ADVERTISEMENT

ज़मीं मैली नहीं होती ज़मन मैला नहीं होता | मुहम्मद के ग़ुलामों का कफ़न मैला नहीं होता / Zameen Maili Nahin Hoti Zaman Maila Nahin Hota | Muhammad Ke Ghulamon Ka Kafan Maila Nahin Hota

ज़मीं मैली नहीं होती, ज़मन मैला नहीं होता
मुहम्मद के ग़ुलामों का कफ़न मैला नहीं होता

मोहब्बत कमली वाले से वो जज़्बा है सुनो, लोगो !
ये जिस मन में समा जाए, वो मन मैला नहीं होता

मोहब्बत प्यारे आक़ा से वो जज़्बा है सुनो, लोगो !
ये जिस मन में समा जाए, वो मन मैला नहीं होता

नबी के पाक लंगर पर जो पलते हैं कभी उन की
ज़बाँ मैली नहीं होती, सुख़न मैला नहीं होता

गुलों को चूम लेते हैं सहर नम शबनमी क़तरे
नबी की ना'त सुन लें तो चमन मैला नहीं होता

जो नाम-ए-मुस्तफ़ा चूमें, नहीं दुखती कभी आँखें
पहन ले प्यार जो उन का, बदन मैला नहीं होता

तिजोरी में जो रखा है सियाही आ ही जाती है
बटे जो नाम पर उन के वो धन मैला नहीं होता

नबी का दामन-ए-रह़मत पकड़ लो, ए जहाँ वालो !
रहे जब तक ये हाथों में, चलन मैला नहीं होता

मैं नाज़ाँ तो नहीं फ़न पर मगर, नासिर ! ये दा'वा है
सना-ए-मुस्तफ़ा करने से फ़न मैला नहीं होता


शायर:
सय्यिद नासिर हुसैन चिश्ती

ना'त-ख़्वाँ:
शहबाज़ क़मर फ़रीदी
हाफ़िज़ अहमद रज़ा क़ादरी
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी





zamee.n maili nahi.n hoti, zaman maila nahi.n hota
muhammad ke Gulaamo.n ka kafan maila nahi.n hota

mohabbat kamli waale se wo jazba hai suno, logo !
ye jis man me.n sama jaae, wo man maila nahi.n hota

mohabbat pyaare aaqa se wo jazba hai suno, logo !
ye jis man me.n sama jaae, wo man maila nahi.n hota

nabi ke paak langar par jo palte hai.n kabhi un ki
zabaa.n maili nahi.n hoti, suKHan maila nahi.n hota

gulo.n ko choom lete hai.n sahar nam shabnami qatre
nabi ki naa't sun le.n to chaman maila nahi.n hota

jo naam-e-mustafa choome.n, nahi.n dukhti kabhi aankhe.n
pahan le pyaar jo un ka, badan maila nahi.n hota

tijori me.n jo rakha hai, siyaahi aa hi jaati hai
baTe jo naam par un ke wo dhan maila nahi.n hota

nabi ka daaman-e-rahmat paka.D lo, ai jahaa.n waalo !
rahe jab tak ye haatho.n me.n, chalan maila nahi.n hota

mai.n naazaa.n to nahi.n fan par magar, Naasir ! ye daa'wa hai
sana-e-mustafa karne se fan maila nahi.n hota


Poet:
Sayed Nasir Hussain Chishti

Naat-Khwaan:
Shahbaz Qamar Fareedi
Hafiz Ahmed Raza Qadri
Ghulam Mustafa Qadri
Zameen Maili Nahi Hoti Naat Lyrics in Hindi, Muhammad Ke Ghulamon Ka Kafan Mela Nahi Hoti Lyrics in Hindi, Zameen Maili Nahi Hoti Zaman Mela Nahi Hota, Zamee, Zamin, Zami, Jameen, Jami, Jamin Meli, Mayli, Nahin, Jaman Maila, Mayla, Mela, Hota, Muhammed, Muhamad, Muhamed, gulamo, gulamon, Ghulamon, Ghulaamo, Ghulaamon, Gulaamo, Gulaamon, qafan, hota zameen zamin maili nahi n lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई, नात शरीफ की किताब हिंदी में, आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka

आस्ताँ है ये किस शाह-ए-ज़ीशान का मरहबा मरहबा / Aastan Hai Ye Kis Shah-e-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba

मेरे ग्यारहवीं वाले पीर ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Mere Gyarahwin Wale Peer Ghaus-e-Azam Dastgeer | Mere Gyarvi Wale Peer Ghous-e-Azam Dastgeer