रोज़ बेचैन करता ही है दिल किसी न किसी के लिए | सामने सीरत-ए-मुस्तफ़ा दर्स है रहबरी के लिए तज़मीन के साथ / Roz Bechain Karta Hi Hai Dil Kisi Na Kisi Ke Liye | Samne Seerat-e-Mustafa Dars Hai Rahbari Ke Liye With Tazmeen

रोज़ बेचैन करता ही है दिल किसी न किसी के लिए
जाम-ए-'इश्क़-ए-नबी पी जिए क़ल्ब की ताज़गी के लिए
'उम्र हरगिज़ नहीं, दोस्तो ! नफ़्स की पैरवी के लिए
सामने सीरत-ए-मुस्तफ़ा दर्स है रहबरी के लिए
फिर हमें और क्या चाहिए, दोस्तो ! ज़िंदगी के लिए

जब तलक जिस्म में जान है, चल रहा फिर रहा है बशर
सूखना है मगर एक दिन शादमाँ ज़िंदगी का शजर
रो रहा होगा आ'माल पर, कुछ न आएगा तुझ को नज़र
कर यक़ीं तू मेरी बात पर, कैसा होगा अँधेरा वो घर
आ ही जाएँगे ख़ैर-उल-बशर, क़ब्र में रौशनी के लिए

पहुँचे जिन के क़दम फ़र्श से 'अर्श और 'अर्श से ला-मकाँ
है उन्हीं के तसद्दुक़ रवाँ अपने जीवन का ये कारवाँ
आज दुनिया है आबाद है अपने सपनों का ये आशियाँ
हश्र में हम कहाँ तुम कहाँ, जब न होगा कोई मेहरबाँ
बन के रहमत हुज़ूर आएँगे, अपने हर उम्मती के लिए

काम ऐसे करो सब कहें, आफ़रीं आफ़रीं आफ़रीं
चखना है मौत का तो मज़ा लाज़मी लाज़मी लाज़मी
बात इक और कर लीजिए, ख़ूब अच्छी तरह दिल-नशीं
हाथ आने को कुछ भी नहीं, बस मिलेगी ये दो गज़ ज़मीं
जाने फिर क्यूँ परेशान है आदमी आदमी के लिए


ना'त-ख़्वाँ:
गुलफ़ाम रज़ा हस्सानी





roz bechain karta hi hai dil kisi na kisi ke liye
jaam-e-'ishq-e-nabi pee jiye qalb ki taazgi ke liye
'umr hargiz nahi.n, dosto ! nafs ki pairawi ke liye
saamne seerat-e-mustafa dars hai rahbari ke liye
phir hame.n aur kya chaahiye, dosto ! zindagi ke liye

jab talak jism me.n jaan hai, chal raha phir raha hai bashar
sookhna hai magar ek din shaadmaa.n zindagi ka shajar
ro raha hoga aa'maal par, kuchh na aaega tujh ko nazar
kar yaqee.n tu meri baat par aisa hoga andhera wo ghar
aa hi jaaenge KHair-ul-bashar qabr me.n raushani ke liye

pahunche jin ke qadam farsh se 'arsh aur 'arsh se la-makaa.n
hai unhi.n ke tasadduq rawaa.n apne jeewan ka ye kaarwaa.n
aaj duniya hai aabaad hai apne sapno.n ka ye aashiyaa.n
hashr me.n ham kahaa.n tum kahaa.n, jab na hoga koi mehrbaa.n
ban ke rahmat huzoor aaenge apne har ummati ke liye

kaam aise karo sab kahe.n, aafree.n aafree.n aafree.n
chakhna hai maut ka to maza laazmi laazmi laazmi
baat ik aur kar lijiye, KHoob achchhi tarah dil-nashee.n
haath aane ko kuchh bhi nahi.n, bas milegi ye do gaz zamee.n
jaane phir kyu.n pareshaan hai aadmi aadmi ke liye


Naat-Khwaan:
Gulfam Raza Hassani
Roz Bechain Karta Hi Hai Dil Kisi Na Kisi Ke Liye Lyrics | Roz Bechain Karta Hi Hai Dil Kisi Na Kisi Ke Liye Lyrics in Hindi | Gulfam Raza Hassani Naat Lyrics | Samne Seerate Mustafa Dars Hai Rahbari Ke Liye Tazmeen Lyrics in Hindi | roj | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain