हासिल-ए-नौ-बहार फिरते हैं | वो सू-ए-लालाज़ार फिरते हैं तज़मीन के साथ / Hasil-e-Nau-bahar Phirte Hain | Wo Sue Lalazar Phirte Hain With Tazmeen

हासिल-ए-नौ-बहार फिरते हैं
जान-ए-लुत्फ़-ओ-क़रार फिरते हैं
हुस्न के ताजदार फिरते हैं
वो सू-ए-लालाज़ार फिरते हैं
तेरे दिन, ऐ बहार ! फिरते हैं

यूँ तो दरबार और मजालिस में
दाता मँगता की हैं कई क़िस्में
कितने उलझे हुए हैं जिस-तिस में
उस गली का गदा हूँ मैं जिस में
माँगते ताजदार फिरते हैं

क़ुदसियों के हुजूम शाम-ओ-सहर
भेजते हैं दुरूद आक़ा पर
कितना पुर-कैफ़ होगा वो मंज़र
लाखों क़ुदसी हैं काम-ए-ख़िदमत पर
लाखों गिर्द-ए-मज़ार फिरते हैं

सब की खाते हैं मार फिरते हैं
पहने ज़िल्लत का हार फिरते हैं
ले के ज़ेहनी बुख़ार फिरते हैं
जो तेरे दर से यार फिरते हैं
दर-ब-दर यूँ ही ख़्वार फिरते हैं

है जहाँ गौहर-ए-हयात रज़ा
बट रही है जहाँ निजात, रज़ा !
क्यूँ हो मख़्सूस तेरी ज़ात, रज़ा !
कोई क्यूँ पूछे तेरी बात, रज़ा !
तुझ से शैदा हज़ार फिरते हैं


कलाम:
इमाम अहमद रज़ा ख़ान

तज़मीन:
-

ना'त-ख़्वाँ:
अमीर हम्ज़ा ख़लीलाबादी





haasil-e-nau-bahaar phirte hai.n
jaan-e-lutf-o-qaraar phirte hai
husn ke taajdaar phirte hai.n
wo soo-e-laalaazaar phirte hai.n
tere din, ai bahaar ! phirte hai.n

yu.n to darbaar aur majaalis me.n
daata mangta ki hai.n kai qisme.n
kitne uljhe hue hai.n jis-tis me.n
us gali ka gada hu.n mai.n jis me.n
maangte taajdaar phirte hai.n

qudsiyo.n ke hujoom shaam-o-sahar
bhejte hai.n durood aaqa par
kitna pur-kaif hoga wo manzar
laakho.n qudsi hai.n kaam-e-KHidmat par
laakho.n gird-e-mazaar phirte hai.n

sab ki khaate hai.n maar phirte hai.n
pehne zillat ka haar phirte hai.n
le ke zehni buKHaar phirte hai.n
jo tere dar se yaar phirte hai.n
dar-ba-dar yu.n hi KHwaar phirte hai.n

hai jahaa.n gauhar-e-hayaat, Raza !
baT rahi hai jahaa.n nijaat, Raza !
kyu.n ho maKHsoos teri zaat, Raza !
koi kyu.n poochhe teri baat, Raza !
tujh se shaida hazaar phirte hai.n


Kalam:
Imam Ahmad Raza Khan

Tazmeen:
-

Naat-Khwaan:
Ameer Hamza Khalilabadi
Hasile Nau Bahar Firte Hain Lyrics in English | Hasile No Bahar Firte Hain Lyrics | Wo Suye Lalazar Phirte Hain Tazmeen Lyrics | Hasil e Nau Bahar Phirte Hain Lyrics in Hindi | hai 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain