मीं की बहारो | हुज़ूर आ गए हैं / Falak Ke Nazaro Zameen Ki Baharo | Huzoor Aa Gaye Hain

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)