जो इश्क़-ए-नबी के जल्वों को सीनों में बसाया करते हैं / Jo Ishq-e-Nabi Ke Jalwon Ko Seenon Mein Basaya Karte Hain

जो 'इश्क़-ए-नबी के जल्वों को सीनों में बसाया करते हैं
अल्लाह की रहमत के बादल उन लोगों पे साया करते हैं

जब अपने ग़ुलामों की आक़ा तक़दीर जगाया करते हैं
जन्नत की सनद देने के लिए रौज़े पे बुलाया करते हैं

मख़्लूक़ की बिगड़ी बनती है, ख़ालिक़ को भी प्यार आ जाता है
जब बहर-ए-दु'आ महबूब-ए-ख़ुदा हाथों को उठाया करते हैं

ऐ दौलत-ए-'इरफ़ाँ के मँगतो ! उस दर पे चलो जिस दर पे सदा
दिन-रात ख़ज़ाने रहमत के सरकार लुटाया करते हैं

गिर्दाब-ए-बला में फँस के कोई तयबा की तरफ़ जब तकता है
सुल्तान-ए-मदीना ख़ुद आ कर कश्ती को तिराया करते हैं

वो नज़'अ की सख़्ती हो, ऐ दिल ! या क़ब्र की मुश्किल मंज़िल हो
वो अपने ग़ुलामों की अक्सर इमदाद को आया करते हैं

है शुग़्ल हमारा शाम-ओ-सहर और नाज़, सिकंदर ! क़िस्मत पर
महफ़िल में रसूल-ए-अकरम की हम ना'त सुनाया करते हैं


शायर:
सिकंदर लखनवी

ना'त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी





jo 'ishq-e-nabi ke jalwo.n ko seeno.n me.n basaaya karte hai.n
allah ki rahmat ke baadal un logo.n pe saaya karte hai.n

jab apne Gulaamo.n ki aaqa taqdeer jagaaya karte hai.n
jannat ki sanad dene ke liye rauze pe bulaaya karte hai.n

maKHlooq ki big.Di banti hai, KHaaliq ko bhi pyaar aa jaata hai
jab bahr-e-du'aa mahboob-e-KHuda haatho.n ko uThaaya karte hai.n

ai daulat-e-'irfaa.n ke mangto ! us dar pe chalo jis dar pe sada
din-raat KHazaane rahmat ke sarkaar luTaaya karte hai.n

girdaab-e-bala me.n phans ke koi tayba ki taraf jab takta hai
sultaan-e-madina KHud aa kar kashti ko tiraaya karte hai.n

wo naz'a ki saKHti ho, ai dil ! ya qabr ki mushkil manzil ho
wo apne Gulaamo.n ki aksar imdaad ko aaya karte hai.n

hai shuGl hamaara shaam-o-sahar aur naaz, Sikandar ! qismat par
mehfil me.n rasool-e-akram ki ham naa't sunaaya karte hai.n


Poet:
Sikandar Lakhnavi

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Jo Ishq e Nabi Ke Jalwon Ko Seene Me Basaya Karte Hain Lyrics | Jo Ishq e Nabi Ke Jalwon Ko Lyrics in Hindi | Jo Ishq e Nabi Ke Jalwon Ko Lyrics in English | Owais Raza Qadri Naat Lyrics | 50+ Naat Lyrics | Best Place To Find All Naat Sharif | 500+ Naat Lyrics | Best Site To Find All Naat in Hindi, English | 430 Naat lyrics ideas in 2025 | Best Site For Naat Lyrics in Hindi |

Comments

Most Popular

ऐ सबा मुस्तफ़ा से कह देना ग़म के मारे सलाम कहते हैं / Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Mare Salam Kehte Hain (All Versions)

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

ऐ शहंशाह-ए-मदीना अस्सलातु वस्सलाम / Aye Shahenshah-e-Madina Assalatu Wassalam

काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula

आक़ा ले लो सलाम अब हमारा / Aaqa Le Lo Salam Ab Hamara

ताजदार-ए-हरम ऐ शहंशाह-ए-दीं | तुम पे हर दम करोड़ों दुरूद-ओ-सलाम / Tajdar-e-Haram Aye Shahanshah-e-Deen | Tum Pe Har Dam Karodon Durood-o-Salam

मुस्तफ़ा, जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम (मुख़्तसर) / Mustafa, Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam (Short)

ऐ ज़हरा के बाबा सुनें इल्तिजा मदीना बुला लीजिए / Aye Zahra Ke Baba Sunen Iltija Madina Bula Lijiye

क्या बताऊँ कि क्या मदीना है / Kya Bataun Ki Kya Madina Hai

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं / Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain