मैं भी आक़ा वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ / Main Bhi Aaqa Wo Tere Dar Ke Nazare Dekhun

मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ
जितने मंज़र हैं मदीने के वो सारे देखूँ

मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ

आप के पहलू में लेटे हैं अबू-बक्र-ओ-'उमर
रौज़े में आप के वो यार पियारे देखूँ

मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ

सुब्ह-ओ-शाम आते हैं क़ुदसी भी सलामी के लिए
ख़ुल्द के मिलते हैं जिस दर से इशारे देखूँ

मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ

सब के भरते हैं वहाँ कासे, वो दर है ऐसा
कैसे मिलते हैं वहाँ सब को सहारे देखूँ

मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ

कमली वाले का मैं मँगता हूँ, जहाँ वालो ! सुनो
देख कर ग़ैर की जानिब क्यूँ ख़सारे देखूँ

मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ

बड़ी हसरत है, शहाब ! आक़ा बुलाएँ दर पे
अपनी क़िस्मत के चमकते मैं सितारे देखूँ

मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ


शायर:
मुहम्मद शहाबुद्दीन सैफ़ी

ना'त-ख़्वाँ:
उमेर मुनीर क़ादरी





mai.n bhi, aaqa ! wo tere dar ke nazaare dekhu.n
jitne manzar hai.n madine ke wo saare dekhu.n

mai.n bhi, aaqa ! wo tere dar ke nazaare dekhu.n

aap ke pehlu me.n leTe hai.n abu-bakr-o-'umar
rauze me.n aap ke wo yaar piyaare dekhu.n

mai.n bhi, aaqa ! wo tere dar ke nazaare dekhu.n

sub.h-o-shaam aate hai.n qudsi bhi salaami ke liye
KHuld ke milte hai.n jis dar se ishaare dekhu.n

mai.n bhi, aaqa ! wo tere dar ke nazaare dekhu.n

sab ke bharte hai.n wahaa.n kaase, wo dar hai aisa
kaise milte hai.n wahaa.n sab ko sahaare dekhu.n

mai.n bhi, aaqa ! wo tere dar ke nazaare dekhu.n

kamli waale ka mai.n mangta hu.n, jahaa.n waalo ! suno
dekh kar Gair ki jaanib kyu.n KHasaare dekhu.n

mai.n bhi, aaqa ! wo tere dar ke nazaare dekhu.n

ba.Di hasrat hai, Shahaab ! aaqa bulaae.n dar pe
apni qismat ke chamakte mai.n sitaare dekhu.n

mai.n bhi, aaqa ! wo tere dar ke nazaare dekhu.n


Poet:
M. Shahab Ul Din Saifi

Naat-Khwaan:
Umer Munir Qadri
Main Bhi Aaqa Wo Tere Dar Ke Nazare Dekhun Lyrics in English | Main Bhi Aaqa Wo Tere Dar Ke Nazare Dekhun Lyrics in Hindi | Umer Munir Qadri Naat Lyrics in Hindi | mei mein mai aqa woh go k dekhu dekhon 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2026 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments