जितना दिया सरकार ने मुझ को उतनी मेरी औक़ात नहीं / Jitna Diya Sarkar Ne Mujh Ko Utni Meri Auqat Nahin

जितना दिया सरकार ने मुझ को, उतनी मेरी औक़ात नहीं
ये तो करम है उन का वर्ना मुझ में तो ऐसी बात नहीं

तू भी वहीं पर जा कि जहाँ पर सब की बिगड़ी बनती है
एक तेरी तक़दीर बनाना उन के लिए कुछ बात नहीं

तू भी वहीं पे जा जिस दर पर सब की बिगड़ी बनती है
एक तेरी तक़दीर बनाना इन के लिए कुछ बात नहीं

जो हैं मेरी जान-ओ-इमाँ, क्या मैं उन की नज़्र करूँ
पास मेरे अश्कों के 'अलावा और कोई सौग़ात नहीं

'इश्क़-ए-शह-ए-बतहा से पहले मुफ़्लिस-ओ-ख़स्ता-हाल था मैं
नाम-ए-मुहम्मद के मैं क़ुर्बां, अब वो मेरे हालात नहीं

ज़िक्र-ए-नबी में जो दिन गुज़रे, वो दिन सब से बेहतर है
याद-ए-नबी में रात जो गुज़रे, उस से बेहतर रात नहीं

ग़ौर तो कर, सरकार की तुझ पर कितनी ख़ास 'इनायत है
कौसर ! तू है उन का सना-ख़्वाँ, ये मा'मूली बात नहीं


शायर:
मौलाना कौसर नियाज़ी

ना'त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी





jitna diya sarkaar ne mujh ko, utni meri auqaat nahi.n
ye to karam hai un ka warna mujh me.n to aisi baat nahi.n

tu bhi wahi.n par jaa ki jahaa.n par sab ki big.Di banti hai
ek teri taqdeer banaana un ke liye kuchh baat nahi.n

tu bhi wahi.n pe jaa jis dar par sab ki big.Di banti hai
ek teri taqdeer banaana un ke liye kuchh baat nahi.n

jo hai.n meri jaan-o-imaa.n, kya mai.n un ki nazr karu.n
paas mere ashko.n ke 'alaawa aur koi sauGaat nahi.n

'ishq-e-shah-e-bat.ha se pehle muflis-o-KHasta-haal tha mai.n
naam-e-muhammad ke mai.n qurba.n, ab wo mere haalaat nahi.n

zikr-e-nabi me.n jo din guzre, wo dil sab se behtar hai
yaad-e-nabi me.n raat jo guzre, us se behtar raat nahi.n

Gaur to kar, sarkaar ki tujh par kitni KHaas 'inaayat hai
Kausar ! tu hai un ka sana-KHwaa.n, ye maa'mooli baat nahi.n


Poet:
Maulana Kausar Niazi

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Hafiz Tahir Qadri
Jitna Diya Sarkar Ne Mujhko Lyrics | Jitna Diya Sarkar Ne Mujhko Lyrics in Hindi | Jitna Diya Sarkar Ne Mujh Ko itni Meri Aukat Nahin Lyrics in Hindi | Ye To Karam Hai Unka Warna Lyrics | sarkaar mujko muzko aokat aukaat auqaat aoqat aoqaat nahi okat okaat oqaat oqat | Osman Mir Naat Lyrics lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई, नात शरीफ की किताब हिंदी में, आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman

Comments

Most Popular

मेरे हुसैन तुझे सलाम / Mere Husain Tujhe Salaam

अल्लाह की रज़ा है मोहब्बत हुसैन की | या हुसैन इब्न-ए-अली / Allah Ki Raza Hai Mohabbat Hussain Ki | Ya Hussain Ibne Ali

मेरा बादशाह हुसैन है | ऐसा बादशाह हुसैन है / Mera Baadshaah Husain Hai | Aisa Baadshaah Husain Hai

कर्बला के जाँ-निसारों को सलाम / Karbala Ke Jaan-nisaron Ko Salam

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain

हम हुसैन वाले हैं / Hum Hussain Wale Hain

हुसैन तुम को ज़माना सलाम कहता है / Hussain Tum Ko Zamana Salam Kehta Hai

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

हर ज़माना मेरे हुसैन का है / Har Zamana Mere Hussain Ka Hai

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai