ADVERTISEMENT

अपने दामान-ए-शफ़ाअत में छुपाए रखना | मेरे सरकार मेरी बात बनाए रखना / Apne Daman-e-Shafaat Mein Chhupaye Rakhna | Mere Sarkar Meri Baat Banaye Rakhna

अपने दामान-ए-शफ़ा'अत में छुपाए रखना
मेरे सरकार ! मेरी बात बनाए रखना

आप की याद से आबाद है दिल मेरा, हुज़ूर !
बंदा-परवर ! मेरी हस्ती को बसाए रखना

आप याद आएँ तो फिर याद न आए कोई
ग़ैर की याद मेरे दिल से भुलाए रखना

इसी मंसब का तलबगार हूँ मैं भी, आक़ा !
ख़ाक हूँ मैं, मुझे क़दमों से लगाए रखना

जब सवा नेज़े पे ख़ुर्शीद-ए-क़यामत होगा
अपनी ज़ुल्फ़ों के गुनहगार पे साए रखना

मैं ने माना कि निकम्मा हूँ, मगर आप का हूँ
मुझ निकम्मे को भी, सरकार ! निभाए रखना

उन के हो जाओ, हर इक चीज़ उन्हीं से माँगो
अपने दामन में न एहसान पराए रखना

उन के आने की घड़ी है, वो हैं आने वाले
मेरे सरकार की महफ़िल को सजाए रखना

शायद इस राह से, ख़ालिद ! मेरे आक़ा ग़ुज़रें
अपनी पलकों को सर-ए-राह बिछाए रखना


शायर:
सय्यिद ख़ालिद अब्दुल्लाह अशरफ़ी

ना'त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
ज़ुल्फ़िक़ार अली हुसैनी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी





apne daamaan-e-shafaa'at me.n chhupaae rakhna
mere sarkaar ! meri baat banaae rakhna

aap ki yaad se aabaad hai dil mera, huzoor !
banda-parwar ! meri hasti ko basaae rakhna

aap yaad aae.n to phir yaad na aae koi
Gair ki yaad mere dil se bhulaae rakhna

isi mansab ka talabgaar hu.n mai.n bhi, aaqa !
KHaak hu.n mai.n, mujhe qadmo.n se lagaae rakhna

jab sawa neze pe KHursheed-e-qayaamat hoga
apni zulfo.n ke gunahgaar pe saae rakhna

mai.n ne maana ki nikamma hu.n, magar aap ka hu.n
mujh nikamme ko bhi, sarkaar ! nibhaae rakhna

un ke ho jaao, har ik cheez unhi.n se maango
apne daaman me.n na ehsaan paraae rakhna

un ke aane ki gha.Di hai, wo hai.n aane waale
mere sarkaar ki mehfil ko sajaae rakhna

shaayad is raah se, KHaalid ! mere aaqa guzre.n
apni palko.n ko sar-e-raah bichhaae rakhna


Poet:
Sayed Khalid Abdullah Ashrafi

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Zulfiqar Ali Hussaini
Hafiz Tahir Qadri
Apne Daman e Shafat Mein Chupaye Rakhna Lyrics | Mere Sarkar Meri Baat Banaye Rakhna Lyrics in Hindi | Apne Daman e Shafaat Mein Chhupae Rakhna Lyrics | damane daamaane daamaan e damaane daamane damaan e daaman e daman-e-shafaat daaman-e-shafaat daamaan-e-shafaat damane daamane daamaane shafa.at shafaa.at shafaa'at shafa'at me chhupaye chhupae chhupaaye chhupaae rakhna sarkaar bat banaae banaaye, chupae chupaae shafat damane daamane daaman damaan damaane me mei mai main | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

मुस्तफ़ा के पाले हैं हम बरेली वाले हैं / Mustafa Ke Pale Hain Hum Bareilly Wale Hain

पुकारो या रसूलल्लाह | तुम भी कर के उन का चर्चा अपने दिल चमकाओ / Pukaro Ya Rasoolallah | Pukaro Ya Rasool Allah | Tum Bhi Kar Ke Unka Charcha Apne Dil Chamkao

मस्लक-ए-आला-हज़रत सलामत रहे | या ख़ुदा चर्ख़-ए-इस्लाम पर ता-अबद / Maslak-e-Ala-Hazrat Salamat Rahe | Ya Khuda Charkh-e-Islam Par Ta-Abad

चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले | मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले / Chamak Tujh Se Pate Hain Sab Pane Wale | Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale

जो सुन्नियत की शान है रज़ा उसी का नाम है | रज़ा रज़ा रज़ा रज़ा / Jo Sunniyat Ki Shaan Hai Raza Usi Ka Naam Hai | Raza Raza Raza Raza

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

सुनते हैं कि महशर में सिर्फ़ उन की रसाई है / Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana