ऐ राह-ए-हक़ के शहीदो / Aye Raah-e-Haq Ke Shaheedo

ऐ राह-ए-हक़ के शहीदो ! वफ़ा की तस्वीरो !
तुम्हें वतन की हवाएँ सलाम कहती हैं

ऐ राह-ए-हक़ के शहीदो !

लगाने आग जो आए थे आशियाने को
वो शो'ले अपने लहू से बुझा दिए तुम ने
बचा लिया है यतीमी से कितने फूलों को
सुहाग कितनी बहारों के रख लिए तुम ने
तुम्हें चमन की फ़ज़ाएँ सलाम कहती हैं

ऐ राह-ए-हक़ के शहीदो !

चले जो होगे शहादत का जाम पी कर तुम
रसूल-ए-पाक ने बाहों में ले लिया होगा
'अली तुम्हारी शुजा'अत पे झूमते होंगे
हुसैन-ए-पाक ने इरशाद ये किया होगा
तुम्हें ख़ुदा की रज़ाएँ सलाम कहती हैं

ऐ राह-ए-हक़ के शहीदो !

जनाब-ए-फ़ातिमा, जिगर-ए-रसूल के आगे
शहीद हो के किया माँ को सुर्ख़-रू तुम ने
जनाब-ए-हज़रत-ए-ज़ैनब गवाही देती हैं
शहीदो ! रखी है बहनों की आबरू तुम ने
वतन की बेटियाँ, माएँ सलाम कहती हैं

ऐ राह-ए-हक़ के शहीदो !


शायर:
मुशीर काज़मी

नशीद-ख़्वाँ:
नसीम बेगम
अमजद बल्तिस्तानी
हाफ़िज़ ग़ुलाम-ए-मुस्तफ़ा क़ादरी
असद रज़ा अत्तारी
साजिद क़ादरी
मुहम्मद हस्सान रज़ा क़ादरी





ai raah-e-haq ke shaheedo ! wafa ki tasweero !
tumhe.n watan ki hawaae.n salaam kehti hai.n

ai raah-e-haq ke shaheedo !

lagaane aag jo aae the aashiyaane ko
wo sho'le apne lahoo se bujha diye tum ne
bacha liya hai yateemi se kitne phoolo.n ko
suhaag kitni bahaaro.n ke rakh liye tum ne
tumhe.n chaman ki fazaae.n salaam kehti hai.n

ai raah-e-haq ke shaheedo !

chale jo hoge shahaadat ka jaam pee kar tum
rasool-e-paak ne baaho.n me.n le liya hoga
'ali tumhaari shujaa'at pe jhoomte honge
husain-e-paak ne irshaad ye kiya hoga
tumhe.n KHuda ki razaae.n salaam kehti hai.n

ai raah-e-haq ke shaheedo !

janaab-e-faatima, jigar-e-rasool ke aage
shaheed ho ke kiya maa.n ko surKH-roo tum ne
janaab-e-hazrat-e-zainab gawaahi deti hai.n
shaheedo ! rakhi hai behno.n ki aabroo tum ne
watan ki beTiyaa.n, maae.n salaam kehti hai.n

ai raah-e-haq ke shaheedo !


Poet:
Mushir Kazmi

Nasheed-Khwaan:
Naseem Bagum
Amjad Baltistani
Hafiz Ghulam Mustafa Qadri
Asad Raza Attari
Sajid Qadri
Muhammad Hassan Raza Qadri
Aye Raah e Haq Ke Shaheedo Lyrics | Aye Raah e Haq Ke Shaheedo Lyrics in Hindi | Aye Rahe Haq Ke Shaheedo Lyrics | Ae Rah e Haq Ke Shaheedo Lyrics | ay raahe hak shahido shahidon shaheedon | Tumhen Watan Ki Hawaen Salam Kehti Hain Lyrics | lyrics of naat | naat lyrics in hindi | islamic lyrics | hindi me naat lyrics | hindi me naat likhi hui | All Naat Lyrics in Hindi | नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई | नात शरीफ की किताब हिंदी में | आला हजरत की नात शरीफ lyrics | हिंदी नात | Lyrics in English | Lyrics in Roman 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2023

Comments

Most Popular

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain (All Versions)

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al-Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

फ़ज़्ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना | मदनी सेहरा / Fazl-e-Rabb-e-Pak Se Beta Mera Dulha Bana | Madani Wedding Sehra

हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर उन की तस्वीर सीने में मौजूद है | उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है / Hum Ne Aankhon Se Dekha Nahin Hai Magar Unki Tasweer Seene Mein Maujood Hai | Un Ka Jalwa To Seene Mein Maujood Hai

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

बेख़ुद किए देते हैं अंदाज़-ए-हिजाबाना / Bekhud Kiye Dete Hain Andaz-e-Hijabana

हो करम सरकार अब तो हो गए ग़म बे-शुमार / Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumar