ADVERTISEMENT

अब मेरी निगाहों में जचता नहीं कोई / Ab Meri Nigaahon Mein Jachta Nahin Koi

अब मेरी निगाहों में जचता नहीं कोई
जैसे मेरे सरकार हैं, ऐसा नहीं कोई

तुम सा तो हसीं आँख ने देखा नहीं कोई
ये शान-ए-लताफ़त है कि साया नहीं कोई

ए ज़र्फ़-ए-नज़र ! देख मगर देख अदब से
सरकार का जल्वा है, तमाशा नहीं कोई

ये तूर से कहती है अभी तक शब-ए-मे'राज
दीदार की ताक़त हो तो पर्दा नहीं कोई

होता है जहाँ ज़िक्र, मुहम्मद के करम का
उस बज़्म में महरूम-ए-तमन्ना नहीं कोई

ए'ज़ाज़ ये हासिल है तो हासिल है ज़मीं को
अफ़्लाक पे तो गुम्बद-ए-ख़ज़रा नहीं कोई

दरमान-ए-ग़म-ओ-दर्द, शिफ़ा-ए-दिल-ए-बीमार
जुज़ आप के, ए जान-ए-मसीहा ! नहीं कोई

सरकार की रहमत ने मगर ख़ूब नवाज़ा
ये सच है कि ख़ालिद सा निकम्मा नहीं कोई


शायर:
ख़ालिद महमूद ख़ालिद

नात-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
मुहम्मद हस्सान रज़ा क़ादरी





ab meri nigaaho.n me.n jachta nahi.n koi
jaise mere sarkaar hai.n, aisa nahi.n koi

tum sa to hasee.n aankh ne dekha nahi.n koi
ye shaan-e-lataafat hai ki saaya nahi.n koi

ai zarf-e-nazar ! dekh magar dekh adab se
sarkaar ka jalwa hai, tamaasha nahi.n koi

ye toor se kahti hai abhi tak shab-e-me'raaj
deedaar ki taaqat ho to parda nahi.n koi

hota hai jahaa.n zikr, muhammad ke karam ka
us bazm me.m mahroom-e-tamanna nahi.n koi

e'zaaz ye haasil hai to hasil hai zamee.n ko
aflaak pe to gumbad-e-KHazra nahi.n koi

darmaan-e-Gam-o-dard, shifa-e-dil-e-beemaar
juz aap ke, ai jaan-e-maseeha ! nahi.n koi

sarkaar ki rahmat ne magar KHoob nawaaza
ye sach hai ki KHaalid sa nikamma nahi.n koi


Poet:

Khalid Mahmood Khalid

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Muhammad Hassan Raza Qadri
Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi Layrics in Hindi, Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi Layrics in English, Jaise Mere Sarkar Hain Aisa Nahi Koi nigaaho nigaho nigaahon me jachata nahee naheen kohi jayse jese sarkaar he hain hai waisa vaisa vaysa waysa lyrics of naat, naat lyrics in hindi, islamic lyrics, hindi me naat lyrics, hindi me naat likhi hui, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात शरीफ लिरिक्स हिंदी में, नात हिंदी में लिखी हुई, नात शरीफ की किताब हिंदी में, आला हजरत की नात शरीफ lyrics, हिंदी नात, Lyrics in English, Lyrics in Roman

Comments

Post a Comment

Most Popular

अल-मदद पीरान-ए-पीर ग़ौस-उल-आज़म दस्तगीर / Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-ul-Azam Dastageer | Al Madad Peeran-e-Peer Ghaus-e-Azam Dastageer

मीराँ वलियों के इमाम / Meeran Waliyon Ke Imam

इमदाद कुन इमदाद कुन या ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus-e-Azam Dastagir | Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghous-e-Azam Dastagir

सरकार-ए-ग़ौस-ए-आज़म नज़र-ए-करम ख़ुदारा / Sarkar-e-Ghaus-e-Azam Nazar-e-Karam Khudara

फ़ासलों को ख़ुदारा मिटा दो | जालियों पर निगाहें जमी हैं / Faslon Ko Khudara Mita Do | Jaliyon Par Nigahen Jami Hain

या नबी सलाम अलैका / Ya Nabi Salam Alaika | Ya Nabi Salam Alayka (All Popular Versions)

क़ादरी आस्ताना सलामत रहे | मुस्तफ़ा का घराना सलामत रहे / Qadri Aastana Salamat Rahe | Qadri Astana Salamat Rahe | Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आज़म का / Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saya Ghous-e-Azam Ka

आस्ताँ है ये किस शाह-ए-ज़ीशान का मरहबा मरहबा / Aastan Hai Ye Kis Shah-e-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba

मेरे ग्यारहवीं वाले पीर ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर / Mere Gyarahwin Wale Peer Ghaus-e-Azam Dastgeer | Mere Gyarvi Wale Peer Ghous-e-Azam Dastgeer