ADVERTISEMENT

उमंगें जोश पर आईं, इरादे गुदगुदाते हैं / Umangein Josh Par Aain, Iraade Gudgudaate Hain

उमंगें जोश पर आईं, इरादे गुदगुदाते हैं
जमील-ए-क़ादरी ! शायद हबीब-ए-हक़ बुलाते हैं

जगा देते हैं क़िस्मत चाहते हैं जिस की दम भर में
वो जिस को चाहते हैं अपने रौज़े पर बुलाते हैं

उन्हें मिल जाता है गोया वो साया 'अर्श-ए-आ'ज़म का
तेरी दीवार के साए में जो बिस्तर जमाते हैं

मुक़द्दर इस को कहते हैं, फ़रिश्ते 'अर्श से आ कर
ग़ुबार-ए-फ़र्श-ए-तयबा अपनी आँखों में लगाते हैं

ख़ुदा जाने कि तयबा को हमारा कब सफर होगा
मदीने को हज़ारों क़ाफ़िले हर साल जाते हैं

शह-ए-तयबा ! ये क़ुव्वत है तेरे दर के गदाओं में
जिला देते हैं मुर्दों को वो जिस दम लब हिलाते हैं

मेरे मौला ! ये क़ुव्वत है तेरे दर के गदाओं में
वो जिस को चाहते हैं शाह दम भर में बनाते हैं

मदीने की तलब में जो नहीं लेते हैं जन्नत को
उन्हें तशरीफ़ ला कर हज़रत-ए-रिज़वाँ मनाते हैं

तसद्दुक़ जान-ए-'आलम ! इस करीमी और रहीमी के
गुनह करते हैं हम, वो अपनी रहमत से छुपाते हैं

जमील-ए-क़ादरी को देख कर हूरों में ग़ुल होगा
यही हैं वो कि जो ना'त-ए-हबीब-ए-हक़ सुनाते हैं


शायर:
मौलाना जमीलुर्रहमान रज़वी क़ादरी

ना'त-ख़्वाँ:
अल्लामा हाफ़िज़ बिलाल क़ादरी
असद रज़ा अत्तारी





umange.n josh par aai.n, iraade gudgudaate hai.n
Jameel-e-Qadri ! shaayad habeeb-e-haq bulaate hai.n

jaga dete hai.n qismat chaahte hai.n jis ki dam bhar me.n
wo jis ko chaahte hai.n apne rauze par bulaate hai.n

unhe.n mil jaata hai goya wo saaya 'arsh-e-aa'zam ka
teri deewaar ke saaye me.n jo bistar jamaate hai.n

muqaddar is ko kehte hai.n, farishte 'arsh se aa kar
Gubaar-e-farsh-e-tayba apni aankho.n me.n lagaate hai.n

KHuda jaane ki tayba ko hamaara kab safar hoga
madine ko hazaaro.n qaafile har saal jaate hai.n

shah-e-tayba ! ye quwwat hai tere dar ke gadaao.n me.n
jila dete hai.n murdo.n ko wo jis dam lab hilaate hai.n

mere maula ! ye quwwat hai tere dar ke gadaao.n me.n
wo jis ko chaahte hai.n shaah dam bhar me.n banaate hai.n

madine ki talab me.n jo nahi.n lete hai.n jannat ko
unhe.n tashreef laa kar hazrat-e-rozwaa.n manaate hai.n

tasadduq jaan-e-'aalam ! is kareemi aur raheemi ke
gunah karte hai.n ham, wo apni rahmat se chhupaate hai.n

Jameel-e-Qadri ko dekh kar hooro.n me.n Gul hoga
yahi hai.n wo ki jo naa't-e-habeeb-e-haq sunaate hai.n


Poet:
Maulana Jameel-ur-Rahman Razvi Qadri

Naat-Khwaan:
Allama Hafiz Bilal Qadri
Asad Raza Attari
Umangen Josh Par Aain Irade Gudgudate Hain Lyrics in Hindi, Umangein Josh Par Aain Lyrics in Hindi, Umange Josh Par Aayi Lyrics, Jameel e Qadri Shayad Habeeb e Haq Bulate Hain Lyrics Jamil e Qadri par aayn iradey gudgudatey lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई, नात शरीफ की किताब हिंदी में, आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman

Comments

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain