कर्बला के जाँ-निसारों को सलाम / Karbala Ke Jaan Nisaron Ko Salam

कर्बला के जाँ-निसारों को सलाम
फ़ातिमा ज़हरा के प्यारों को सलाम

मुस्तफ़ा के माह-पारों को सलाम
नौजवानों गुल-'इज़ारों को सलाम

कर्बला तेरी बहारों को सलाम
जाँ-निसारी के नज़ारों को सलाम

या हुसैन इब्न-ए-'अली मुश्किल-कुशा !
आप के सब जाँ-निसारों को सलाम

अकबर-ओ-असग़र पे जाँ क़ुर्बान हो
मेरे दिल के ताजदारों को सलाम

क़ासिम-ओ-'अब्बास पर हों रहमतें
कर्बला के शह-सुवारों को सलाम

जिस किसी ने कर्बला में जान दी
उन सभी ईमानदारों को सलाम

भूकी प्यासी बीबियों पर रहमतें
भूके प्यासे गुल-'इज़ारों को सलाम

भेद क्या जाने शहादत का कोई
उन ख़ुदा के राज़दारों को सलाम

बेबसी में भी हया बाक़ी रही
सब हुसैनी पर्दा-दारों को सलाम

रहमतें हों हर सहाबी पर मुदाम
और ख़ुसूसन चार यारों को सलाम

बीबियों को, 'आबिद-ए-बीमार को
बेकसों को, ग़म के मारों को सलाम

हो गए क़ुर्बां मुहम्मद और 'औन
सय्यिदा ज़ैनब के प्यारों को सलाम

कर्बला में ज़ुल्म के टूटे पहाड़
जिन पे उन सब दिल-फ़िगारों को सलाम

आल-ओ-असहाब-ए-नबी के जिस क़दर
चाहने वाले हैं सारों को सलाम

या ख़ुदा ! ऐ काश, जा कर फिर करूँ
कर्बला के सब मज़ारों को सलाम

तीन दिन के भूके प्यासे आप के
या नबी ! आँखों के तारों को सलाम

जो हुसैनी क़ाफ़िले में थे शरीक
कहता है 'अत्तार सारों को सलाम


शायर:
मुहम्मद इल्यास अत्तार क़ादरी

ना'त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
हाफ़िज़ अनस रज़ा अत्तारी





karbala ke jaa.n-nisaaro.n ko salaam
faatima zahra ke pyaaro.n ko salaam

mustafa ke maah-paaro.n ko salaam
nau-jawaano.n gul-'izaaro.n ko salaam

karbala teri bahaaro.n ko salaam
jaa.n-nisaari ke nazaaro.n ko salaam

ya husain ibn-e-'ali mushkil-kusha !
aap ke sab jaa.n-nisaaro.n ko salaam

akbar-o-asGar pe jaa.n qurbaan ho
mere dil ke taajdaaro.n ko salaam

qasim-o-'abbaas par ho.n rahmate.n
karbala ke shah-suwaaro.n ko salaam

jis kisi ne karbala me.n jaan di
un sabhi imaandaaro.n ko salaam

bhooki pyaasi bibiyo.n par rahmate.n
bhooke pyaase gul-'izaaro.n ko salaam

bhed kya jaane shahaadat ka koi
un KHuda ke raazdaaro.n ko salaam

bebasi me.n bhi haya baaqi rahi
sab husaini parda-daaro.n ko salaam

rahmate.n ho.n har sahaabi par mudaam
aur KHusoosan chaar yaaro.n ko salaam

bibiyo.n ko, 'aabid-e-beemar ko
bekaso.n ko, Gam ke maaro.n ko salaam

ho gae qurbaa.n muhammad aur 'aun
sayyida zainab ke pyaaro.n ko salaam

karbala me.n zulm ke TooTe pahaa.D
jin pe un sab dil-figaaro.n ko salaam

aal-o-as.haab-e-nabi ke jis qadar
chaahne waale hai.n saaro.n ko salaam

ya KHuda ! ai kaash, jaa kar phir karu.n
karbala ke sab mazaaro.n ko salaam

teen din ke bhooke pyaase aap ke
ya nabi ! aankho.n ke taaro.n ko salaam

jo husaini qafile me.n the shareek
kehta hai 'Attar saro.n ko salaam


Poet:
Muhammad Ilyas Attar Qadri

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Hafiz Tahir Qadri
Hafiz Anas Raza Attari

Comments

Most Popular

मुस्तफ़ा के पाले हैं हम बरेली वाले हैं / Mustafa Ke Pale Hain Hum Bareilly Wale Hain

मस्लक-ए-आला-हज़रत सलामत रहे | या ख़ुदा चर्ख़-ए-इस्लाम पर ता-अबद / Maslak-e-Ala-Hazrat Salamat Rahe | Ya Khuda Charkh-e-Islam Par Ta-Abad

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

जो सुन्नियत की शान है रज़ा उसी का नाम है | रज़ा रज़ा रज़ा रज़ा / Jo Sunniyat Ki Shaan Hai Raza Usi Ka Naam Hai | Raza Raza Raza Raza

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana